स्मृतियों का अप्रासंगिक हो जाना आश्चर्य की सबसे बड़ी घटना यदि होती
तो उस हृदय के लिए क्या कहें
जो हर आश्चर्य को महसूस करने के बाद भी उतना ही कोमल रह जाता है
जितना वह तब था
जब उसने पहली बार जाना था
कि बिछुड़ा दिए जाने से
भुला दिए जाने से
या पहचानने से इनकार कर देने से धमनियों में रक्त नहीं जमता
न मृत्यु गले लगा लेती है
हम धीरे-धीरे जानते हैं कि मौत का कुआँ एक खेल है जो कि अभ्यास से सधता है
हम धीरे-धीरे जानते हैं कि मृत्यु ने हमें कितनी ही बार अपनाया है
उसने थामा है हमें वर्षा के किसी दिन
पानी पीते हुए चुपचाप
किसी से बेमतलब ही कुछ पूछते हुए
रोज़ ख़ुश होते हुए कि शाम को साढ़े पाँच पर चाय बनाएँगे और ख़ुशी ढूँढ़ेंगे
किसी को पूछते हुए
तुमने चाय पी?
और ‘हाँ’ सुन कर यह सोचते हुए कि हाँ में कितना कुछ मिल जाता है
हम धीरे-धीरे जानते हैं कि इस संसार में सब कुछ प्रासंगिक है
हम धीरे-धीरे जानते हैं कि मृत फूल और दीवार की घड़ी हमारे सभी रहस्य जानती हैं
हम धीरे-धीरे जान जाते हैं
कि रात हमसे कहीं ज़्यादा उदास
और दिन हमसे कहीं ज़्यादा थका हुआ है
हम धीरे-धीरे जान ही जाते हैं
कि इस दुनिया में कहीं भी
कोई भी आश्चर्य नहीं है
बस कुछ जगहें हैं
उन जगहों पर कुछ चिह्न हैं
वे जगहें हमेशा चुप रहेंगी
और हमें बीत जाना होगा!
smritiyon ka aprasangik ho jana ashchary ki sabse baDi ghatna yadi hoti
to us hirdai ke liye kya kahen
jo har ashchary ko mahsus karne ke baad bhi utna hi komal rah jata hai
jitna wo tab tha
jab usne pahli bar jana tha
ki bichhuDa diye jane se
bhula diye jane se
ya pahchanne se inkar kar dene se dhamaniyon mein rakt nahin jamta
na mirtyu gale laga leti hai
hum dhire dhire jante hain ki maut ka kuan ek khel hai jo ki abhyas se sadhta hai
hum dhire dhire jante hain ki mirtyu ne hamein kitni hi bar apnaya hai
usne thama hai hamein warsha ke kisi din
pani pite hue chupchap
kisi se bematlab hi kuch puchhte hue
roz khush hote hue ki sham ko saDhe panch par chay banayenge aur khushi DhunDhenge
kisi ko puchhte hue
tumne chay pee?
aur ‘han’ sun kar ye sochte hue ki han mein kitna kuch mil jata hai
hum dhire dhire jante hain ki is sansar mein sab kuch prasangik hai
hum dhire dhire jante hain ki mrit phool aur diwar ki ghaDi hamare sabhi rahasy janti hain
hum dhire dhire jaan jate hain
ki raat hamse kahin zyada udas
aur din hamse kahin zyada thaka hua hai
hum dhire dhire jaan hi jate hain
ki is duniya mein kahin bhi
koi bhi ashchary nahin hai
bus kuch jaghen hain
un jaghon par kuch chihn hain
we jaghen hamesha chup rahengi
aur hamein beet jana hoga!

स्रोत :
रचनाकार : गार्गी मिश्र
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.