अब किसी भी शहर में जाओ
बहुत उदास मिलते हैं फ़ोटो स्टूडियो
जो कभी खिलखिलाती तस्वीरों
और रूमानी हलचलों से भरे होते थे
हम सबके पास
उनको लेकर कोई न कोई याद है
नोनीहाट के खोगेन विष्णु ने उन्हें कभी
फ़ोटू खींचने की दुकानें कहा था
जब वे पहली बार किसी शहर से
फ़ोटो स्टूडियो देखकर लौटे थे
और कैसा कौतुक भरा चित्रण किया था!
वह फ़ोटो खींचने की दुकानें ही तो होती थीं सचमुच!
वहाँ कितनी हसरतों से लोगों को भीतर जाते देखा है
वेशभूषा ठीक करते, चेहरा चमकाते हुए
फ़ोन का रिसीवर हाथ में लिए बेल बॉटम पहने कॉलेज़िया लड़के
पीछे ताज़महल के पुराने पड़ चुके पोस्टर रंग छोड़ते हुए
पहाड़ और फूलों की वादियों के आगे बैठे
नवविवाहित जोड़ों के ये स्वप्नगाह थे!
एक बड़े वक़्फ़े के बाद एक ऐसी ही जगह पर खड़ा हूँ
जहाँ पहले भी कई बार आने की याद ने लगभग परेशान कर रखा है
कहन की शैली में जिसे मशहूर-ओ-मा'रूफ़ कह सकते हो
ओह! वे वासु दा ही थे!
लोग उन्हें स्टूडियो मैंने मैनेजर कहते थे
लगभग सत्तर की उम्र में वे वहाँ क्या कर रहे थे?
आश्चर्य था कि वे अब भी यहाँ थे!
इस स्टूडियो में बस अकेले बचे कर्मचारी थे वे!
उनकी आँखों में देर तक देखने से
एक दुनिया की तकलीफ़देह अंत का सफ़रनामा मिलता था
हथेलियों और कुहनियों की छुवन भर से घिस आए
उस काउंटर के पीछे
शीशम की बड़ी-सी पुरानी कुर्सी पर बैठे
उस नूरानी चेहरे को
जो इस स्टूडियो का मालिक था,
मैं पहचान सकता था
अस्सी-नब्बे के दशक में वह युवा थे
सलीकेदार और आकर्षक!
ख़ास मौक़ों पर ही फ़ोटोग्राफी के लिए उपस्थित होते थे
शहर के रईस तक चाहते थे कि
उनकी कोई यादगार तस्वीर में वे उतार दें
उनकी अलहदा शख़्सियत की वजह से
उन्हें एक फ़ोटोग्राफर से कहीं ज़्यादा इज़्ज़त बख़्शी इस शहर ने
इवेंट और डिजिटल फ़ोटोग्राफ़ी के दौर में
एक पुराने और संजीदा फ़ोटोग्राफर का अकेलापन
और उदासी तुम दूर से पहचान सकते हो
स्टूडियो में लगे शीशे के सेल्फ़ में
तस्वीरें अपनी चमक खो चुकी हैं
वे पुरानी पड़ गई हैं
कुछ के फ्रे़म औंधे पड़े हैं
उन पर जैसे महीनों की धूल बैठी है
उन्हें तरतीब से रखा जा सकता है,
यह बात उनके जे़हन में क्या नहीं आती होगी?
दीवारों पर रंग-रोगन हुए ज़माना बीता है
और धूसर हो चुके उस सोफे़ को मैं पहचान ही सकता हूँ
गोकि उस पर बैठने की याद बाक़ी है!
यह पता चल जाना कोई मुश्किल काम नहीं है
कि उनकी संतानें किसी और धंधे में क्यों लग गई होंगी!
और इस पुश्तैनी धंधे को कितनी तकलीफ़ से अलविदा कहा होगा!
वह तस्वीर जिसमें दिखते थे
अभिनेता सुनील दत्त स्टूडियो के मालिक के साथ
यहाँ आने वाला हर ग्राहक बहुत कौतूहल के साथ देखता था
उस फ़्रेम को
जो वक़्त की गर्द में अब अपनी रंगत खो चुका था
उसमें सुनील दत्त थोड़े अधेड़ हो गए दिखते हैं
यह फ़ोटू आकाशवाणी भागलपुर के किसी कार्यक्रम की है
जिसमें यह फ़ोटूग्राफर उनके साथ खड़ा है
लेकिन आज की तारीख़ में
अब कोई सुनील दत्त को याद नहीं करता
क्योंकि आप जानते हैं
अब कोई स्टूडियो नहीं जाता
और ऐसी तस्वीरों के लिए वह रोएँ खड़ा कर देने वाला रोमांच
और दिलचस्पी अब बीते दिनों की बात हो चुकी है
अपने समय के नामचीन अभिनेता
अब या तो मर गए हैं या गुमनामी के अँधेरे में चले गए हैं
और उनके लिए वह जादू भी
देश के साधारण नागरिकों में ख़त्म हो चुका है
लेकिन हममें से हर कोई जीवन में
एक बार ज़रूर गया है फ़ोटो स्टूडियो
और आज मेरी गुज़ारिश है दोस्तों कि
अगर आप पुरानी ब्लैक एंड वाइट तस्वीरों से
प्यार करते हो तो उन्हें भी एक बार याद करो
बाप-दादाओं और पूर्वजों की दुर्लभ फ़ोटूओं के लिए
हम उनके क़र्ज़दार हैं
लेकिन वह अब आपके शहर में शायद ही बचे हों
या अंतिम साँसें गिन रहे हों
उन फ़ोटो स्टूडियो के साइन बोर्ड तुम्हारे जे़हन में होंगे
जिस पर परवीन बॉबी या अभिता बच्चन काले गॉगल्स
और गोल टोपी में नमूदार होते थे
उन लाखों कैमरों को याद करो जो
वक़्त की तेज़ रफ़्तार में किसी कबाड़ में बदल गए हैं
उन्हें उनके मालिकों ने कहाँ रखा होगा
डार्क रूम में जहाँ कभी निगेटिव्स धुलते थे
नीम रौशनी में क्या वे कैमरे भी
उन्हीं अँधेरों में कहीं खो गए हैं?
