कहीं जाने की इच्छा से भरा है मन
कहाँ
ज्ञात नहीं
है इच्छा मगर निकल जाने की दूर
इस मामूली दिन से बाहर
फिर वापस लौटने इसके साधारणपन में
दूर जाने की ललक में
बहुत दूर
जाया नहीं जाएगा
न ख़ुद से
न बीत रहे पल से
कुंडली मारे समय की पकड़ सदा बनी रहेगी
दूर जाने की इच्छा को लगभग डँसती
कल, इच्छा की अंतिम साँस पूर्व
दूर कोई स्टेशन दिखा
दूर से आती हुई ट्रेन
दूर से स्टेशन
देखना
आती-जाती ट्रेन
जगाता है बैराग
संभव है दूर जाने की कामना में आज फिर
स्टेशन तक जाऊँ
देखने दूर से
स्टेशन छोड़ती ट्रेन
kahin jane ki ichha se bhara hai man
kahan
gyat nahin
hai ichha magar nikal jane ki door
is mamuli din se bahar
phir wapas lautne iske sadharanpan mein
door jane ki lalak mein
bahut door
jaya nahin jayega
na khu se
na beet rahe pal se
kunDli mare samay ki pakaD sada bani rahegi
door jane ki ichha ko lagbhag Dansati
kal, ichha ki antim sans poorw
door koi station dikha
door se aati hui train
door se station
dekhana
ati jati train
jagata hai bairag
sambhaw hai door jane ki kamna mein aaj phir
station tak jaun
dekhne door se
station chhoDti train
kahin jane ki ichha se bhara hai man
kahan
gyat nahin
hai ichha magar nikal jane ki door
is mamuli din se bahar
phir wapas lautne iske sadharanpan mein
door jane ki lalak mein
bahut door
jaya nahin jayega
na khu se
na beet rahe pal se
kunDli mare samay ki pakaD sada bani rahegi
door jane ki ichha ko lagbhag Dansati
kal, ichha ki antim sans poorw
door koi station dikha
door se aati hui train
door se station
dekhana
ati jati train
jagata hai bairag
sambhaw hai door jane ki kamna mein aaj phir
station tak jaun
dekhne door se
station chhoDti train
स्रोत :
रचनाकार : पारुल पुखराज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.