अँगड़ाई में कट गए फूलों से दिन
चिड़ियों की चहकन से शुरू हुआ दिन
आसमानी चादर ताने गुनगुने दिन
मख़मली घास की सेज पर गीत गाते दिन
सूरज के जूते में फीता बाँधते दिन
या पीछे से हाथों से आँखें मूँदता दिन
भरी दुपहरी में सरसराता दिन
लोहित आकाश में क़नात फैलाए दिन
सूरज को परदेस भेजकर सुबक रहा दिन
ढलने की पारी से लड़ रहा दिन
चाँद के चेहरे पर क्रीम लगाकर लौट आना दिन
चिड़ियों की चहक में फूलों की महक में
प्रभाती से आकाश से पाताल से
दसों दिशाओं से ऋतुओं से
नक्षत्रों से पक्षों से
मास-पहर और सातों घोड़े से कह दो
कि सूरज के संग रोमांस करने का वक़्त हो गया है।
angDai mein kat gaye phulon se din
chiDiyon ki chahkan se shuru hua din
asmani chadar tane gungune din
makhmali ghas ki sej par geet gate din
suraj ke jute mein phita bandhte din
ya pichhe se hathon se ankhen mundta din
bhari dupahri mein sarsarata din
lohit akash mein qanat phailaye din
suraj ko pardes bhejkar subak raha din
Dhalne ki pari se laD raha din
chand ke chehre par kreem lagakar laut aana din
chiDiyon ki chahak mein phulon ki mahak mein
prabhati se akash se patal se
dason dishaon se rituon se
nakshatron se pakshon se
mas pahar aur saton ghoDe se kah do
ki suraj ke sang romans karne ka waqt ho gaya hai
angDai mein kat gaye phulon se din
chiDiyon ki chahkan se shuru hua din
asmani chadar tane gungune din
makhmali ghas ki sej par geet gate din
suraj ke jute mein phita bandhte din
ya pichhe se hathon se ankhen mundta din
bhari dupahri mein sarsarata din
lohit akash mein qanat phailaye din
suraj ko pardes bhejkar subak raha din
Dhalne ki pari se laD raha din
chand ke chehre par kreem lagakar laut aana din
chiDiyon ki chahak mein phulon ki mahak mein
prabhati se akash se patal se
dason dishaon se rituon se
nakshatron se pakshon se
mas pahar aur saton ghoDe se kah do
ki suraj ke sang romans karne ka waqt ho gaya hai
स्रोत :
रचनाकार : अरुणाभ सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.