आइए  महसूस  करिए  ज़िंदगी  के  ताप  को  
मैं  चमारों  की  गली  तक  ले  चलूँगा  आपको  
जिस  गली  में  भुखमरी  की  यातना  से  ऊब  कर  
मर  गई  फुलिया  बिचारी  एक  कुएँ  में  डूब  कर  
है  सधी  सिर  पर  बिनौली  कंडियों  की  टोकरी  
आ  रही  है  सामने  से  हरखुआ  की  छोकरी  
चल  रही  है  छंद  के  आयाम  को  देती  दिशा  
मैं  इसे  कहता  हूँ  सरजूपार  की  मोनालिसा  
कैसी  यह  भयभीत  है  हिरनी-सी  घबराई  हुई  
लग  रही  जैसे  कली  बेला  की  कुम्हलाई  हुई  
कल  को  यह  वाचाल  थी  पर  आज  कैसी  मौन  है  
जानते  हो  इसकी  ख़ामोशी  का  कारण  कौन  है  
थे  यही  सावन  के  दिन  हरखू  गया  था  हाट  को  
सो  रही  बूढ़ी  ओसारे  में  बिछाए  खाट  को  
डूबती  सूरज  की  किरनें  खेलती  थीं  रेत  से  
घास  का  गट्ठर  लिए  वह  आ  रही  थी  खेत  से  
आ  रही  थी  वह  चली  खोई  हुई  जज़्बात  में  
क्या  पता  उसको  कि  कोई  भेड़िया  है  घात  में  
होनी  से  बेख़बर  कृष्णा  बेख़बर  राहों  में  थी  
मोड़  पर  घूमी  तो  देखा  अजनबी  बाँहों  में  थी  
चीख़  निकली  भी  तो  होठों  में  ही  घुट  कर  रह  गई  
छटपटाई  पहले  फिर  ढीली  पड़ी  फिर  ढह  गई  
दिन  तो  सरजू  के  कछारों  में  था  कब  का  ढल  गया  
वासना  की  आग  में  कौमार्य  उसका  जल  गया  
और  उस  दिन  ये  हवेली  हँस  रही  थी  मौज  में  
होश  में  आई  तो  कृष्णा  थी  पिता  की  गोद  में  
जुड़  गई  थी  भीड़  जिसमें  ज़ोर  था  सैलाब  था  
जो  भी  था  अपनी  सुनाने  के  लिए  बेताब  था  
बढ़  के  मंगल  ने  कहा  काका  तू  कैसे  मौन  है  
पूछ  तो  बेटी  से  आख़िर  वो  दरिंदा  कौन  है  
कोई  हो  संघर्ष  से  हम  पाँव  मोड़ेंगे  नहीं  
कच्चा  खा  जाएँगे  ज़िंदा  उनको  छोडेंगे  नहीं  
कैसे  हो  सकता  है  होनी  कह  के  हम  टाला  करें  
और  ये  दुश्मन  बहू-बेटी  से  मुँह  काला  करें  
बोला  कृष्णा  से  बहन  सो  जा  मेरे  अनुरोध  से  
बच  नहीं  सकता  है  वो  पापी  मेरे  प्रतिशोध  से  
पड़  गई  इसकी  भनक  थी  ठाकुरों  के  कान  में  
वे  इकट्ठे  हो  गए  थे  सरपंच  के  दालान  में  
दृष्टि  जिसकी  है  जमी  भाले  की  लंबी  नोक  पर  
देखिए  सुखराज  सिंग  बोले  हैं  खैनी  ठोंक  कर  
क्या  कहें  सरपंच  भाई  क्या  ज़माना  आ  गया  
कल  तलक  जो  पाँव  के  नीचे  था  रुतबा  पा  गया  
कहती  है  सरकार  कि  आपस  मिल-जुल  कर  रहो  
सुअर  के  बच्चों  को  अब  कोरी  नहीं  हरिजन  कहो  
देखिए  ना  यह  जो  कृष्णा  है  चमारों  के  यहाँ  
पड़  गया  है  सीप  का  मोती  गँवारों  के  यहाँ  
जैसे  बरसाती  नदी  अल्हड़  नशे  में  चूर  है  
हाथ  न  पुट्ठे  पे  रखने  देती  है  मग़रूर  है  
भेजता  भी  है  नहीं  ससुराल  इसको  हरखुआ  
फिर  कोई  बाँहों  में  इसको  भींच  ले  तो  क्या  हुआ  
आज  सरजू  पार  अपने  श्याम  से  टकरा  गई  
जाने-अनजाने  वो  लज़्ज़त  ज़िंदगी  की  पा  गई  
वो  तो  मंगल  देखता  था  बात  आगे  बढ़  गई  
वरना  वह  मरदूद  इन  बातों  को  कहने  से  रही  
जानते  हैं  आप  मंगल  एक  ही  मक्कार  है  
