उसने मुझे ढोया
और चलता बना
दीवार में जड़ा हुआ
मैं सोचने लगा
जैसे शब्दों में जड़े अर्थ सोचते हैं
जैसे फूलों में सजी सुगंध सोचती है
जैसे हाथ की लकीरों में क़िस्मत सोचती है
जैसे हलचल में राहें सोचती हैं
जैसे लहरों में सजा हुआ सोचता है पानी
और फिर, न जाने क्यों
मेरी सोच शांत हो गई
जैसे पंखों में उड़ान होती है शांत
बीज में होता है शांत यौवन
मैं हतप्रभ हूँ
कि मैंने उसका हाथ क्यों न पकड़ा
क्यों बंद कर लेने दिया
क्यों न जाते समय कहा
कि मुझे बंद करके न जा
मेरे विचरने के वास्ते भी छोड़ कोई रास्ता
उसे कुछ कहने का साहस नहीं हुआ
बाहर बंद दरवाज़े पर
वह आया, क्षण-भर ठहरा
ख़ामोश संवाद हुआ और चला गया
बाहर बंद दरबाज़े पर
आस लिए बैठा हूँ अब
कि कब उसकी दस्तक
इसे खोलती है
कि मैं अपनी दीवारों से बाहर आ सकूँ।
usne mujhe Dhoya
aur chalta bana
diwar mein jaDa hua
main sochne laga
jaise shabdon mein jaDe arth sochte hain
jaise phulon mein saji sugandh sochti hai
jaise hath ki lakiron mein qimat sochti hai
jaise halchal mein rahen sochti hain
jaise lahron mein saja hua sochta hai pani
aur phir, na jane kyon
meri soch shant ho gai
jaise pankhon mein uDan hoti hai shant
beej mein hota hai shant yauwan
main hataprabh hoon
ki mainne uska hath kyon na pakDa
kyon band kar lene diya
kyon na jate samay kaha
ki mujhe band karke na ja
mere wicharne ke waste bhi chhoD koi rasta
use kuch kahne ka sahas nahin hua
bahar band darwaze par
wo aaya, kshan bhar thahra
khamosh sanwad hua aur chala gaya
bahar band darbaze par
as liye baitha hoon ab
ki kab uski dastak
ise kholti hai
ki main apni diwaron se bahar aa sakun
usne mujhe Dhoya
aur chalta bana
diwar mein jaDa hua
main sochne laga
jaise shabdon mein jaDe arth sochte hain
jaise phulon mein saji sugandh sochti hai
jaise hath ki lakiron mein qimat sochti hai
jaise halchal mein rahen sochti hain
jaise lahron mein saja hua sochta hai pani
aur phir, na jane kyon
meri soch shant ho gai
jaise pankhon mein uDan hoti hai shant
beej mein hota hai shant yauwan
main hataprabh hoon
ki mainne uska hath kyon na pakDa
kyon band kar lene diya
kyon na jate samay kaha
ki mujhe band karke na ja
mere wicharne ke waste bhi chhoD koi rasta
use kuch kahne ka sahas nahin hua
bahar band darwaze par
wo aaya, kshan bhar thahra
khamosh sanwad hua aur chala gaya
bahar band darbaze par
as liye baitha hoon ab
ki kab uski dastak
ise kholti hai
ki main apni diwaron se bahar aa sakun
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 347)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.