एक सुबह उठते ही लगता है
मेरा विश्वास
जो मेरी परछाईं की तरह
मेरे संग था
कल मुझको सोते में
छोड़कर चला गया—
मैं बूढ़ा हो गया हूँ।
छूटा जा रहा मेरा प्रेम। मैं बिल्कुल
अकेला हो जाऊँगा
क्या होगा!
किसको पुकारूँगा?
सारा दिन कैसे गुज़ारूँगा?
सोने के पहले अपने वस्त्र
क्या आईने में
अपना अकेलापन देखने के लिए उतारूँगा?
स्त्रियाँ जो प्रेमिका नहीं थीं न वेश्याएँ
बिस्तर पर
छाप की तरह
दूसरे सवेरे धुल जाती हैं।
केवल एक स्त्री की साड़ी की गंध
और चूड़ियों से
झरता हुआ दिन (या उसके साथ
पड़ा हुआ मैं
और पलंग से
उतरता हुआ दिन)
एक सुबह उठते ही लगता है
वह मुझको
छोड़कर चली गई। मैं अचानक
बूढ़ा हो गया हूँ...
क्या होगा? कैसे गुज़ारूँगा?
क्या मैं अपने गुज़रे जीवन को
एक काग़ज़ पर लिखी हुई
कविता की तरह
दूसरे काग़ज़ पर
उतारूँगा?
क्या मैं यह सोचूँगा
कि यदि मैंने उस पर शासन भी
किया होता
तो वह नहीं जाती!
और क्या मैं फिर
शासन के लिए
एक शासक का चेहरा
(जिसे उसने किसी और से लिया था)
जाकर उधार लाऊँगा?
क्या मैं एक स्त्री के लिए
नक़ली
तमंचा लिए
बस्तर पर लूँगा
अवतार?
क्या मैं उसी स्त्री से
फिर से
रचाऊँगा
विवाह?
आख़िर मैं लूँ भी तो किससे सलाह?
दिन चढ़ते-चढ़ते
मैं अकेला हो जाता हूँ।
मैं हरेक रास्ते पर कुछ दूर
चलकर
पाता हूँ
यह रास्ता
ग़लत था।
मेरा विश्वास जो मेरी परछाईं की तरह
मेरे संग था
मुझे छोड़ गया है
मैं अपनी दो टाँगों पर
टँगा हुआ
गठ्ठर हो गया
हूँ।
वह स्त्री
जो छोड़कर चली गई
जानती थी
मैं उसके वक्ष में छिपाए हुए
मुँह
एक शुतुमुर्ग़नुमा
ठट्ठर
हो गया हूँ।
मैं क्या करूँ?
क्या मैं छिपाऊँ इश्तिहार?
क्या मैं बन जाऊँ किसी
क्लब का सदस्य?
क्या मैं बैठे-बैठे
करूँ सभी
परिचित-अपरिचित को फ़ोन?
क्या मैं तमाम मूर्ख स्त्रियों से हँस-हँसकर
बात करूँ, झुक-झुक नमस्कार?
दूसरों के बच्चों से
झूठ-मूठ प्यार?
अपनी वर्षगाँठ पर
एक अल्प-समारोह?
अपने प्रेम-पत्रों से घबराकर
क्या मैं करूँ
समाचारपत्रों से
मोह?
मैं क्या करूँ? क्या मैं जीने की कोशिश में
किसी और दुनिया में
जा मरूँ?
ek subah uthte hi lagta hai
mera wishwas
jo meri parchhain ki tarah
mere sang tha
kal mujhko sote mein
chhoDkar chala gaya—
main buDha ho gaya hoon
chhuta ja raha mera prem main bilkul
akela ho jaunga
kya hoga!
kisko pukarunga?
sara din kaise guzarunga?
sone ke pahle apne wastra
kya aine mein
apna akelapan dekhne ke liye utarunga?
striyan jo premika nahin theen na weshyayen
bistar par
chhap ki tarah
dusre sawere dhul jati hain
kewal ek istri ki saDi ki gandh
aur chuDiyon se
jharta hua din (ya uske sath
paDa hua main
aur palang se
utarta hua din)
ek subah uthte hi lagta hai
wo mujhko
chhoDkar chali gai main achanak
buDha ho gaya hoon
kya hoga? kaise guzarunga?
