बाबा!
मुझे उतनी दूर मत ब्याहना
जहाँ मुझसे मिलने जाने ख़ातिर
घर की बकरियाँ बेचनी पड़े तुम्हें
मत ब्याहना उस देश में
जहाँ आदमी से ज़्यादा
ईश्वर बसते हों
जंगल नदी पहाड़ नहीं हों जहाँ
वहाँ मत कर आना मेरा लगन
वहाँ तो क़तई नहीं
जहाँ की सड़कों पर
मन से भी ज़्यादा तेज़ दौड़ती हों मोटरगाड़ियाँ
ऊँचे-ऊँचे मकान और
बड़ी-बड़ी दुकानें
उस घर से मत जोड़ना मेरा रिश्ता
जिस में बड़ा-सा खुला आँगन न हो
मुर्ग़े की बाँग पर होती नहीं हो जहाँ सुबह
और शाम पिछवाड़े से जहाँ
पहाड़ी पर डूबता सूरज न दिखे
मत चुनना ऐसा वर
जो पोचई और हड़िया में डूबा रहता हो अक्सर
काहिल-निकम्मा हो
माहिर हो मेले से लड़कियाँ उड़ा ले जाने में
ऐसा वर मत चुनना मेरी ख़ातिर
कोई थारी-लोटा तो नहीं
कि बाद में जब चाहूँगी बदल लूँगी
अच्छा-ख़राब होने पर
जो बात-बात में
बात करे लाठी-डंडा की
निकाले तीर-धनुष, कुल्हाड़ी
जब चाहे चला जाए बंगाल, असम या कश्मीर
ऐसा वर नहीं चाहिए हमें
और उसके हाथ में मत देना मेरा हाथ
जिसके हाथों ने कभी कोई पेड़ नहीं लगाए
फ़सलें नहीं उगाईं जिन हाथों ने
जिन हाथों ने दिया नहीं कभी किसी का साथ
किसी का बोझ नहीं उठाया
और तो और!
जो हाथ लिखना नहीं जानता हो ‘ह’ से हाथ
उसके हाथ मत देना कभी मेरा हाथ!
ब्याहना हो तो वहाँ ब्याहना
जहाँ सुबह जाकर
शाम तक लौट सको पैदल
मैं जो कभी दुख में रोऊँ इस घाट
तो उस घाट नदी में स्नान करते तुम
सुनकर आ सको मेरा करुण विलाप
महुआ की लट और
खजूर का गुड़ बनाकर भेज सकूँ संदेश तुम्हारी ख़ातिर
उधर से आते-जाते किसी के हाथ
भेज सकूँ कद्दू-कोहड़ा, खेखसा, बरबट्टी
समय-समय पर गोगो के लिए भी
मेला-हाट-बाज़ार आते-जाते
मिल सके कोई अपना जो
बता सके घर-गाँव का हाल-चाल
चितकबरी गैया के बियाने की ख़बर
दे सके जो कोई उधर से गुज़रते
ऐसी जगह मुझे ब्याहना!
उस देश में ब्याहना
जहाँ ईश्वर कम आदमी ज़्यादा रहते हों
बकरी और शेर
एक घाट पानी पीते हों जहाँ
वहीं ब्याहना मुझे!
उसी के संग ब्याहना जो
कबूतर के जोड़े और पंडुक पक्षी की तरह
रहे हरदम हाथ
घर-बाहर खेतों में काम करने से लेकर
रात सुख-दुख बाँटने तक
चुनना वर ऐसा
जो बजाता हो बाँसुरी सुरीली
और ढोल-माँदल बजाने में हो पारंगत
वसंत के दिनों में ला सके जो रोज़
मेरे जूड़े के ख़ातिर पलाश के फूल
जिससे खाया नहीं जाए
मेरे भूखे रहने पर
उसी से ब्याहना मुझे!
baba!
mujhe utni door mat byahna
jahan mujhse milne jane khatir
ghar ki bakriyan bechni paDe tumhein
mat byahna us desh mein
jahan adami se zyada
ishwar baste hon
jangal nadi pahaD nahin hon jahan
wahan mat kar aana mera lagan
wahan to qati nahin
jahan ki saDkon par
man se bhi zyada tez dauDti hon motargaDiyan
unche unche makan aur
baDi baDi dukanen
us ghar se mat joDna mera rishta
jis mein baDa sa khula angan na ho
murghe ki bang par hoti nahin ho jahan subah
aur sham pichhwaDe se jahan
pahaDi par Dubta suraj na dikhe
mat chunna aisa war
jo pochi aur haDiya mein Duba rahta ho aksar
kahil nikamma ho
mahir ho mele se laDkiyan uDa le jane mein
aisa war mat chunna meri khatir
koi thari lota to nahin
ki baad mein jab chahungi badal lungi
achchha kharab hone par
jo baat baat mein
baat kare lathi DanDa ki
nikale teer dhanush, kulhaDi
jab chahe chala jaye bangal, asam ya kashmir
aisa war nahin chahiye hamein
aur uske hath mein mat dena mera hath
jiske hathon ne kabhi koi peD nahin lagaye
faslen nahin ugain jin hathon ne
jin hathon ne diya nahin kabhi kisi ka sath
kisi ka bojh nahin uthaya
aur to aur!
