चार बजे की तिरछी धूप
खपरैल की छत पर
एक बोलता कव्वा
हस्तरेखाएँ देखने वाले ज्योतिषी की-सी आँख वाला
कव्वे के साथ बैठती है उसकी छाया भी
तिरछी
आँगन में
एक काँपते हाथ जैसी
नारियल के पत्ते की तिरछी छाया
मेरे कमरे में
खिड़की की सलाख़ों की इकहरी छायाएँ
वे भी तिरछी
दरवाज़े के बाहर
चलता एक अजनबी
क्यों उसके क़दमों की आवाज़ भी
तिरछी
कव्वे की भविष्यवाणियाँ
समुद्री हवा की गुनगुनाहट
राह चलते आदमी के क़दमों की आवाज़
क्यों सब तिरछे?
मुझे शक होता है
आख़िरकार
मेरी मेज़ पर
पृथ्वी अपनी धुरी पर तिरछी
मैं इस पर बैठी हूँ सीधी
जब इस तिरछी धरती पर
हर चीज़ तिरछी
क्यों सिर्फ़ मैं
बैठी हूँ सीधी?
chaar baje ki tirchhi dhoop
khaprail ki chhat par
ek bolta kavva
hastrekhayen dekhne vale jyotishi ki si ankh vala
kavve ke saath baithti hai uski chhaya bhi
tirchhi
angan men
ek kanpte haath jaisi
nariyal ke patte ki tirchhi chhaya
mere kamre men
khiDki ki salakhon ki ikahri chhayayen
ve bhi tirchhi
darvaze ke bahar
chalta ek ajnabi
kyon uske qadmon ki avaz bhi
tirchhi
kavve ki bhavishyvaniyan
samudri hava ki gungunahat
raah chalte adami ke qadmon ki avaz
kyon sab tirchhe?
mujhe shak hota hai
akhiraka
meri mez par
prithvi apni dhuri par tirchhi
main is par baithi hoon sidhi
jab is tirchhi dharti par
har cheez tirchhi
kyon sirf main
baithi hoon sidhi?
chaar baje ki tirchhi dhoop
khaprail ki chhat par
ek bolta kavva
hastrekhayen dekhne vale jyotishi ki si ankh vala
kavve ke saath baithti hai uski chhaya bhi
tirchhi
angan men
ek kanpte haath jaisi
nariyal ke patte ki tirchhi chhaya
mere kamre men
khiDki ki salakhon ki ikahri chhayayen
ve bhi tirchhi
darvaze ke bahar
chalta ek ajnabi
kyon uske qadmon ki avaz bhi
tirchhi
kavve ki bhavishyvaniyan
samudri hava ki gungunahat
raah chalte adami ke qadmon ki avaz
kyon sab tirchhe?
mujhe shak hota hai
akhiraka
meri mez par
prithvi apni dhuri par tirchhi
main is par baithi hoon sidhi
jab is tirchhi dharti par
har cheez tirchhi
kyon sirf main
baithi hoon sidhi?
स्रोत :
पुस्तक : शब्द सेतु (दस भारतीय कवि) (पृष्ठ 107)
संपादक : गिरधर राठी
रचनाकार : कवयित्री के साथ अनुवादक के. सच्चिदानंदन, राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.