उसे चोट लगी थी
और वह यह बात
मानने को तैयार नहीं था
इस न मानने के चक्कर में
उसने कितने लोगों को चोट दी
इसकी गिनती लगभग असंभव है
रिसता था ज़ख़्म और फैलता था
मगर ज़िद,
ये प्यारी ज़िद
ग़ुरूर, ये कम्बख़्त ग़ुरूर
दुनिया सफ़ेद और काले में
नहीं गढ़ी गई थी
जितने रंग थे
उतने दर्द भी ज़रूर
किस दर्द का क्या इलाज है
हम अक्सर नहीं समझ पाते थे
और ग़लत दवाई लेते-लेते
और बीमार होते जाते थे
तुमने सुना नहीं
मैंने कहा नहीं
लेकिन वह चोट
उसे छुपाओ मत,
न ढको उसे
आने दोगे क़रीब थोड़ा तो
मरहम भी लगा दूँ मैं
गले भी लगा लूँ मैं
मगर ये पागलपन
ऐसे नहीं जिया जाएगा ज़्यादा दोस्त
प्यार से कोई बात कही जाए
तो समझ जाते हैं लोग
ऐसा कहा जाता है
मेरी आख़िरी कोशिश
उस राह में
यह कविता है।
use chot lagi thi
aur wo ye baat
manne ko taiyar nahin tha
is na manne ke chakkar men
usne kitne logon ko chot di
iski ginti lagbhag asambhav hai
rista tha zakhm aur phailta tha
magar zid,
ye pyari zid
ghurur, ye kambakht ghurur
duniya safed aur kale men
nahin gaDhi gai thi
jitne rang the
utne dard bhi zarur
kis dard ka kya ilaaj hai
hum aksar nahin samajh pate the
aur ghalat davai lete lete
aur bimar hote jate the
tumne suna nahin
mainne kaha nahin
lekin wo chot
use chhupao mat,
na Dhako use
aane doge qarib thoDa to
marham bhi laga doon main
gale bhi laga loon main
magar ye pagalpan
aise nahin jiya jayega zyada dost
pyaar se koi baat kahi jaye
to samajh jate hain log
aisa kaha jata hai
meri akhiri koshish
us raah men
ye kavita hai.
use chot lagi thi
aur wo ye baat
manne ko taiyar nahin tha
is na manne ke chakkar men
usne kitne logon ko chot di
iski ginti lagbhag asambhav hai
rista tha zakhm aur phailta tha
magar zid,
ye pyari zid
ghurur, ye kambakht ghurur
duniya safed aur kale men
nahin gaDhi gai thi
jitne rang the
utne dard bhi zarur
kis dard ka kya ilaaj hai
hum aksar nahin samajh pate the
aur ghalat davai lete lete
aur bimar hote jate the
tumne suna nahin
mainne kaha nahin
lekin wo chot
use chhupao mat,
na Dhako use
aane doge qarib thoDa to
marham bhi laga doon main
gale bhi laga loon main
magar ye pagalpan
aise nahin jiya jayega zyada dost
pyaar se koi baat kahi jaye
to samajh jate hain log
aisa kaha jata hai
meri akhiri koshish
us raah men
ye kavita hai.
स्रोत :
रचनाकार : रेणु कश्यप
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.