मेरी पीठ पर अपने ही पंजों के निशान हैं
जो वक़्त-दर-वक़्त
गहरे और भी गहरे हो चले हैं
दीवारों पर बिखरी हुई ये सब्ज़ बेलें
जो कभी किसी की याद में उग आई थीं
उदास आँखों से देखती रहती हैं अब मुझे
मेरे इर्द-गिर्द संबंधों-अनुबंधों के वितान
इतने वृहद हैं कि इक ज़रा-सी ढील पड़ जाए
तो बुनावट में कहीं कोई धागा छूट जाता है
शायद यह वक़्त का मेरे ख़िलाफ़
कोई षड्यंत्र भी हो सकता है कि
सब कुछ साथ होते हुए भी वह
मेरी मुट्ठी से तेज़ी से फिसलता जा रहा है
मैं जानता हूँ कि
यह एक मृग-मरीचिका ही है
जो सुबह से शाम तक की
अनवरत यात्रा में मुझे शामिल किए हैं
यहाँ साँझ का संगीत थोड़ा उदासी भरा तो है
लेकिन मौन के साथ घुला हुआ है
आस-पास सिगरेट का धुआँ भी है
लेकिन मुझे साँस लेने में कभी कोई समस्या नहीं हुई
मैं अपनी इस दुनिया के बारे में सोचता हूँ
कि वह क्या कुछ है जो सब कुछ होते भी नहीं है!
कि जिसके न होने से एक हिस्से का ख़ालीपन
पूरा का पूरा दिख रहा
मुझे लगता है यह जीवन
ठीक उसी प्रक्रिया का नाम है
जिसमें पहले चीज़ें भरती हैं
और धीरे-धीरे एक-एक करके
सब कुछ ख़ाली होता जाता है।
meri peeth par apne hi panjon ke nishan hain
jo waqt dar waqt
gahre aur bhi gahre ho chale hain
diwaron par bikhri hui ye sabz belen
jo kabhi kisi ki yaad mein ug i theen
udas ankhon se dekhti rahti hain ab mujhe
mere ird gird sambandhon anubandhon ke witan
itne wrihad hain ki ek zara si Dheel paD jaye
to bunawat mein kahin koi dhaga chhoot jata hai
shayad ye waqt ka mere khilaf
koi shaDyantr bhi ho sakta hai ki
sab kuch sath hote hue bhi wo
meri mutthi se tezi se phisalta ja raha hai
main janta hoon ki
ye ek mrig marichika hi hai
jo subah se sham tak ki
anawrat yatra mein mujhe shamil kiye hain
yahan sanjh ka sangit thoDa udasi bhara to hai
lekin maun ke sath ghula hua hai
as pas cigarette ka dhuan bhi hai
lekin mujhe sans lene mein kabhi koi samasya nahin hui
main apni is duniya ke bare mein sochta hoon
ki wo kya kuch hai jo sab kuch hote bhi nahin hai!
ki jiske na hone se ek hisse ka khalipan
pura ka pura dikh raha
mujhe lagta hai ye jiwan
theek usi prakriya ka nam hai
jismen pahle chizen bharti hain
aur dhire dhire ek ek karke
sab kuch khali hota jata hai

स्रोत :
रचनाकार : पंकज प्रखर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.