हरखू  उसकी  शह  पे  थाने  जाने  को  तैयार  है  
कल  सुबह  गरदन  अगर  नपती  है  बेटे-बाप  की  
गाँव  की  गलियों  में  क्या  इज़्ज़त  रहेगी  आपकी  
बात  का  लहजा  था  ऐसा  ताव  सबको  आ  गया  
हाथ  मूँछों  पर  गए  माहौल  भी  सन्ना  गया  
क्षणिक  आवेश  जिसमें  हर  युवा  तैमूर  था  
हाँ,  मगर  होनी  को  तो  कुछ  और  ही  मंज़ूर  था  
रात  जो  आया  न  अब  तूफ़ान  वह  पुरज़ोर  था  
भोर  होते  ही  वहाँ  का  दृश्य  बिल्कुल  और  था  
सिर  पे  टोपी  बेंत  की  लाठी  सँभाले  हाथ  में  
एक  दर्जन  थे  सिपाही  ठाकुरों  के  साथ  में  
घेरकर  बस्ती  कहा  हलक़े  के  थानेदार  ने—  
‘जिसका  मंगल  नाम  हो  वो  व्यक्ति  आए  सामने’  
निकला  मंगल  झोपड़ी  का  पल्ला  थोड़ा  खोलकर  
एक  सिपाही  ने  तभी  लाठी  चलाई  दौड़  कर  
गिर  पड़ा  मंगल  तो  माथा  बूट  से  टकरा  गया  
सुन  पड़ा  फिर  ‘माल  वो  चोरी  का  तूने  क्या  किया’  
‘कैसी  चोरी,  माल  कैसा’  उसने  जैसे  ही  कहा  
एक  लाठी  फिर  पड़ी  बस  होश  फिर  जाता  रहा  
होश  खोकर  वह  पड़ा  था  झोपड़ी  के  द्वार  पर  
ठाकुरों  से  फिर  दरोग़ा  ने  कहा  ललकार  कर—  
‘मेरा  मुँह  क्या  देखते  हो!  इसके  मुँह  में  थूक  दो  
आग  लाओ  और  इसकी  झोपड़ी  भी  फूँक  दो’  
और  फिर  प्रतिशोध  की  आँधी  वहाँ  चलने  लगी  
बेसहारा  निर्बलों  की  झोपड़ी  जलने  लगी  
दुधमुँहा  बच्चा  और  बुड्ढा  जो  वहाँ  खेड़े  में  था  
वह  अभागा  दीन  हिंसक  भीड़  के  घेरे  में  था  
घर  को  जलते  देखकर  वे  होश  को  खोने  लगे  
कुछ  तो  मन  ही  मन  मगर  कुछ  ज़ोर  से  रोने  लगे  
‘कह  दो  इन  कुत्तों  के  पिल्लों  से  कि  इतराएँ  नहीं  
हुक्म  जब  तक  मैं  न  दूँ  कोई  कहीं  जाए  नहीं’  
यह  दरोग़ा  जी  थे  मुँह  से  शब्द  झरते  फूल  से  
आ  रहे  थे  ठेलते  लोगों  को  अपने  रूल  से  
फिर  दहाड़े,  ‘इनको  डंडों  से  सुधारा  जाएगा  
ठाकुरों  से  जो  भी  टकराया  वो  मारा  जाएगा’  
इक  सिपाही  ने  कहा,  ‘साइकिल  किधर  को  मोड़  दें  
होश  में  आया  नहीं  मंगल  कहो  तो  छोड़  दें’  
बोला  थानेदार,  ‘मुर्ग़े  की  तरह  मत  बाँग  दो  
होश  में  आया  नहीं  तो  लाठियों  पर  टाँग  लो  
ये  समझते  हैं  कि  ठाकुर  से  उलझना  खेल  है  
ऐसे  पाजी  का  ठिकाना  घर  नहीं  है,  जेल  है’  
पूछते  रहते  हैं  मुझसे  लोग  अक्सर  यह  सवाल,  
‘कैसा  है  कहिए  न  सरजू  पार  की  कृष्णा  का  हाल’  
उनकी  उत्सुकता  को  शहरी  नग्नता  के  ज्वार  को  
सड़  रहे  जनतंत्र  के  मक्कार  पैरोकार  को  
धर्म,  संस्कृति  और  नैतिकता  के  ठेकेदार  को  
प्रांत  के  मंत्री-गणों  को  केंद्र  की  सरकार  को  
मैं  निमंत्रण  दे  रहा  हूँ—आएँ  मेरे  गाँव  में  
तट  पे  नदियों  के  घनी  अमराइयों  की  छाँव  में  
गाँव  जिसमें  आज  पांचाली  उघाड़ी  जा  रही  
या  अहिंसा  की  जहाँ  पर  नथ  उतारी  जा  रही  
हैं  तरसते  कितने  ही  मंगल  लंगोटी  के  लिए  
बेचती  है  जिस्म  कितनी  कृष्णा  रोटी  के  लिए!  
