छू रहा है सूर्य पच्छिम के क्षितिज को,
दूर पर जो घास, कंचन-सी चमकती,
धूलिमय पथ से गुज़रते बंदियों की
शृंखलाएँ झनझनातीं।
सिर मुंडे उनके, चले वे जा रहे हैं,
थके पाँवों को उठाते औ' बढ़ाते,
मस्तकों पर वेदना की हैं लकीरें
और दिलों में धड़कनें संदेह की हैं।
वे चले ही जा रहे, परछाइयाँ उनकी बढ़ी ही जा रही हैं,
सिर झुकाए जानवर दो एक गाड़ी खींचते है,
एक पहरेदार जिसमें ऊँघता-सा
जा रहा कुछ फासले पर।
(एक बंदी बोलता है)
“भाइयों गाएँ न मिलकर गीत कोई?
और क्षणभर के लिए दुर्भाग्य अपना भूल जाएँ।
जन्म जब हमने लिया था,
तभी विधि ने लिख दिया था,
हम बड़े हों तो बड़ा ही कष्ट पाएँ।
साथ मिलकर एक धुन वे छेड़ते हैं।
और फिर धुन गीत में है फट पड़ती, गीत जिसमें
दिन बड़े सुख-चैन के हैं
और मौसम है सुहाना
और लंबा एक दरिया दूर तक स्वच्छंद बहता जा रहा है।
और वे स्वाधीनता का और खुले मैदान का हैं गीत गाते,
और ऐसी आन का जिसको झुका दुनिया न पाती।
ढल रहा दिन, और पथ पर बंदियों की
शृंखलाएँ झनझनाती चली जातीं।
chhu raha hai surya pachchhim ke kshaitij ko,
door par jo ghaas, kanchan si chamakti,
dhulimay path se gujarte vadiyon ki
shrrinkhlayen jhanjhanati.
sir munDe unke, chale ve ja rahe hain,
thake pavon ko uthate o baDhate,
mastkon par vedna ki hain lakiren
aur dilo mein dhaDakne sandeh ki hai.
ve chale ho ja rahe, parchhaiyan unki baDhi hi ja rahi hain,
sir jhukaye janvar do ek gaDi khinchte hai,
ek pahredar jismen unghta sa
ja raha kuch phasle par.
(ek bandi bolta hai)
“bhaiyon gayen na mulkar geet koi?
aur kshanbhar ke liye durbhagy apna bhool jayen.
janm jab hamne liya tha,
tabhi vidhi ne likh diya tha,
hum baDe ho to baDa hi kasht payen.
saath milkar ek dhun ve chheDte hain.
aur phir dhun geet mein hai phat paDti, geet jismen
din baDe sukh chain ke hain
aur mausam hai suhana
aur lamba ek dariya door tak svachchhad bahta ja raha hai.
aur ve svadhinata ka aur khule maidan ka hain geet gate,
aur aisi aan ka jisko jhuka duniya na pati.
Dhal raha din, aur path par vadiyon ki
shrinkhlayen jhanjhanati chali jati.
chhu raha hai surya pachchhim ke kshaitij ko,
door par jo ghaas, kanchan si chamakti,
dhulimay path se gujarte vadiyon ki
shrrinkhlayen jhanjhanati.
sir munDe unke, chale ve ja rahe hain,
thake pavon ko uthate o baDhate,
mastkon par vedna ki hain lakiren
aur dilo mein dhaDakne sandeh ki hai.
ve chale ho ja rahe, parchhaiyan unki baDhi hi ja rahi hain,
sir jhukaye janvar do ek gaDi khinchte hai,
ek pahredar jismen unghta sa
ja raha kuch phasle par.
(ek bandi bolta hai)
“bhaiyon gayen na mulkar geet koi?
aur kshanbhar ke liye durbhagy apna bhool jayen.
janm jab hamne liya tha,
tabhi vidhi ne likh diya tha,
hum baDe ho to baDa hi kasht payen.
saath milkar ek dhun ve chheDte hain.
aur phir dhun geet mein hai phat paDti, geet jismen
din baDe sukh chain ke hain
aur mausam hai suhana
aur lamba ek dariya door tak svachchhad bahta ja raha hai.
aur ve svadhinata ka aur khule maidan ka hain geet gate,
aur aisi aan ka jisko jhuka duniya na pati.
Dhal raha din, aur path par vadiyon ki
shrinkhlayen jhanjhanati chali jati.
स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 94)
रचनाकार : अलेक्सेइ तोल्सतोय
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.