ये शहर
कोई पुरानी कविता है
प्रेम की
रेलगाड़ी मुझे बार-बार
एक कविता में लाकर छोड़ देती है
रेलगाड़ी के भीतर बैठा, देखता हूँ
कि बाहर स्टेशन पर न जाने कबसे
मैं अपनी ही प्रतीक्षा में खड़ा
बस भीगता जाता हूँ
यहाँ बारिश को याद हैं
सारी कहानियाँ हमारी
दिल्लीवाली
मुझसे कहती है देखो... ये बूँद-बूँद मेट्रो है
और क़िस्सा-क़िस्सा क़ुतुब मीनार
कहती है कि अब भी एक प्रेयसी
हाथ पकड़ तुम्हारा
भटकती है गलियों में दिल्ली की
और यहाँ गूँजती है तुम्हारी आवाज़ में
शाइरी ग़ालिब की अब भी
जानती हो
ये जो पुरानी कविता है न प्रेम की
अब धीरे-धीरे उपन्यास होती जा रही है
ye shahr
koi purani kawita hai
prem ki
relgaDi mujhe bar bar
ek kawita mein lakar chhoD deti hai
relgaDi ke bhitar baitha, dekhta hoon
ki bahar station par na jane kabse
main apni hi pratiksha mein khaDa
bus bhigta jata hoon
yahan barish ko yaad hain
sari kahaniyan hamari
dilliwali
mujhse kahti hai dekho ye boond boond metro hai
aur qissa qissa qutub minar
kahti hai ki ab bhi ek preyasi
hath pakaD tumhara
bhatakti hai galiyon mein dilli ki
aur yahan gunjti hai tumhari awaz mein
shairi ghalib ki ab bhi
janti ho
ye jo purani kawita hai na prem ki
ab dhire dhire upanyas hoti ja rahi hai
ye shahr
koi purani kawita hai
prem ki
relgaDi mujhe bar bar
ek kawita mein lakar chhoD deti hai
relgaDi ke bhitar baitha, dekhta hoon
ki bahar station par na jane kabse
main apni hi pratiksha mein khaDa
bus bhigta jata hoon
yahan barish ko yaad hain
sari kahaniyan hamari
dilliwali
mujhse kahti hai dekho ye boond boond metro hai
aur qissa qissa qutub minar
kahti hai ki ab bhi ek preyasi
hath pakaD tumhara
bhatakti hai galiyon mein dilli ki
aur yahan gunjti hai tumhari awaz mein
shairi ghalib ki ab bhi
janti ho
ye jo purani kawita hai na prem ki
ab dhire dhire upanyas hoti ja rahi hai
स्रोत :
रचनाकार : सौरभ अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.