मेरी दाहिनी आँख ने
मेरी बाईं के विरोध में
बग़ावत छेड़ दी है
उसका लक्ष्य
मुझे दृष्टि देना नहीं
बल्कि बाईं का
विरोध करना रह गया है
बाईं ने दूर दृष्टि विकसित कर ली
समय पर खुदे अक्षरों को नकार
दूरी पर टँगे विज्ञापनी बोर्डों को वह
बड़ी आसानी से पढ़ लेती है
दाईं की ज़िद है कि
वह बस आस-पास देखेगी
दोनों कि इस ज़िद ने
एक अजीब-सा माहौल पैदा कर दिया है
मेरे क़रीब हर किसी की
खाल के भीतर छिपी लकीरें
जिन्हें उन्होंने बेहद चालाकी से छिपाया था
दाहिनी आँख साफ़-साफ़ देख लेती है
और बाईं है कि अब भी
दूर, बेहद दूर से किसी उस
के आने की आहट
सुनती रहती है
जो कभी था ही नहीं,
मैं दरख़्तों को देखती हूँ
तो चिड़िया की आँख दिख जाती है
और समंदर की लहरों की जगह
फेन दीख पड़ता है
आज-कल मैं वह सब देख लेती हूँ
जो कभी देख भी नहीं पाई!
meri dahini ankh ne
meri bain ke wirodh mein
baghawat chheD di hai
uska lakshya
mujhe drishti dena nahin
balki bain ka
wirodh karna rah gaya hai
bain ne door drishti wiksit kar li
samay par khude akshron ko nakar
duri par tange wigyapni borDon ko wo
baDi asani se paDh leti hai
dain ki zid hai ki
wo bus aas pas dekhegi
donon ki is zid ne
ek ajib sa mahaul paida kar diya hai
mere qarib har kisi ki
khaal ke bhitar chhipi lakiren
jinhen unhonne behad chalaki se chhipaya tha
dahini ankh saf saf dekh leti hai
aur bain hai ki ab bhi
door, behad door se kisi us
ke aane ki aahat
sunti rahti hai
jo kabhi tha hi nahin,
main darakhton ko dekhti hoon
to chiDiya ki ankh dikh jati hai
aur samandar ki lahron ki jagah
phen deekh paDta hai
aj kal main wo sab dekh leti hoon
jo kabhi dekh bhi nahin pai!
meri dahini ankh ne
meri bain ke wirodh mein
baghawat chheD di hai
uska lakshya
mujhe drishti dena nahin
balki bain ka
wirodh karna rah gaya hai
bain ne door drishti wiksit kar li
samay par khude akshron ko nakar
duri par tange wigyapni borDon ko wo
baDi asani se paDh leti hai
dain ki zid hai ki
wo bus aas pas dekhegi
donon ki is zid ne
ek ajib sa mahaul paida kar diya hai
mere qarib har kisi ki
khaal ke bhitar chhipi lakiren
jinhen unhonne behad chalaki se chhipaya tha
dahini ankh saf saf dekh leti hai
aur bain hai ki ab bhi
door, behad door se kisi us
ke aane ki aahat
sunti rahti hai
jo kabhi tha hi nahin,
main darakhton ko dekhti hoon
to chiDiya ki ankh dikh jati hai
aur samandar ki lahron ki jagah
phen deekh paDta hai
aj kal main wo sab dekh leti hoon
jo kabhi dekh bhi nahin pai!
स्रोत :
रचनाकार : रति सक्सेना
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.