jo hath likhna nahin janta ho ‘h’ se hath
uske hath mat dena kabhi mera hath!
byahna ho to wahan byahna
jahan subah jakar
sham tak laut sako paidal
main jo kabhi dukh mein roun is ghat
to us ghat nadi mein snan karte tum
sunkar aa sako mera karun wilap
mahua ki lat aur
khajur ka guD banakar bhej sakun sandesh tumhari khatir
udhar se aate jate kisi ke hath
bhej sakun kaddu kohaDa, khekhasa, barbatti
samay samay par gogo ke liye bhi
mela hat bazar aate jate
mil sake koi apna jo
bata sake ghar ganw ka haal chaal
chitkabri gaiya ke biyane ki khabar
de sake jo koi udhar se guzarte
aisi jagah mujhe byahna!
us desh mein byahna
jahan ishwar kam adami zyada rahte hon
bakri aur sher
ek ghat pani pite hon jahan
wahin byahna mujhe!
usi ke sang byahna jo
kabutar ke joDe aur panDuk pakshi ki tarah
rahe hardam hath
ghar bahar kheton mein kaam karne se lekar
raat sukh dukh bantne tak
chunna war aisa
jo bajata ho bansuri surili
aur Dhol mandal bajane mein ho parangat
wasant ke dinon mein la sake jo roz
mere juDe ke khatir palash ke phool
jisse khaya nahin jaye
mere bhukhe rahne par
usi se byahna mujhe!
baba!
mujhe utni door mat byahna
jahan mujhse milne jane khatir
ghar ki bakriyan bechni paDe tumhein
mat byahna us desh mein
jahan adami se zyada
ishwar baste hon
jangal nadi pahaD nahin hon jahan
wahan mat kar aana mera lagan
wahan to qati nahin
jahan ki saDkon par
man se bhi zyada tez dauDti hon motargaDiyan
unche unche makan aur
baDi baDi dukanen
us ghar se mat joDna mera rishta
jis mein baDa sa khula angan na ho
murghe ki bang par hoti nahin ho jahan subah
aur sham pichhwaDe se jahan
pahaDi par Dubta suraj na dikhe
mat chunna aisa war
jo pochi aur haDiya mein Duba rahta ho aksar
kahil nikamma ho
mahir ho mele se laDkiyan uDa le jane mein
aisa war mat chunna meri khatir
koi thari lota to nahin
ki baad mein jab chahungi badal lungi
achchha kharab hone par
jo baat baat mein
baat kare lathi DanDa ki
nikale teer dhanush, kulhaDi
jab chahe chala jaye bangal, asam ya kashmir
aisa war nahin chahiye hamein
aur uske hath mein mat dena mera hath
jiske hathon ne kabhi koi peD nahin lagaye
faslen nahin ugain jin hathon ne
jin hathon ne diya nahin kabhi kisi ka sath
kisi ka bojh nahin uthaya
aur to aur!
jo hath likhna nahin janta ho ‘h’ se hath
uske hath mat dena kabhi mera hath!
byahna ho to wahan byahna
jahan subah jakar
sham tak laut sako paidal
main jo kabhi dukh mein roun is ghat
to us ghat nadi mein snan karte tum
sunkar aa sako mera karun wilap
mahua ki lat aur
khajur ka guD banakar bhej sakun sandesh tumhari khatir
udhar se aate jate kisi ke hath
bhej sakun kaddu kohaDa, khekhasa, barbatti
samay samay par gogo ke liye bhi
mela hat bazar aate jate
mil sake koi apna jo
bata sake ghar ganw ka haal chaal
chitkabri gaiya ke biyane ki khabar
de sake jo koi udhar se guzarte
aisi jagah mujhe byahna!
us desh mein byahna
jahan ishwar kam adami zyada rahte hon
bakri aur sher
ek ghat pani pite hon jahan
wahin byahna mujhe!
usi ke sang byahna jo
kabutar ke joDe aur panDuk pakshi ki tarah
rahe hardam hath
ghar bahar kheton mein kaam karne se lekar
raat sukh dukh bantne tak
chunna war aisa
jo bajata ho bansuri surili
aur Dhol mandal bajane mein ho parangat
wasant ke dinon mein la sake jo roz
mere juDe ke khatir palash ke phool
jisse khaya nahin jaye
mere bhukhe rahne par
usi se byahna mujhe!
स्रोत :
पुस्तक : नगाड़े की तरह बजते शब्द (पृष्ठ 49)
रचनाकार : निर्मला पुतुल
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.