kya main apne guzre jiwan ko
ek kaghaz par likhi hui
kawita ki tarah
dusre kaghaz par
utarunga?
kya main ye sochunga
ki yadi mainne us par shasan bhi
kiya hota
to wo nahin jati!
aur kya main phir
shasan ke liye
ek shasak ka chehra
(jise usne kisi aur se liya tha)
jakar udhaar launga?
kya main ek istri ke liye
naqli
tamancha liye
bastar par lunga
autar?
kya main usi istri se
phir se
rachaunga
wiwah?
akhir main loon bhi to kisse salah?
din chaDhte chaDhte
main akela ho jata hoon
main harek raste par kuch door
chalkar
pata hoon
ye rasta
ghalat tha
mera wishwas jo meri parchhain ki tarah
mere sang tha
mujhe chhoD gaya hai
main apni do tangon par
tanga hua
gaththar ho gaya
hoon
wo istri
jo chhoDkar chali gai
janti thi
main uske waksh mein chhipaye hue
munh
ek shutumurghanuma
thatthar
ho gaya hoon
main kya karun?
kya main chhipaun ishtihar?
kya main ban jaun kisi
club ka sadasy?
kya main baithe baithe
karun sabhi
parichit aprichit ko phone?
kya main tamam moorkh striyon se hans hansakar
baat karun, jhuk jhuk namaskar?
dusron ke bachchon se
jhooth mooth pyar?
apni warshaganth par
ek alp samaroh?
apne prem patron se ghabrakar
kya main karun
samacharpatron se
moh?
main kya karun? kya main jine ki koshish mein
kisi aur duniya mein
ja marun?
ek subah uthte hi lagta hai
mera wishwas
jo meri parchhain ki tarah
mere sang tha
kal mujhko sote mein
chhoDkar chala gaya—
main buDha ho gaya hoon
chhuta ja raha mera prem main bilkul
akela ho jaunga
kya hoga!
kisko pukarunga?
sara din kaise guzarunga?
sone ke pahle apne wastra
kya aine mein
apna akelapan dekhne ke liye utarunga?
striyan jo premika nahin theen na weshyayen
bistar par
chhap ki tarah
dusre sawere dhul jati hain
kewal ek istri ki saDi ki gandh
aur chuDiyon se
jharta hua din (ya uske sath
paDa hua main
aur palang se
utarta hua din)
ek subah uthte hi lagta hai
wo mujhko
chhoDkar chali gai main achanak
buDha ho gaya hoon
kya hoga? kaise guzarunga?
kya main apne guzre jiwan ko
ek kaghaz par likhi hui
kawita ki tarah
dusre kaghaz par
utarunga?
kya main ye sochunga
ki yadi mainne us par shasan bhi
kiya hota
to wo nahin jati!
aur kya main phir
shasan ke liye
ek shasak ka chehra
(jise usne kisi aur se liya tha)
jakar udhaar launga?
kya main ek istri ke liye
naqli
tamancha liye
bastar par lunga
autar?
kya main usi istri se
phir se
rachaunga
wiwah?
akhir main loon bhi to kisse salah?
din chaDhte chaDhte
main akela ho jata hoon
main harek raste par kuch door
chalkar
pata hoon
ye rasta
ghalat tha
mera wishwas jo meri parchhain ki tarah
mere sang tha
mujhe chhoD gaya hai
main apni do tangon par
tanga hua
gaththar ho gaya
hoon
wo istri
jo chhoDkar chali gai
janti thi
main uske waksh mein chhipaye hue
munh
ek shutumurghanuma
thatthar
ho gaya hoon
main kya karun?
kya main chhipaun ishtihar?
kya main ban jaun kisi
club ka sadasy?
kya main baithe baithe
karun sabhi
parichit aprichit ko phone?
kya main tamam moorkh striyon se hans hansakar
baat karun, jhuk jhuk namaskar?
dusron ke bachchon se
jhooth mooth pyar?
apni warshaganth par
ek alp samaroh?
apne prem patron se ghabrakar
kya main karun
samacharpatron se
moh?
main kya karun? kya main jine ki koshish mein
kisi aur duniya mein
ja marun?
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 39)
रचनाकार : श्रीकांत वर्मा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.