यह लड़की जब उदास होगी
तो क्या सोचेगी?
आज नहीं
कल नहीं
बरसों बाद
यह लड़की जब उदास होगी
तो क्या सोचेगी भला?
शायद वह सोचेगी उस प्रेम के बारे में
जो भोगा नहीं उसने
शायद वह सोचेगी उस प्रेम के बारे में
जो रीत गया उसकी देह की स्मृति से
लेकिन मुमकिन है वह प्रेम के बारे में
सोचे ही नहीं
और फिर भी उदास हो जाए
शायद वह सोचेगी उन जगहों के बारे में
जहाँ कभी नहीं जा पाई वह
या उन खँडहरों को
जहाँ से निकली थी अब वह बरसों बाद
खँडहर बनकर
लेकिन हो सकता है
अपनी मिट्ठी का सफ़र वह सोचे ही नहीं
और फिर भी उदास हो जाए
आज नहीं
कल नहीं
बरसों बाद
यह लड़की जब उदास होगी
तो क्या सोचेगी भला?
शायद वह सोचेगी ईश्वर के बारे में
जो अक्सर गुम जाता था उससे
ख़ुशी के दिनों में
बचपन के सहेजकर रखे
चमकीले पत्थर की तरह
और फिर चमक उठता था अचानक
उसकी आत्मा की घुप्प अँधेरी रात में
लेकिन
गहरे उचाटपन के बावजूद मुमकिन है
उसे ईश्वर के होने-न-होने में
दिलचस्पी ही न हो
प्रेम नहीं होगा जब
यात्रा नहीं होगी जब
ईश्वर नहीं बचेगा जब
यक़ीनन सोचेगी तब वह
उन सब अधूरे, अनछुए कामों का
जो नहीं कर पाई वह
कभी प्रेम के उलझाव में
कभी ईश्वर की माया के फेर में।
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi?
aj nahin
kal nahin
barson baad
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi bhala?
shayad wo sochegi us prem ke bare mein
jo bhoga nahin usne
shayad wo sochegi us prem ke bare mein
jo reet gaya uski deh ki smriti se
lekin mumkin hai wo prem ke bare mein
soche hi nahin
aur phir bhi udas ho jaye
shayad wo sochegi un jaghon ke bare mein
jahan kabhi nahin ja pai wo
ya un khanDaharon ko
jahan se nikli thi ab wo barson baad
khanDahar bankar
lekin ho sakta hai
apni mitthi ka safar wo soche hi nahin
aur phir bhi udas ho jaye
aj nahin
kal nahin
barson baad
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi bhala?
shayad wo sochegi ishwar ke bare mein
jo aksar gum jata tha usse
khushi ke dinon mein
bachpan ke sahejkar rakhe
chamkile patthar ki tarah
aur phir chamak uthta tha achanak
uski aatma ki ghupp andheri raat mein
lekin
gahre uchatpan ke bawjud mumkin hai
use ishwar ke hone na hone mein
dilchaspi hi na ho
prem nahin hoga jab
yatra nahin hogi jab
ishwar nahin bachega jab
yaqinan sochegi tab wo
un sab adhure, anachhue kamon ka
jo nahin kar pai wo
kabhi prem ke uljhaw mein
kabhi ishwar ki maya ke pher mein
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi?
aj nahin
kal nahin
barson baad
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi bhala?
shayad wo sochegi us prem ke bare mein
jo bhoga nahin usne
shayad wo sochegi us prem ke bare mein
jo reet gaya uski deh ki smriti se
lekin mumkin hai wo prem ke bare mein
soche hi nahin
aur phir bhi udas ho jaye
shayad wo sochegi un jaghon ke bare mein
jahan kabhi nahin ja pai wo
ya un khanDaharon ko
jahan se nikli thi ab wo barson baad
khanDahar bankar
lekin ho sakta hai
apni mitthi ka safar wo soche hi nahin
aur phir bhi udas ho jaye
aj nahin
kal nahin
barson baad
ye laDki jab udas hogi
to kya sochegi bhala?
shayad wo sochegi ishwar ke bare mein
jo aksar gum jata tha usse
khushi ke dinon mein
bachpan ke sahejkar rakhe
chamkile patthar ki tarah
aur phir chamak uthta tha achanak
uski aatma ki ghupp andheri raat mein
lekin
gahre uchatpan ke bawjud mumkin hai
use ishwar ke hone na hone mein
dilchaspi hi na ho
prem nahin hoga jab
yatra nahin hogi jab
ishwar nahin bachega jab
yaqinan sochegi tab wo
un sab adhure, anachhue kamon ka
jo nahin kar pai wo
kabhi prem ke uljhaw mein
kabhi ishwar ki maya ke pher mein
स्रोत :
पुस्तक : एक दिन लौटेगी लड़की (पृष्ठ 41)
रचनाकार : गगन गिल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.