                aaie  mahsus  kariye  zindagi  ke  taap  ko  
main  chamaron  ki  gali  tak  le  chalunga  aapko  
jis  gali  mein  bhukhamri  ki  yatana  se  uub  kar  
mar  gai  phuliya  bichari  ek  kuen  mein  Doob  kar  
hai  sadhi  sir  par  binauli  kanDiyon  ki  tokari  
aa  rahi  hai  samne  se  harakhua  ki  chhokri  
chal  rahi  hai  chhand  ke  ayam  ko  deti  disha  
main  ise  kahta  hoon  sarjupar  ki  monalisa  
kaisi  ye  bhaybhit  hai  hirni  si  ghabrai  hui  
lag  rahi  jaise  kali  bela  ki  kumhlai  hui  
kal  ko  ye  vachal  thi  par  aaj  kaisi  maun  hai  
jante  ho  iski  khamoshi  ka  karan  kaun  hai  
the  yahi  savan  ke  din  harkhu  gaya  tha  haat  ko  
so  rahi  buDhi  osare  mein  bichhaye  khaat  ko  
Dubti  suraj  ki  kirnen  khelti  theen  ret  se  
ghaas  ka  gatthar  liye  wo  aa  rahi  thi  khet  se  
aa  rahi  thi  wo  chali  khoi  hui  jazbat  men  
kya  pata  usko  ki  koi  bheDiya  hai  ghaat  men  
honi  se  bekhbar  krishna  bekhbar  rahon  mein  thi  
moD  par  ghumi  to  dekha  ajnabi  banhon  mein  thi  
cheekh  nikli  bhi  to  hothon  mein  hi  ghut  kar  rah  gai  
chhataptai  pahle  phir  Dhili  paDi  phir  Dhah  gai  
din  to  sarju  ke  kachharon  mein  tha  kab  ka  Dhal  gaya  
vasana  ki  aag  mein  kaumarya  uska  jal  gaya  
aur  us  din  ye  haveli  hans  rahi  thi  mauj  men  
hosh  mein  aai  to  krishna  thi  pita  ki  god  men  
juD  gai  thi  bheeD  jismen  zor  tha  sailab  tha  
jo  bhi  tha  apni  sunane  ke  liye  betab  tha  
baDh  ke  mangal  ne  kaha  kaka  tu  kaise  maun  hai  
poochh  to  beti  se  akhir  wo  darinda  kaun  hai  
koi  ho  sangharsh  se  hum  paanv  moDenge  nahin  
kachcha  kha  jayenge  zinda  unko  chhoDenge  nahin  
kaise  ho  sakta  hai  honi  kah  ke  hum  tala  karen  
aur  ye  dushman  bahu  beti  se  munh  kala  karen  
bola  krishna  se  bahan  so  ja  mere  anurodh  se  
bach  nahin  sakta  hai  wo  papi  mere  pratishodh  se  
paD  gai  iski  bhanak  thi  thakuron  ke  kaan  men  
ve  ikatthe  ho  ge  the  sarpanch  ke  dalan  men  
drishti  jiski  hai  jami  bhale  ki  lambi  nok  par  
dekhiye  sukhraj  sing  bole  hain  khaini  thonk  kar  
kya  kahen  sarpanch  bhai  kya  zamana  aa  gaya  
kal  talak  jo  paanv  ke  niche  tha  rutba  pa  gaya  
kahti  hai  sarkar  ki  aapas  mil  jul  kar  raho  
suar  ke  bachchon  ko  ab  kori  nahin  harijan  kaho  
dekhiye  na  ye  jo  krishna  hai  chamaron  ke  yahan  
paD  gaya  hai  seep  ka  moti  ganvaron  ke  yahan  
jaise  barsati  nadi  alhaD  nashe  mein  choor  hai  
haath  na  putthe  pe  rakhne  deti  hai  maghrur  hai  
bhejta  bhi  hai  nahin  sasural  isko  harakhua  
phir  koi  banhon  mein  isko  bheench  le  to  kya  hua  
aaj  sarju  paar  apne  shyaam  se  takra  gai  
jane  anjane  wo  lazzat  zindagi  ki  pa  gai  
wo  to  mangal  dekhta  tha  baat  aage  baDh  gai  
varna  wo  mardud  in  baton  ko  kahne  se  rahi  
jante  hain  aap  mangal  ek  hi  makkar  hai  
harkhu  uski  shah  pe  thane  jane  ko  taiyar  hai  
kal  subah  gardan  agar  napti  hai  bete  baap  ki  
gaanv  ki  galiyon  mein  kya  izzat  rahegi  apaki  
