दूर देश में
मर गया है कोई कवि
हवा में घुला है थोड़ा और ज़हर
धरती की नमी कुछ और हुई कम
एक आवाज़ थी
क़लम से लड़ती रही
मानवीय गरिमा के पक्ष में
केंद्र से बेदख़ल
परिधि में खड़ी रही बरसों-बरस
भूल गए सब उसका नाम
सिवाय उनके
जिनकी थालियाँ अब भी ख़ाली
और पसीने में जिनके नमक था
निहत्था लड़ता रहा कवि
अपने शब्दों को ताने
राजा की झूठी तारीफ़ में एक भी
शब्द ज़ाया न करने वाला वह आख़िरी कवि था
अक्सर चुप रहने वाली वह औरत
जो सपनों में नचिकेता, सुकरात और गैलीलियो से बात करती थी
पिछले कई चुनावों से ‘नोटा’ का बटन दबा
प्रजातंत्र से वफ़ादारी करती स्त्री
सुदुर देश के कवि के मरने पर
अपने परिवार से छिप
पौधों के पास बैठ अकेले रोई
आकाश कुछ विनम्र हुआ
और बादल थोड़ा शिष्ट।
(पोलिश कवि अदम जगाएवस्की की मृत्यु पर)
mar gaya hai koi kavi
hava mein ghula hai thoDa aur zahr
dharti ki nami kuch aur hui kam
ek avaz thi
kalam se laDti rahi
manaviy garima ke paksh mein
kendr se bedkhal
paridhi mein khaDi rahi barso baras
bhool gaye sab uska naam
sivay unke
jinki thaliyan ab bhi khali
aur pasine mein jinke namak tha
nihattha laDta raha kavi
apne shabdon ko tane
raja ki jhuthi tarif mein ek bhi
shabd jaya na karne vala wo akhiri kavi tha
aksar chup rahne vali wo aurat
jo sapnon mein nachiketa, sukrat aur gaililiyo se baat karti thi
pichhle kai chunavon se ‘nota’ ka button daba
prajatantr se vafadari karti istri
sudur desh ke kavi ke marne par
apne parivar se chhip
paudhon ke paas baith akele roi
akash kuch vinamr hua
aur badal thoDa shisht.
(polish kavi jagayevaski ki mirtyu par)
mar gaya hai koi kavi
hava mein ghula hai thoDa aur zahr
dharti ki nami kuch aur hui kam
ek avaz thi
kalam se laDti rahi
manaviy garima ke paksh mein
kendr se bedkhal
paridhi mein khaDi rahi barso baras
bhool gaye sab uska naam
sivay unke
jinki thaliyan ab bhi khali
aur pasine mein jinke namak tha
nihattha laDta raha kavi
apne shabdon ko tane
raja ki jhuthi tarif mein ek bhi
shabd jaya na karne vala wo akhiri kavi tha
aksar chup rahne vali wo aurat
jo sapnon mein nachiketa, sukrat aur gaililiyo se baat karti thi
pichhle kai chunavon se ‘nota’ ka button daba
prajatantr se vafadari karti istri
sudur desh ke kavi ke marne par
apne parivar se chhip
paudhon ke paas baith akele roi
akash kuch vinamr hua
aur badal thoDa shisht.
(polish kavi jagayevaski ki mirtyu par)
स्रोत :
रचनाकार : प्रीति चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.