ab kisi bhi shahr mein jao
bahut udas milte hain photo stuDiyo
jo kabhi khilkhilati taswiron
aur rumani halachlon se bhare hote the
hum sabke pas
unko lekar koi na koi yaad hai
nonihat ke khogen wishnu ne unhen kabhi
fotu khinchne ki dukanen kaha tha
jab we pahli bar kisi shahr se
photo stuDiyo dekhkar laute the
aur kaisa kautuk bhara chitran kiya tha!
wo photo khinchne ki dukanen hi to hoti theen sachmuch!
wahan kitni hasraton se logon ko bhitar jate dekha hai
weshbhusha theek karte, chehra chamkate hue
phone ka receiwer hath mein liye bel bottom pahne kauleziya laDke
pichhe tazamhal ke purane paD chuke poster rang chhoDte hue
pahaD aur phulon ki wadiyon ke aage baithe
nawwiwahit joDon ke ye swapngah the!
ek baDe waqfe ke baad ek aisi hi jagah par khaDa hoon
jahan pahle bhi kai bar aane ki yaad ne lagbhag pareshan kar rakha hai
kahan ki shaili mein jise mashhur o maruf kah sakte ho
oh! we wasu da hi the!
log unhen stuDiyo mainne manager kahte the
lagbhag sattar ki umr mein we wahan kya kar rahe the?
ashchary tha ki we ab bhi yahan the!
is stuDiyo mein bus akele bache karmachari the we!
unki ankhon mein der tak dekhne se
ek duniya ki taklifdeh ant ka safarnama milta tha
hatheliyon aur kuhniyon ki chhuwan bhar se ghis aaye
us counter ke pichhe
shisham ki baDi si purani kursi par baithe
us nurani chehre ko
jo is stuDiyo ka malik tha,
main pahchan sakta tha
assi nabbe ke dashak mein wo yuwa the
salikedar aur akarshak!
khas mauqon par hi fotographi ke liye upasthit hote the
shahr ke rais tak chahte the ki
unki koi yadgar taswir mein we utar den
unki alahda shakhsiyat ki wajah se
unhen ek fotographar se kahin zyada ijzat bakhshi is shahr ne
iwent aur Dijital fotografi ke daur mein
ek purane aur sanjida fotographar ka akelapan
aur udasi tum door se pahchan sakte ho
stuDiyo mein lage shishe ke self mein
taswiren apni chamak kho chuki hain
we purani paD gai hain
kuch ke phrem aundhe paDe hain
un par jaise mahinon ki dhool baithi hai
unhen tartib se rakha ja sakta hai,
ye baat unke jehan mein kya nahin aati hogi?
diwaron par rang rogan hue zamana bita hai
aur dhusar ho chuke us sophe ko main pahchan hi sakta hoon
goki us par baithne ki yaad baqi hai!
ye pata chal jana koi mushkil kaam nahin hai
ki unki santanen kisi aur dhandhe mein kyon lag gai hongi!
aur is pushtaini dhandhe ko kitni taklif se alawida kaha hoga!
wo taswir jismen dikhte the
abhineta sunil datt stuDiyo ke malik ke sath
yahan aane wala har gerahak bahut kautuhal ke sath dekhta tha
us frame ko
jo waqt ki gard mein ab apni rangat kho chuka tha
usmen sunil datt thoDe adheD ho gaye dikhte hain
ye fotu akashwani bhagalpur ke kisi karyakram ki hai
jismen ye fotugraphar unke sath khaDa hai
lekin aaj ki tarikh mein
ab koi sunil datt ko yaad nahin karta
kyonki aap jante hain
ab koi stuDiyo nahin jata
aur aisi taswiron ke liye wo roen khaDa kar dene wala romanch
aur dilchaspi ab bite dinon ki baat ho chuki hai
apne samay ke namachin abhineta
ab ya to mar gaye hain ya gumnami ke andhere mein chale gaye hain
aur unke liye wo jadu bhi
desh ke sadharan nagarikon mein khatm ho chuka hai
lekin hammen se har koi jiwan mein
ek bar zarur gaya hai photo stuDiyo
aur aaj meri guzarish hai doston ki
agar aap purani black enD wait taswiron se
pyar karte ho to unhen bhi ek bar yaad karo
bap dadaon aur purwjon ki durlabh fotuon ke liye
hum unke qarzdar hain
lekin wo ab aapke shahr mein shayad hi bache hon
ya antim sansen gin rahe hon
un photo stuDiyo ke sain board tumhare jehan mein honge
jis par parwin baubi ya abhita bachchan kale gaugals
aur gol topi mein namudar hote the
un lakhon cameron ko yaad karo jo
waqt ki tez raftar mein kisi kabaD mein badal gaye hain
unhen unke malikon ne kahan rakha hoga
Dark room mein jahan kabhi nigetiws dhulte the
neem raushani mein kya we camere bhi
unhin andheron mein kahin kho gaye hain?

स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.