आँख बंद कर लेने से
अंधे की दृष्टि नहीं पाई जा सकती
जिसके टटोलने की दूरी पर है संपूर्ण
जैसे दृष्टि की दूरी पर।
अँधेरे में बड़े सवेरे एक खग्रास सूर्य उदय होता है
और अँधेरे में एक गहरा अँधेरे में एक गहरा अँधेरा फैल जाता है
चाँदनी अधिक काले धब्बे होंगे
चंद्रमा और तारों के।
टटोलकर ही जाना जा सकता है क्षितिज को
दृष्टि के भ्रम को
कि वह किस आले में रखा है
यदि वह रखा हुआ है।
कौन से अँधेरे सींके में
टँगा हुआ रखा है
कौन से नक्षत्र का अँधेरा।
आँख मूँदकर देखना
अंधे की तरह देखना नहीं है।
पेड़ की छाया में, व्यस्त सड़क के किनारे
तरह-तरह की आवाज़ों के बीच
कुर्सी बुनता हुआ एक अंधा
संसार से सबसे अधिक प्रेम करता है
वह कुछ संसार स्पर्श करता है और
बहुत संसार स्पर्श करना चाहता है।
ankh band kar lene se
andhe ki drishti nahin pai ja sakti
jiske tatolne ki duri par hai sampurn
jaise drishti ki duri par
andhere mein baDe sawere ek khagras surya uday hota hai
aur andhere mein ek gahra andhere mein ek gahra andhera phail jata hai
chandni adhik kale dhabbe honge
chandrma aur taron ke
tatolkar hi jana ja sakta hai kshaitij ko
drishti ke bhram ko
ki wo kis aale mein rakha hai
yadi wo rakha hua hai
kaun se andhere sinke mein
tanga hua rakha hai
kaun se nakshatr ka andhera
ankh mundakar dekhana
andhe ki tarah dekhana nahin hai
peD ki chhaya mein, wyast saDak ke kinare
tarah tarah ki awazon ke beech
kursi bunta hua ek andha
sansar se sabse adhik prem karta hai
wo kuch sansar sparsh karta hai aur
bahut sansar sparsh karna chahta hai
ankh band kar lene se
andhe ki drishti nahin pai ja sakti
jiske tatolne ki duri par hai sampurn
jaise drishti ki duri par
andhere mein baDe sawere ek khagras surya uday hota hai
aur andhere mein ek gahra andhere mein ek gahra andhera phail jata hai
chandni adhik kale dhabbe honge
chandrma aur taron ke
tatolkar hi jana ja sakta hai kshaitij ko
drishti ke bhram ko
ki wo kis aale mein rakha hai
yadi wo rakha hua hai
kaun se andhere sinke mein
tanga hua rakha hai
kaun se nakshatr ka andhera
ankh mundakar dekhana
andhe ki tarah dekhana nahin hai
peD ki chhaya mein, wyast saDak ke kinare
tarah tarah ki awazon ke beech
kursi bunta hua ek andha
sansar se sabse adhik prem karta hai
wo kuch sansar sparsh karta hai aur
bahut sansar sparsh karna chahta hai
स्रोत :
पुस्तक : कवि ने कहा (पृष्ठ 27)
रचनाकार : विनोद कुमार शुक्ल
प्रकाशन : किताबघर प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.