धूप की भाषा-सी
खिड़की में मत खड़ी होओ प्रिया!
शॉल-सा
कंधों पर पड़ा यह फाल्गुन
चैत्र-सा तपने लगेगा!
केश सुखा लेने के बाद
ढीला जूड़ा बना
तुम तो लौट जाओगी,
परंतु तुम्हें क्या पता, कि
तुम—
इस गवाक्ष आकाश और
बालुकणों जैसे रिसते
इस नि:शब्द समय से कहीं अधिक
मुझमें एक मर्म
एक प्रसंग बन कर लिखी जा चुकी हो
प्रिया!
इस प्रकार लिखा जाना ही पुरालेख होता है
हवा, तुम्हारा आँचल
मुझमें मलमली भाव से टाँक गई है
जैसे कि पहली बार
मेरे आकाश को मंदाकिनी मिली हो
भले ही अब यहाँ कुछ भी न हो
फिर भी
तुम्हारी वह चीनांशुक-पताका
कैसी आकुल पुकार-सी लगती है
जैसे कि उस पुकार पर जाना
इतिहास में जाना है—
जहाँ प्रत्येक पत्थर पर
अधूरे पात्र
और आकुल घटनाएँ
अपनी भाषा की तलाश में कब से थरथरा रही हैं
इससे पूर्व, कि
यह उजाड़ रूपमती महल लगे
समेट लो अपनी यह वैभव-मुद्रा
इसलिए धूप की भाषा-सी
खिड़की में मत खड़ी होओ प्रिया!
इतिहास में जाकर फिर लौटना नहीं होता!
dhoop ki bhasha si
khiDki mein mat khaDi hoo priya!
shaul sa
kandhon par paDa ye phalgun
chaitr sa tapne lagega!
kesh sukha lene ke baad
Dhila juDa bana
tum to laut jaogi,
parantu tumhein kya pata, ki
tum—
is gawaksh akash aur
baluknon jaise riste
is nihshabd samay se kahin adhik
mujhmen ek marm
ek prsang ban kar likhi ja chuki ho
priya!
is prakar likha jana hi puralekh hota hai
hawa, tumhara anchal
mujhmen malamli bhaw se tank gai hai
jaise ki pahli bar
mere akash ko mandakini mili ho
bhale hi ab yahan kuch bhi na ho
phir bhi
tumhari wo chinanshuk pataka
kaisi aakul pukar si lagti hai
jaise ki us pukar par jana
itihas mein jana hai—
jahan pratyek patthar par
adhure patr
aur aakul ghatnayen
apni bhasha ki talash mein kab se tharthara rahi hain
isse poorw, ki
ye ujaD rupmati mahl lage
samet lo apni ye waibhaw mudra
isliye dhoop ki bhasha si
khiDki mein mat khaDi hoo priya!
itihas mein jakar phir lautna nahin hota!
dhoop ki bhasha si
khiDki mein mat khaDi hoo priya!
shaul sa
kandhon par paDa ye phalgun
chaitr sa tapne lagega!
kesh sukha lene ke baad
Dhila juDa bana
tum to laut jaogi,
parantu tumhein kya pata, ki
tum—
is gawaksh akash aur
baluknon jaise riste
is nihshabd samay se kahin adhik
mujhmen ek marm
ek prsang ban kar likhi ja chuki ho
priya!
is prakar likha jana hi puralekh hota hai
hawa, tumhara anchal
mujhmen malamli bhaw se tank gai hai
jaise ki pahli bar
mere akash ko mandakini mili ho
bhale hi ab yahan kuch bhi na ho
phir bhi
tumhari wo chinanshuk pataka
kaisi aakul pukar si lagti hai
jaise ki us pukar par jana
itihas mein jana hai—
jahan pratyek patthar par
adhure patr
aur aakul ghatnayen
apni bhasha ki talash mein kab se tharthara rahi hain
isse poorw, ki
ye ujaD rupmati mahl lage
samet lo apni ye waibhaw mudra
isliye dhoop ki bhasha si
khiDki mein mat khaDi hoo priya!
itihas mein jakar phir lautna nahin hota!
स्रोत :
पुस्तक : समिधा (पृष्ठ 261)
रचनाकार : श्रीनरेश मेहता
प्रकाशन : लोकभारती प्रकाशन
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.