मुझे नहीं मालूम था
कि इतना निर्दयी हूँ मैं
हो सकता है मुझे यह भी
न मालूम हो कि प्रेम करने के पहले
थोड़ी दया भी बचाकर रखनी चाहिए
उसने प्रेम की ओलम
पट्टी पर मढ़ते हुए कहा कि
मैं तुम्हारे नाम में
छोटी इ की मात्रा बनकर रहना चाहती हूँ
बस उतनी जगह घेरूँगी
जितनी अलगनी पर सूखती तुम्हारी क़मीज़
और तौलिया के बीच बच रहती है
और उस पर अपने नन्हे पंजे टिकाकर
जैसे गौरैया तुम्हें देखती रहती है
मुझे पंजे टिकाने भर की जगह
अपनी अलगनी में दे दो
मैंने सिर से पाँव तक उसे घूरकर देखा
और उसके पंजे देखकर
उपेक्षा से सिर हिला दिया
नहीं
यह नहीं हो सकता
मेरे नाम में पहले से ही बड़े ऊ की मात्रा लगी है
अगर बचाकर रखी होती थोड़ी-सी दया
तो क़मीज़ की एक बाँह
पलट कर जगह बनाई जा सकती थी
गौरैया के पंजों भर की
अलगनी पर पसारकर गीले कपड़े
सुखाने के पहले मरोड़कर
निचोड़ने और ज़ोर से फटकारने की
आदत ने सख़्ती बढ़ा दी
फिर भी प्रेम किया
और निर्दय भी हुआ
गौरैया आँगन की कार्निश पर बैठी है
अलगनी ख़ाली पड़ी है
मैं अलगनी से कपड़े उतारकर
प्रेस कर रहा हूँ
इस बार निर्दयता से कपड़ों की
शिकन निकाल रहा हूँ
अपनी तो निकाल नहीं पाया
उसे भी पता है कि वह छोटी इ की मात्रा है
न सही अलगनी पर
मुंडेर पर तो आना बना रहेगा
और मेरे नीचे ऊ की मात्रा लगी है
जो मुझे और नीचे नहीं खींच सकती
उल्टे मुझसे ही लटकी रहेगी
mujhe nahin malum tha
ki itna nirdayi hoon main
ho sakta hai mujhe ye bhi
na malum ho ki prem karne ke pahle
thoDi daya bhi bachakar rakhni chahiye
usne prem ki olam
patti par maDhte hue kaha ki
main tumhare nam mein
chhoti i ki matra bankar rahna chahti hoon
bus utni jagah gherungi
jitni algani par sukhti tumhari qamiz
aur tauliya ke beech bach rahti hai
aur us par apne nannhe panje tikakar
jaise gauraiya tumhein dekhti rahti hai
mujhe panje tikane bhar ki jagah
apni algani mein de do
mainne sir se panw tak use ghurkar dekha
aur uske panje dekhkar
upeksha se sir hila diya
nahin
ye nahin ho sakta
mere nam mein pahle se hi baDe u ki matra lagi hai
agar bachakar rakhi hoti thoDi si daya
to qamiz ki ek banh
palat kar jagah banai ja sakti thi
gauraiya ke panjon bhar ki
algani par pasarkar gile kapDe
sukhane ke pahle maroDkar
nichoDne aur zor se phatkarne ki
adat ne sakhti baDha di
phir bhi prem kiya
aur nirday bhi hua
gauraiya angan ki karnish par baithi hai
algani khali paDi hai
main algani se kapDe utarkar
press kar raha hoon
is bar nirdayta se kapDon ki
shikan nikal raha hoon
apni to nikal nahin paya
use bhi pata hai ki wo chhoti i ki matra hai
na sahi algani par
munDer par to aana bana rahega
aur mere niche u ki matra lagi hai
jo mujhe aur niche nahin kheench sakti
ulte mujhse hi latki rahegi
mujhe nahin malum tha
ki itna nirdayi hoon main
ho sakta hai mujhe ye bhi
na malum ho ki prem karne ke pahle
thoDi daya bhi bachakar rakhni chahiye
usne prem ki olam
patti par maDhte hue kaha ki
main tumhare nam mein
chhoti i ki matra bankar rahna chahti hoon
bus utni jagah gherungi
jitni algani par sukhti tumhari qamiz
aur tauliya ke beech bach rahti hai
aur us par apne nannhe panje tikakar
jaise gauraiya tumhein dekhti rahti hai
mujhe panje tikane bhar ki jagah
apni algani mein de do
mainne sir se panw tak use ghurkar dekha
aur uske panje dekhkar
upeksha se sir hila diya
nahin
ye nahin ho sakta
mere nam mein pahle se hi baDe u ki matra lagi hai
agar bachakar rakhi hoti thoDi si daya
to qamiz ki ek banh
palat kar jagah banai ja sakti thi
gauraiya ke panjon bhar ki
algani par pasarkar gile kapDe
sukhane ke pahle maroDkar
nichoDne aur zor se phatkarne ki
adat ne sakhti baDha di
phir bhi prem kiya
aur nirday bhi hua
gauraiya angan ki karnish par baithi hai
algani khali paDi hai
main algani se kapDe utarkar
press kar raha hoon
is bar nirdayta se kapDon ki
shikan nikal raha hoon
apni to nikal nahin paya
use bhi pata hai ki wo chhoti i ki matra hai
na sahi algani par
munDer par to aana bana rahega
aur mere niche u ki matra lagi hai
jo mujhe aur niche nahin kheench sakti
ulte mujhse hi latki rahegi
स्रोत :
रचनाकार : बजरंग बिश्नोई
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.