एक के बाद एक सीढ़ियाँ चढ़ती
मनोकामना ही पहले पहुँच जाती है वहाँ।
मेरी सफ़ेद साड़ी, साफ़ बदन
हर बार पीछे छूट जाते हैं
यहाँ-वहाँ छिटके ख़ून से
पैर बचा-बचाकर चलते समय
न जाने क्यों मुझे तकलीफ़ हो रही है।
बलि-स्थल पर है अपार भीड़, धक्कम धुक्का
नहीं दिख रहा अब मुझे
उन लाचारों का मुख
जिनकी गर्दनें कट चुकी हैं और
जो निर्विकार कर रहे हैं इंतज़ार अपनी मौत का
खिंचा चला आ रहा कलेजा जिनका अंतस्थल से
आँखों के कोने से बह रही है आँसुओं की धार
मुँह में ज़बान होती तो ज़रूर कहते
वापस ले चलो, वापस ले चलो हमें यहाँ से।
मुझे नहीं दिख रहा उनका सिर
नहीं दिख रहा घातक का हाथ
कुल्हाड़ी, गँड़ासा या हथियार कोई,
मुझे दिख रहा है सिर्फ़ लाल रंग
बलि का ख़ून, ख़ून का लाल रंग
और लाल रंग के महोत्सव में
खड़ी हूँ मैं अपनी मनोकामना लिए
सहज, दर्पित।
कुछ देर बाद यहाँ से
लौट जाऊँगी मैं अपने घर
साथ ले जाऊँगी
अरबी के पत्तों में लपेटकर
बलि चढ़ा थोड़ा माँस,
ताज़ा ख़ून थोड़ा,
मेरा परिवार, मेरे निकट संबंधी
भाव-विह्वल हो उठेंगे
सबके ख़ून में समा जाएगी
उस ख़ून की महक
मनोकामना पूर्ण होने की
पुलकित तृष्णा।
मेरे तमाम सपनों में दिखेगा वह पीठ
मेरे कानों में गूँजेगा पीठ से माहात्म्य
मेरी चारपाई से सटकर खड़ा होगा
वह लाचार बकरा
जिसके माँस में है मेरी मनोकामना
पूर्ण होने की संभावना
जिसके आँसुओं में है
मेरे विजयी होने का विज्ञापन
जिसके ख़ून में है
मेरे उज्वल भविष्य की सुगंध
वह बकरा मुझसे पूछ रहा होगा
तुम्हारी महत्वाकांक्षा का रंग
क्या मेरे ख़ून से है और भी गाढ़ा लाल?
ek ke baad ek siDhiyan chaDhti
manokamana hi pahle pahunch jati hai wahan
meri safed saDi, saf badan
har bar pichhe chhoot jate hain
yahan wahan chhitke khoon se
pair bacha bachakar chalte samay
na jane kyon mujhe taklif ho rahi hai
bali sthal par hai apar bheeD, dhakkam dhukka
nahin dikh raha ab mujhe
un lacharon ka mukh
jinki gardnen kat chuki hain aur
jo nirwikar kar rahe hain intzar apni maut ka
khincha chala aa raha kaleja jinka antasthal se
ankhon ke kone se bah rahi hai ansuon ki dhaar
munh mein zaban hoti to zarur kahte
wapas le chalo, wapas le chalo hamein yahan se
mujhe nahin dikh raha unka sir
nahin dikh raha ghatak ka hath
kulhaDi, ganDasa ya hathiyar koi,
mujhe dikh raha hai sirf lal rang
bali ka khoon, khoon ka lal rang
aur lal rang ke mahotsaw mein
khaDi hoon main apni manokamana liye
sahj, darpit
kuch der baad yahan se
laut jaungi main apne ghar
sath le jaungi
arbi ke patton mein lapetkar
bali chaDha thoDa mans,
taza khoon thoDa,
mera pariwar, mere nikat sambandhi
bhaw wihwal ho uthenge
sabke khoon mein sama jayegi
us khoon ki mahak
manokamana poorn hone ki
pulkit tirishna
mere tamam sapnon mein dikhega wo peeth
mere kanon mein gunjega peeth se mahatmy
meri charpai se satkar khaDa hoga
wo lachar bakra
jiske mans mein hai meri manokamana
poorn hone ki sambhawna
jiske ansuon mein hai
mere wijyi hone ka wigyapan
jiske khoon mein hai
mere ujwal bhawishya ki sugandh
wo bakra mujhse poochh raha hoga
tumhari mahatwakanksha ka rang
kya mere khoon se hai aur bhi gaDha lal?
ek ke baad ek siDhiyan chaDhti
manokamana hi pahle pahunch jati hai wahan
meri safed saDi, saf badan
har bar pichhe chhoot jate hain
yahan wahan chhitke khoon se
pair bacha bachakar chalte samay
na jane kyon mujhe taklif ho rahi hai
bali sthal par hai apar bheeD, dhakkam dhukka
nahin dikh raha ab mujhe
un lacharon ka mukh
jinki gardnen kat chuki hain aur
jo nirwikar kar rahe hain intzar apni maut ka
khincha chala aa raha kaleja jinka antasthal se
ankhon ke kone se bah rahi hai ansuon ki dhaar
munh mein zaban hoti to zarur kahte
wapas le chalo, wapas le chalo hamein yahan se
mujhe nahin dikh raha unka sir
nahin dikh raha ghatak ka hath
kulhaDi, ganDasa ya hathiyar koi,
mujhe dikh raha hai sirf lal rang
bali ka khoon, khoon ka lal rang
aur lal rang ke mahotsaw mein
khaDi hoon main apni manokamana liye
sahj, darpit
kuch der baad yahan se
laut jaungi main apne ghar
sath le jaungi
arbi ke patton mein lapetkar
bali chaDha thoDa mans,
taza khoon thoDa,
mera pariwar, mere nikat sambandhi
bhaw wihwal ho uthenge
sabke khoon mein sama jayegi
us khoon ki mahak
manokamana poorn hone ki
pulkit tirishna
mere tamam sapnon mein dikhega wo peeth
mere kanon mein gunjega peeth se mahatmy
meri charpai se satkar khaDa hoga
wo lachar bakra
jiske mans mein hai meri manokamana
poorn hone ki sambhawna
jiske ansuon mein hai
mere wijyi hone ka wigyapan
jiske khoon mein hai
mere ujwal bhawishya ki sugandh
wo bakra mujhse poochh raha hoga
tumhari mahatwakanksha ka rang
kya mere khoon se hai aur bhi gaDha lal?
स्रोत :
पुस्तक : खो जाती है लड़कियाँ (पृष्ठ 9)
रचनाकार : गायत्रीबाला पंडा
प्रकाशन : आलोकपर्व प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.