उस युग में
घर-घर में गूँजते थे
तुकाराम के अभंग
सोये हृदयों में जागे थे पाण्डुरंग;
ज्ञानेश्वर के छंद
अमृत को करें पराजित;
उर में उगाते थे
अमृत रस के नव अंकुर
अब सब-कुछ बदल गया:
भाई रे, दुनिया चली गई आगे—
भूलो वह गान पुरातन
राधा-कृष्ण माता-पिता;
अब तो हर होंठ पर
लारे-लप्पा लारे-लप्पा।
बहुत पुरानी है ये कहानी
देख कर क्रौंच-वध
बाल्मीकि की करुणा में
उग आए छंद अनुष्टुप के;
आख़िर किसलिए पुरानी बातें
यार मेरे भूलो सब काव्य;
अब तो जासूसी कथाओं का
बढ़ता बाज़ार-भाव
अब सब कुछ बदल गया
भाई रे, दुनिया चली गई आगे—
अब ऐसा कुछ लिखो रहस्यमय
छह पन्नों में हो जाएँ ख़ून सात।
उस प्रतिभा की स्तुति
जिसके छूते ही
जड़ पत्थर में
साकार हुआ उर का स्पंदन;
सात रंग का जादू
वहाँ अजंता के पाषाणों में,
मठ में वेरूल के
सौंदर्य खड़ा है मूर्तिमान,
अब सब कुछ बदल गया
भाई रे, दुनिया चली गई आगे—
नहीं चाहिए वेरूल या कि अजंता
मूर्ति तोड़ दो या फोड़ दो
अभिनेत्री की मोटर के आगे
जुड़ता समूह अब लाखों का।
कल पढ़ा कहीं
कोई निकला पदयात्रा पर
भूमिदान लेने को
कहता है वह
आत्मा की ताक़त से
लाऊँगा शांति जगत् में
कहता है
प्रेम के गर्भ में ही छिपी है सब क्रांति,
अब सब कुछ बदल गया
भाई रे, दुनिया चली गई आगे—
बेकार भला क्यों
लगे गर्द इन पैरों में?
चलो लगाएँ टिकिट-घरों के सम्मुख क्यू
अब संस्कृति याने रेशम का बुशकोट
जिस पर अंकित हों हाथी घोड़े ऊँट।
अब संस्कृति याने
लाल रँगे वे होंठ
अब संस्कृति याने
केवल प्रचार औ' विज्ञापन;
अब सब कुछ बदल गया
भाई रे, दुनिया चली गई आगे—
भव सागर से पार उतरने
मंत्र एक जप भाई
लारे-लप्पा लारे-लप्पा।
us yug men
ghar ghar mein gunjte the
tukaram ke abhang
gyaneshvar ke chhand
amrit ko karen parajit;
soye hridyon mein jage the panDurang;
dar mein ugate the
amrit ras ke nav ankur
ab sab kuch badal gayah
bhai re, duniya chali gai aage—
bhulo wo gaan puratan
radha krishn mata pita;
ab to har honth par
lare lappa lare lappa.
bahut purani hai ye kahani
dekh kar kraunch vadh
balmiki ki karuna men
ug aaye chhand anushtup ke;
akhir kisaliye purani baten
yaar mere bhulo sab kaavy;
ab to jasusi kathaon ka
baDhta bazar bhaav
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
ab aisa kuch likho rahasyamay
chhah pannon mein ho jayen khoon saat.
us pratibha ki istuti
jiske chhute hi
jaD patthar men
sakar hua ur ka spandan;
saat rang ka jadu
vahan ajanta ke pashanon mein,
math mein verul ke
saundarya khaDa hai murtiman,
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
nahin chahiye verul ya ki ajanta
murti toD do ya phoD do
abhinetri ki motor ke aage
juDta samuh ab lakhon ka.
kal paDha kahin
koi nikla padyatra par
bhumidan lene ko
kahta hai wo
aatma ki takat se
launga shanti jagat men
kahta hai
prem ke garbh mein hi chhipi hai sab kranti,
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chalo gai aage—
bekar bhala kyon
lage gard in pairon men?
chalo lagayen tikit gharon ke sammukh kyu
ab sanskriti yane resham ka bushkot
jis par ankit hon hathi ghoDe unt.
ab sanskriti yane
laal range ve honth
ab sanskriti yane
keval parchar au vigyapan;
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
bhav sagar se paar utarne
mantr ek jap bhai
lare lappa lare lappa
us yug men
ghar ghar mein gunjte the
tukaram ke abhang
gyaneshvar ke chhand
amrit ko karen parajit;
soye hridyon mein jage the panDurang;
dar mein ugate the
amrit ras ke nav ankur
ab sab kuch badal gayah
bhai re, duniya chali gai aage—
bhulo wo gaan puratan
radha krishn mata pita;
ab to har honth par
lare lappa lare lappa.
bahut purani hai ye kahani
dekh kar kraunch vadh
balmiki ki karuna men
ug aaye chhand anushtup ke;
akhir kisaliye purani baten
yaar mere bhulo sab kaavy;
ab to jasusi kathaon ka
baDhta bazar bhaav
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
ab aisa kuch likho rahasyamay
chhah pannon mein ho jayen khoon saat.
us pratibha ki istuti
jiske chhute hi
jaD patthar men
sakar hua ur ka spandan;
saat rang ka jadu
vahan ajanta ke pashanon mein,
math mein verul ke
saundarya khaDa hai murtiman,
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
nahin chahiye verul ya ki ajanta
murti toD do ya phoD do
abhinetri ki motor ke aage
juDta samuh ab lakhon ka.
kal paDha kahin
koi nikla padyatra par
bhumidan lene ko
kahta hai wo
aatma ki takat se
launga shanti jagat men
kahta hai
prem ke garbh mein hi chhipi hai sab kranti,
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chalo gai aage—
bekar bhala kyon
lage gard in pairon men?
chalo lagayen tikit gharon ke sammukh kyu
ab sanskriti yane resham ka bushkot
jis par ankit hon hathi ghoDe unt.
ab sanskriti yane
laal range ve honth
ab sanskriti yane
keval parchar au vigyapan;
ab sab kuch badal gaya
bhai re, duniya chali gai aage—
bhav sagar se paar utarne
mantr ek jap bhai
lare lappa lare lappa
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि संकलन कविता मराठी (पृष्ठ 124)
रचनाकार : मंगेश पाडगाँवकर
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ प्रकाशन
संस्करण : 1965
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.