तुम्हारा ईश्वर
इतना ही दयावान है
तो क्यों नहीं तोड़ देता है
ज़बरदस्ती एक नन्ही-सी जान के
गले में डाला गया मंगलसूत्र
जब मंदिर की चौखट से
धर्म के ठेकेदारों द्वारा
यह कहकर दुत्कार दिया जाता है
मासिक धर्म में है
अपवित्र है
अभी प्रवेश वर्जित है
तो क्यों नहीं
तुम्हारा ईश्वर बोलता है कि
नहीं यह सर्वथा अन्याय है
मेरी माँ और उसकी कोख के साथ
प्रेम के लिए
सिर्फ़ एक
कोना तलाश रहे
दो में से
जब लड़की को गंजा करके
अधनंगा सारे शहर में घुमाया जाता है
तो क्यों नहीं
ईश्वर की तीसरी आँख खुलती
तुम्हारा ईश्वर
अगर इतना ही बलशाली है
तो क्यों नहीं
पैरों से रौंद देता है
उन सारे दरिंदों को
जिनकी वजह से
लड़कियाँ रात में विचरने से डरती हैं
मैं कहता हूँ
तुम्हारा ईश्वर भी
पितृसत्ता को
स्थापित करने का प्रमुख ज़रिया है
क्योंकि जब बात स्त्री की होती है
तो तुम्हारे ईश्वर का पाँव सूज जाता है
हाथ टूट जाते हैं
ज़बान में छाले पड़ जाते हैं
और आँख मूँद वह सो जाता है।
tumhara ishwar
itna hi dayawan hai, to
kyo nahin?
toD deta hai
zabardasti ek nanhin si jaan
ke gale mein Dala gaya
mangalsutr
jab
mandir ki chaukhat se
dharm ke thekedaron dwara
ye kahkar dutkar diya jata hai
masik dharm mein hai
apawitr hai
abhi prawesh warjit hai
to, kyon nahin?
tumhara ishwar
bolta hai ki
nahin ye sarwatha annyaye hai
meri man aur uski kokh ke sath
prem ke liye
sirf ek
kona talash rahe
do mein se
jab laDki ko ganja karke
adhnanga sare shahr mein ghumaya jata hai
to kyon nahin?
ishwar ki tisri ankh khulti
tumhara ishwar
agar itna hi balshali hai
to, kyo nahin?
pairon se raund deta hai
un sare darindo ko
jinki wajah se
laDkiyan raat mein wicharne se Darti hain
main kahta hoon
tumhara ishwar bhi
pitrsatta ko
sthapit karne ka pramukh jariya hai
kyonki
jab baat istri ki hoti hai
to tumhare
ishwar ka panw sooj jata hai
hath toot jate hai
jaban mein chhale paD jate hai
aur
ankh moond wo so jata hai
tumhara ishwar
itna hi dayawan hai, to
kyo nahin?
toD deta hai
zabardasti ek nanhin si jaan
ke gale mein Dala gaya
mangalsutr
jab
mandir ki chaukhat se
dharm ke thekedaron dwara
ye kahkar dutkar diya jata hai
masik dharm mein hai
apawitr hai
abhi prawesh warjit hai
to, kyon nahin?
tumhara ishwar
bolta hai ki
nahin ye sarwatha annyaye hai
meri man aur uski kokh ke sath
prem ke liye
sirf ek
kona talash rahe
do mein se
jab laDki ko ganja karke
adhnanga sare shahr mein ghumaya jata hai
to kyon nahin?
ishwar ki tisri ankh khulti
tumhara ishwar
agar itna hi balshali hai
to, kyo nahin?
pairon se raund deta hai
un sare darindo ko
jinki wajah se
laDkiyan raat mein wicharne se Darti hain
main kahta hoon
tumhara ishwar bhi
pitrsatta ko
sthapit karne ka pramukh jariya hai
kyonki
jab baat istri ki hoti hai
to tumhare
ishwar ka panw sooj jata hai
hath toot jate hai
jaban mein chhale paD jate hai
aur
ankh moond wo so jata hai
स्रोत :
रचनाकार : आशीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.