यह उन दिनों की बात है मैं लौट रहा था जीवन की तरफ़
और उसकी आवाज़ धीरे-धीरे मुझमें जान भरने लगी थी
उसकी कविताओं ने सुंदरता से मेरा परिचय कराया
जीवन, जो घड़ी की सुईयों के मानिंद घूमता रहा
उसी से मैंने सीखा नाक की सीध में
बढ़ते जाने का मुकम्मल पैंतरा
यह उन्हीं दिनों की बात है
मैं लौट रहा था जीवन की तरफ़
जब किसी ने टेलीफ़ोन पर
उसके असमय चले जाने की सूचना दी
उसके असमय चले जाने को लेकर सोचता हूँ
तो 'अकाल मृत्यु वो मरे जो काज करे चांडाल का'
कितना अश्लील लगने लगता है
कितनी बेतुकी लगती है यह सहानुभूति
कि 'अच्छे लोगों को ईश्वर अपने पास जल्दी बुला लेता है'
यह उन दिनों की बात है
जब देवता मन मुताबिक़
सूरज डुबा और उगा सकते थे
आराधना में हुई चूक से रूसकर
अक्सर बंद कर लेते थे अपने कपाट
यह उन दिनों की बात है
जब देवता से डराने के स्थान पर
वह अपने प्रेम की सौगंध देता रहा
यह उन दिनों की बात है
जब लाख न चाहते हुए भी
मुझे माननी ही पड़ी
मृत्यु के तय समय से आने वाली बात
कि उसे भला क्या हड़बड़ी होगी
और यह भी कि सरकारी नौकरियों की
प्रवेश-परीक्षाओं की तरह
वह जब भी आई
हमें यही लगा कि थोड़ा और वक़्त तो
मिलना ही चाहिए था।
ye un dinon ki baat hai main laut raha tha jivan ki taraf
aur uski avaz dhire dhire mujhmen jaan bharne lagi thi
uski kavitaon ne sundarta se mera parichay karaya
jivan, jo ghaDi ki suiyon ke manind ghumta raha
usi se mainne sikha naak ki seedh mein
baDhte jane ka mukammal paintra
ye unhin dinon ki baat hai
main laut raha tha jivan ki taraf
jab kisi ne teliphon par
uske asamay chale jane ki suchana di
uske asamay chale jane ko lekar sochta hoon
to akal mrityu wo mare jo kaaj kare chanDal ka
kitna ashlil lagne lagta hai
kitni betuki lagti hai ye sahanubhuti
ki achchhe logon ko iishvar apne paas jaldi bula leta hai
ye un dinon ki baat hai
jab devta man mutabik
suraj Duba aur uga sakte the
aradhana mein hui chook se ruskar
aksar band kar lete the apne kapat
ye un dinon ki baat hai
jab devta se Darane ke sthaan par
wo apne prem ki saugandh deta raha
ye un dinon ki baat hai
jab laakh na chahte hue bhi
mujhe manni hi paDi
mrityu ke tay samay se aane vali baat
ki use bhala kya haDbaDi hogi
aur ye bhi ki sarkari naukariyon ki
pravesh parikshaon ki tarah
wo jab bhi aai
hamein yahi laga ki thoDa aur vakt to
milna hi chahiye tha.
ye un dinon ki baat hai main laut raha tha jivan ki taraf
aur uski avaz dhire dhire mujhmen jaan bharne lagi thi
uski kavitaon ne sundarta se mera parichay karaya
jivan, jo ghaDi ki suiyon ke manind ghumta raha
usi se mainne sikha naak ki seedh mein
baDhte jane ka mukammal paintra
ye unhin dinon ki baat hai
main laut raha tha jivan ki taraf
jab kisi ne teliphon par
uske asamay chale jane ki suchana di
uske asamay chale jane ko lekar sochta hoon
to akal mrityu wo mare jo kaaj kare chanDal ka
kitna ashlil lagne lagta hai
kitni betuki lagti hai ye sahanubhuti
ki achchhe logon ko iishvar apne paas jaldi bula leta hai
ye un dinon ki baat hai
jab devta man mutabik
suraj Duba aur uga sakte the
aradhana mein hui chook se ruskar
aksar band kar lete the apne kapat
ye un dinon ki baat hai
jab devta se Darane ke sthaan par
wo apne prem ki saugandh deta raha
ye un dinon ki baat hai
jab laakh na chahte hue bhi
mujhe manni hi paDi
mrityu ke tay samay se aane vali baat
ki use bhala kya haDbaDi hogi
aur ye bhi ki sarkari naukariyon ki
pravesh parikshaon ki tarah
wo jab bhi aai
hamein yahi laga ki thoDa aur vakt to
milna hi chahiye tha.
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.