रात के अँधेरे में एक दिन
मैं सहसा मर जाऊँगा
तो लोग घंटियों की आवाज़ें नहीं सुनेंगे
वे सो रहे होंगे
वे उदास
चिंतित व्यथित लोग भी
जिन्हें रात रात भर नींद नहीं आती
दिन का उजियारा होने के पहले ही तो
उन्हें एक झपकी आती है
फिर दिन भर उनकी आँखें जलती रहती हैं
मैं खुले आकाश के नीचे मरूँगा
उस दिन साफ़ खुले आकाश में
चाँद बहुत छोटा होगा
और तारे
अपनी संपूर्ण प्रतिभा से चमक रहे होंगे
सहसा एक चिलकन
मेरे बाईं तरफ़ पैदा होगी
थोड़ी देर मैं
मृत्यु से बचने के लिए तड़पूँगा
फिर सब शांत हो जाएगा
मेरी यह मृत्यु निश्चित है
पर शायद मरने के पहले
मैं उनमें से वह नक्षत्र खोजने की
कोशिश करूँ
जिसके बारे में मुझे कुछ भी पता नहीं है
फिर मैं मर जाऊँगा
हालाँकि नींद में मरना आसान होता है
शायद कोई
मेरी पत्नी को सूचना दे
शायद थोड़ी देर
या कभी बाद में
मेरे बेटे को एक ख़ालीपन महसूस हो
जिसे उस वक़्त
वह ठीक से समझ नहीं पाएगा
शायद कुछ लोग और भी हों
प्रेम या नफ़रत से भरे हुए
पर इन क्षेत्रों में भी मैं भिखमंगा ही रहा हूँ
कुछ भी तो ठीक से मैंने नहीं किया
इतने सालों में
जो कुछ भी कर सकने के लिए काफ़ी थे
न उतना अच्छा बना
जितना बचपन में सोचता था
न उतना ओछा
जितना हो सकता था
कुछ भी तो नहीं हुआ जैसा वह संभव था
अपनी मृत्यु के बारे में
इस तरह सोचना आत्मश्लाघा है
पर ऐसे
ऐसे भी तो संभव है मृत्यु!
raat ke andhere mein ek din
main sahsa mar jaunga
to log ghantiyon ki awazen nahin sunenge
we so rahe honge
we udas
chintit wyathit log bhi
jinhen raat raat bhar neend nahin aati
din ka ujiyara hone ke pahle hi to
unhen ek jhapki aati hai
phir din bhar unki ankhen jalti rahti hain
main khule akash ke niche marunga
us din saf khule akash mein
chand bahut chhota hoga
aur tare
apni sampurn pratibha se chamak rahe honge
sahsa ek chilkan
mere bain taraf paida hogi
thoDi der main
mirtyu se bachne ke liye taDpunga
phir sab shant ho jayega
meri ye mirtyu nishchit hai
par shayad marne ke pahle
main unmen se wo nakshatr khojne ki
koshish karun
jiske bare mein mujhe kuch bhi pata nahin hai
phir main mar jaunga
halanki neend mein marna asan hota hai
shayad koi
meri patni ko suchana de
shayad thoDi der
ya kabhi baad mein
mere bete ko ek khalipan mahsus ho
jise us waqt
wo theek se samajh nahin payega
shayad kuch log aur bhi hon
prem ya nafar se bhare hue
par in kshetron mein bhi main bhikhmanga hi raha hoon
kuch bhi to theek se mainne nahin kiya
itne salon mein
jo kuch bhi kar sakne ke liye kafi the
na utna achchha bana
jitna bachpan mein sochta tha
na utna ochha
jitna ho sakta tha
kuch bhi to nahin hua jaisa wo sambhaw tha
apni mirtyu ke bare mein
is tarah sochna atmashlagha hai
par aise
aise bhi to sambhaw hai mirtyu!
raat ke andhere mein ek din
main sahsa mar jaunga
to log ghantiyon ki awazen nahin sunenge
we so rahe honge
we udas
chintit wyathit log bhi
jinhen raat raat bhar neend nahin aati
din ka ujiyara hone ke pahle hi to
unhen ek jhapki aati hai
phir din bhar unki ankhen jalti rahti hain
main khule akash ke niche marunga
us din saf khule akash mein
chand bahut chhota hoga
aur tare
apni sampurn pratibha se chamak rahe honge
sahsa ek chilkan
mere bain taraf paida hogi
thoDi der main
mirtyu se bachne ke liye taDpunga
phir sab shant ho jayega
meri ye mirtyu nishchit hai
par shayad marne ke pahle
main unmen se wo nakshatr khojne ki
koshish karun
jiske bare mein mujhe kuch bhi pata nahin hai
phir main mar jaunga
halanki neend mein marna asan hota hai
shayad koi
meri patni ko suchana de
shayad thoDi der
ya kabhi baad mein
mere bete ko ek khalipan mahsus ho
jise us waqt
wo theek se samajh nahin payega
shayad kuch log aur bhi hon
prem ya nafar se bhare hue
par in kshetron mein bhi main bhikhmanga hi raha hoon
kuch bhi to theek se mainne nahin kiya
itne salon mein
jo kuch bhi kar sakne ke liye kafi the
na utna achchha bana
jitna bachpan mein sochta tha
na utna ochha
jitna ho sakta tha
kuch bhi to nahin hua jaisa wo sambhaw tha
apni mirtyu ke bare mein
is tarah sochna atmashlagha hai
par aise
aise bhi to sambhaw hai mirtyu!
स्रोत :
पुस्तक : आईने में चेहरा (पृष्ठ 14)
रचनाकार : जितेंद्र कुमार
प्रकाशन : जयश्री प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.