अनेक स्तर थे प्रेम के
और उतने ही रूप
मैंने समय के साथ यह जाना कि
पति, परमेश्वर नहीं होता
वह एक साथी होता है
सबसे प्यारा, सबसे महत्त्वपूर्ण साथी
वरीयता के क्रम में
निश्चित रूप से सबसे ऊपर
मुझे पति के साथ-साथ
उस प्रेमी की भी आवश्यकता महसूस हुई
जो मेरे जीवन में ज़िंदा रख सके ज़िंदगी
सँभाल सके मेरा बचपन
ज़िम्मेदारियों की पथरीली पगडंडी पर
जो मुझे याद दिलाए
कि मैं अब भी बेहद ख़ूबसूरत हूँ
जो बिना थके रोज़ मुझे सुना सके
मीर और ग़ालिब की ग़ज़लें
उन उदास रातों में
जब मुझे नींद नहीं आती
वह अपनी गोद में मेरा सिर रख
गा सके एक मीठी लोरी
मुझे बातों का प्रेम चाहिए
और एक बातूनी प्रेमी
जिसकी बातें मेरे लिए सुकून हों
क्या तुम जानते हो
कि जिस रोज़
तुम मुझे बातों की जगह
अपनी बाँहों में भर लेते हो
उस रोज़
मैं अपनी नींद और सुकून
दोनों गँवा बैठती हूँ
anek star the prem ke
aur utne hi roop
mainne samay ke sath ye jana ki
pati, parmeshwar nahin hota
wo ek sathi hota hai
sabse pyara, sabse mahattwapurn sathi
wariyata ke kram mein
nishchit roop se sabse upar
lekin main zara lalchi rahi
mujhe pati ke sath sath
us premi ki bhi awashyakta mahsus hui
jo mere jiwan mein zinda rakh sake zindagi
sanbhal sake mera bachpan
zimmedariyon ki pathrili pagDanDi par
jo mujhe yaad dilaye
ki main ab bhi behad khubsurat hoon
jo bina thake roz mujhe suna sake
meer aur ghalib ki ghazlen
un udas raton mein
jab mujhe neend nahin aati
wo apni god mein mera sir rakh
ga sake ek mithi lori
mujhe baton ka prem chahiye
aur ek batuni premi
jiski baten mere liye sukun hon
kya tum jante ho
ki jis roz
tum mujhe baton ki jagah
apni banhon mein bhar lete ho
us roz
main apni neend aur sukun
donon ganwa baithti hoon
anek star the prem ke
aur utne hi roop
mainne samay ke sath ye jana ki
pati, parmeshwar nahin hota
wo ek sathi hota hai
sabse pyara, sabse mahattwapurn sathi
wariyata ke kram mein
nishchit roop se sabse upar
lekin main zara lalchi rahi
mujhe pati ke sath sath
us premi ki bhi awashyakta mahsus hui
jo mere jiwan mein zinda rakh sake zindagi
sanbhal sake mera bachpan
zimmedariyon ki pathrili pagDanDi par
jo mujhe yaad dilaye
ki main ab bhi behad khubsurat hoon
jo bina thake roz mujhe suna sake
meer aur ghalib ki ghazlen
un udas raton mein
jab mujhe neend nahin aati
wo apni god mein mera sir rakh
ga sake ek mithi lori
mujhe baton ka prem chahiye
aur ek batuni premi
jiski baten mere liye sukun hon
kya tum jante ho
ki jis roz
tum mujhe baton ki jagah
apni banhon mein bhar lete ho
us roz
main apni neend aur sukun
donon ganwa baithti hoon
स्रोत :
रचनाकार : पूनम सोनछात्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.