वह बहुत दिनों से प्रेम नहीं कर पा रही थी
मैं बहुत दिनों से झगड़ नहीं पा रहा था
मैं बहुत दिनों से प्रेम करना चाहता था
वह बहुत दिनों से झगड़ना चाहती थी।
इन दिनों हमारे लिए सबकी कमी का
रोज़ ध्यान आता था
आकांक्षाएँ हमारे चाहने पर भी नहीं मिलती थीं।
हम इतने शिथिल और सुस्त थे कि
थामे हुए एक कमज़ोर धागे को देखते
अपने-अपने सिरे पर बचे, झूलते खड़े थे।
दिनोंदिन बड़े होते शहर
और छोटे होते घर में
न रोते, न हँसते
आँखें खोले
सुबह के स्वप्न की तरह थे दुनिया को देखते।
wo bahut dinon se prem nahin kar pa rahi thi
main bahut dinon se jhagaD nahin pa raha tha
main bahut dinon se prem karna chahta tha
wo bahut dinon se jhagaDna chahti thi
in dinon hamare liye sabki kami ka
roz dhyan aata tha
akankshayen hamare chahne par bhi nahin milti theen
hum itne shithil aur sust the ki
thame hue ek kamzor dhage ko dekhte
apne apne sire par bache, jhulte khaDe the
dinondin baDe hote shahr
aur chhote hote ghar mein
na rote, na hanste
ankhen khole
subah ke swapn ki tarah the duniya ko dekhte
wo bahut dinon se prem nahin kar pa rahi thi
main bahut dinon se jhagaD nahin pa raha tha
main bahut dinon se prem karna chahta tha
wo bahut dinon se jhagaDna chahti thi
in dinon hamare liye sabki kami ka
roz dhyan aata tha
akankshayen hamare chahne par bhi nahin milti theen
hum itne shithil aur sust the ki
thame hue ek kamzor dhage ko dekhte
apne apne sire par bache, jhulte khaDe the
dinondin baDe hote shahr
aur chhote hote ghar mein
na rote, na hanste
ankhen khole
subah ke swapn ki tarah the duniya ko dekhte
स्रोत :
पुस्तक : दसों दिशाओं में (पृष्ठ 25)
रचनाकार : नवल शुक्ल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.