मैं इस तरह परास्त हो गया हूँ
कि प्रेम को कुछ और कहते-कहते
कुछ और हो गया हूँ सामने
जब एक चेहरा धीरे-धीरे अपने में डूबकर
मेरी ऊब के सन्नाटे में फैल रहा है
प्रेम को प्रेम कहने की आवाज़
जरा-जीर्ण मृत्यु के आकार में परास्त है
मैं इस तरह परास्त हो गया हूँ
मेरी भावनाएँ गहरी
मेरे पाप की तरह अपने आप मरती
जीती हैं मेरी नींद के दरिया में
भँवर
मेरी ख़ामोशी मेरे हर शब्द से परास्त
मैं इस तरह परास्त हो गया हूँ
कि मेरा पता चलना मुश्किल है।
main is tarah parast ho gaya hoon
ki prem ko kuch aur kahte kahte
kuch aur ho gaya hoon samne
jab ek chehra dhire dhire apne mein Dubkar
meri ub ke sannate mein phail raha hai
prem ko prem kahne ki awaz
jara jeern mirtyu ke akar mein parast hai
main is tarah parast ho gaya hoon
meri bhawnayen gahri
mere pap ki tarah apne aap marti
jiti hain meri neend ke dariya mein
bhanwar
meri khamoshi mere har shabd se parast
main is tarah parast ho gaya hoon
ki mera pata chalna mushkil hai
main is tarah parast ho gaya hoon
ki prem ko kuch aur kahte kahte
kuch aur ho gaya hoon samne
jab ek chehra dhire dhire apne mein Dubkar
meri ub ke sannate mein phail raha hai
prem ko prem kahne ki awaz
jara jeern mirtyu ke akar mein parast hai
main is tarah parast ho gaya hoon
meri bhawnayen gahri
mere pap ki tarah apne aap marti
jiti hain meri neend ke dariya mein
bhanwar
meri khamoshi mere har shabd se parast
main is tarah parast ho gaya hoon
ki mera pata chalna mushkil hai
स्रोत :
पुस्तक : जब ख़ुद नहीं था (पृष्ठ 52)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : कवि प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.