जाग तो गए निद्रा से, तम से कब जागोगे
संघर्षों के भय से कब तक ऐसे ही भागोगे
जो समय की धारा में डूब गोते लगाता है
बस वही सतह पर, मोती चुनकर लाता है
बैठा नदी के तीर, धरकर बल व धीर
विचारता देखो मैं भी कितना बड़ा वीर हूँ
किनारे बैठा लगा कि मिला सबकुछ
फिर भी मैं भीतर से कैसा अधीर हूँ
देखो व्याकुलता कैसी मुझपे है छाई
ये घना मेघ मुझको कैसा डराता है
प्रश्न बहुत विकट है मेरे अस्तित्व का
मैं भी देखूँ तो तिमिर जीत कैसे जाता है
देखो शैवालों को व प्रवालों की खालों को
देखों पारदर्शी नाज़ुक मकड़ी के जालों को
जब संकट उनके अस्तित्व पर छा जाता है
फिर जीजिविषा को कोई, कहाँ हरा पाता है
jaag to ge nidra se, tam se kab jagoge
sangharshon ke bhay se kab tak aise hi bhagoge
jo samay ki dhara mein Doob gote lagata hai
bas vahi satah par, moti chunkar lata hai
baitha nadi ke teer, dharkar bal va dheer
vicharta dekho main bhi kitna baDa veer hoon
kinare baitha laga ki mila sabkuchh
phir bhi main bhitar se kaisa adhir hoon
dekho vyakulta kaisi mujhpe hai chhai
ye ghana megh mujhko kaisa Darata hai
parashn bahut vikat hai mere astitv ka
main bhi dekhun to timir jeet kaise jata hai
dekho shaivalon ko va prvalon ki khalon ko
dekhon paradarshi nazuk makDi ke jalon ko
jab sankat unke astitv par chha jata hai
phir jijivisha ko koi, kahan hara pata hai

स्रोत :
रचनाकार : उद्भव सिंह शांडिल्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.