डूबा है परिवार उधर,
मृत सदस्य के शोक में
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
क्या बूढ़ा, जवान क्या?
निर्धन और धनवान क्या?
मृत्यु सेज के गिर्द घूमकर,
लेता है जलपान क्या?
शर्म नहीं आई तनिक भी
जा बिके हो थोक में
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
धूर्तों ने अजब रस्म चलाई
मरे बाप या मर जाए माई,
खाकर ढेकरे बैठे हैं ये
जो एक दिन की बच गई कमाई,
चाहे तो मर जाए बच्चा
मृत माँ के ही कोख में,
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
ज़िंदा थे तब तो अछूत थे
पीते उपेक्षा की घूट थे,
जो ब्राह्मण ख़ुद को देवता कहता
उसकी नज़रों में हम भूत थे,
जीते जी तो नर्क में झोंका
मरने पर ठेले स्वर्ग लोक में?
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
मानवता की बेशक हार है
जब साँसों की टूटती तार है,
हुई राख ठंडी भी नहीं
कि मृत्यु भोज बनकर तैयार है,
कौन मरा ग़ुरबत में यहाँ?
न देखो, कौन मरा यहाँ रोग में?
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
गर इतना है कि सँभलता ही नहीं
तो उस घर को दे दो,
जहाँ दीया तक जलता नहीं,
या दे दो उस ज्ञान के समुद्र को
जहाँ सूरज कभी ढलता ही नहीं,
बाप मरा भूखा ही
और हम मरे इस ढोंग में,
अवसर देख गिद्ध इधर,
टूट पड़े हैं भोग में।
Duba hai parivar udhar,
mrit sadasy ke shok men
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
kya buDha,javan kyaa?
nirdhan aur dhanvan kyaa?
mirtyu sej ke gird ghumkar,
leta hai jalpan kyaa?
sharm nahin i tanik bhi
ja bike ho thok men
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
dhurton ne ajab rasm chalai
mare baap ya mar jaye mai,
khakar Dhekre baithe hain ye
jo ek din ki bach gai kamai,
chahe to mar jaye bachcha
mrit maan ke hi konkh mein,
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
zinda the tab to achhut the
pite upeksha ki ghoot the,
jo brahman khu ko devta kahta
uski nazron mein hum bhoot the,
jite ji to nark mein jhoka
marne par thele svarg lok men?
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
manavta ki beshaq haar hai
jab sanson ki tutti taar hai,
hui raakh thanDi bhi nahin
ki mirtyu bhoj bankar taiyar hai,
kaun mara ghurbat mein yahan?
na dekho,kaun mara yahan rog men?
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
gar itna hai ki sambhalta hi nahin
to us ghar ko de do, jahan diya tak jalta nahin,
ya de do us gyaan ke samudr ko
jahan suraj kabhi Dhalta hi nahin,
baap mara bhukha hi
aur hum mare is Dhong mein,
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
Duba hai parivar udhar,
mrit sadasy ke shok men
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
kya buDha,javan kyaa?
nirdhan aur dhanvan kyaa?
mirtyu sej ke gird ghumkar,
leta hai jalpan kyaa?
sharm nahin i tanik bhi
ja bike ho thok men
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
dhurton ne ajab rasm chalai
mare baap ya mar jaye mai,
khakar Dhekre baithe hain ye
jo ek din ki bach gai kamai,
chahe to mar jaye bachcha
mrit maan ke hi konkh mein,
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
zinda the tab to achhut the
pite upeksha ki ghoot the,
jo brahman khu ko devta kahta
uski nazron mein hum bhoot the,
jite ji to nark mein jhoka
marne par thele svarg lok men?
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
manavta ki beshaq haar hai
jab sanson ki tutti taar hai,
hui raakh thanDi bhi nahin
ki mirtyu bhoj bankar taiyar hai,
kaun mara ghurbat mein yahan?
na dekho,kaun mara yahan rog men?
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
gar itna hai ki sambhalta hi nahin
to us ghar ko de do, jahan diya tak jalta nahin,
ya de do us gyaan ke samudr ko
jahan suraj kabhi Dhalta hi nahin,
baap mara bhukha hi
aur hum mare is Dhong mein,
avsar dekh giddh idhar,
toot paDe hain bhog mein.
स्रोत :
रचनाकार : बच्चा लाल 'उन्मेष'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.