baat  ka  lahja  tha  aisa  taav  sabko  aa  gaya  
haath  munchhon  par  ge  mahaul  bhi  sanna  gaya  
kshnik  avesh  jismen  har  yuva  taimur  tha  
haan,  magar  honi  ko  to  kuch  aur  hi  manzur  tha  
raat  jo  aaya  na  ab  tufan  wo  purazor  tha  
bhor  hote  hi  vahan  ka  drishya  bilkul  aur  tha  
sir  pe  topi  bent  ki  lathi  sanbhale  haath  men  
ek  darjan  the  sipahi  thakuron  ke  saath  men  
gherkar  basti  kaha  halqe  ke  thanedar  ne—  
‘jiska  mangal  naam  ho  wo  vyakti  aaye  samne’  
nikla  mangal  jhopDi  ka  palla  thoDa  kholkar  
ek  sipahi  ne  tabhi  lathi  chalai  dauD  kar  
gir  paDa  mangal  to  matha  boot  se  takra  gaya  
sun  paDa  phir  ‘maal  wo  chori  ka  tune  kya  kiya’  
‘kaisi  chori,  maal  kaisa’  usne  jaise  hi  kaha  
ek  lathi  phir  paDi  bas  hosh  phir  jata  raha  
hosh  khokar  wo  paDa  tha  jhopDi  ke  dvaar  par  
thakuron  se  phir  darogha  ne  kaha  lalkar  kar—  
‘mera  munh  kya  dekhte  ho!  iske  munh  mein  thook  do  
aag  lao  aur  iski  jhopDi  bhi  phoonk  do’  
aur  phir  pratishodh  ki  andhi  vahan  chalne  lagi  
besahara  nirblon  ki  jhopDi  jalne  lagi  
dudhamunha  bachcha  aur  buDDha  jo  vahan  kheDe  mein  tha  
wo  abhaga  deen  hinsak  bheeD  ke  ghere  mein  tha  
ghar  ko  jalte  dekhkar  ve  hosh  ko  khone  lage  
kuch  to  man  hi  man  magar  kuch  zor  se  rone  lage  
‘kah  do  in  kutton  ke  pillon  se  ki  itrayen  nahin  
hukm  jab  tak  main  na  doon  koi  kahin  jaye  nahin’  
ye  darogha  ji  the  munh  se  shabd  jharte  phool  se  
aa  rahe  the  thelte  logon  ko  apne  rool  se  
phir  dahaDe,  ‘inko  DanDon  se  sudhara  jayega  
thakuron  se  jo  bhi  takraya  wo  mara  jayega’  
ik  sipahi  ne  kaha,  ‘saikil  kidhar  ko  moD  den  
hosh  mein  aaya  nahin  mangal  kaho  to  chhoD  den’  
bola  thanedar,  ‘murghe  ki  tarah  mat  baang  do  
hosh  mein  aaya  nahin  to  lathiyon  par  taang  lo  
ye  samajhte  hain  ki  thakur  se  ulajhna  khel  hai  
aise  paji  ka  thikana  ghar  nahin  hai,  jel  hai’  
puchhte  rahte  hain  mujhse  log  aksar  ye  saval,  
‘kaisa  hai  kahiye  na  sarju  paar  ki  krishna  ka  haal’  
unki  utsukta  ko  shahri  nagnta  ke  jvaar  ko  
saD  rahe  jantantr  ke  makkar  pairokar  ko  
dharm,  sanskriti  aur  naitikta  ke  thekedar  ko  
praant  ke  mantri  ganon  ko  kendr  ki  sarkar  ko  
main  nimantran  de  raha  hun—ayen  mere  gaanv  men  
tat  pe  nadiyon  ke  ghani  amraiyon  ki  chhaanv  men  
gaanv  jismen  aaj  panchali  ughaDi  ja  rahi  
ya  ahinsa  ki  jahan  par  nath  utari  ja  rahi  
hain  taraste  kitne  hi  mangal  langoti  ke  liye  
bechti  hai  jism  kitni  krishna  roti  ke  liye!  

                Videos This video is playing from YouTube  
                
                        अदम गोंडवी 
                          
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : धरती की सतह पर (पृष्ठ 102)संपादक  : ओम निश्चल रचनाकार  : अदम गोंडवी 
                             प्रकाशन  : सर्वभाषा प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2023 
                
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.