खूँटी पर जो छाता टँगा है
वह बाबूजी का है
इसने ज़िंदगी भर उनका साथ निभाया
और ऐसा निभाया कि
बाबूजी बड़े बाबू से छाता बाबू हो गए
यही उनकी पहचान बन गई
इसी नाम से जाने गए
वे जहाँ-जहाँ जाते
छाता साथ-साथ जाता
दफ़्तर, सभा-सोसायटी, हाट-बाज़ार, सिनेमा-सर्कस...
वह उनकी बाँई हाथ पर लटका होता
और बाबूजी मज़े से सूरती ठोक रहे होते
वह पीछे कंधे पर झूल रहा होता
लगता कि कोई बच्चा पीठ पर सवार
झूला-झूल रहा है
यह छाता बाबूजी को
बारिश, लू, धूप से तो बचाता ही
बेर-बखत उन्हें कुछ ज़्यादा ही मनुष्य बना डालता
बारिश में भींगता कोई मिल जाता तो
उसे उसके गंतव्य तक पहुँचाकर ही मानते
स्वयं तर-ब-तर घर पहुँचते
अम्मा झिड़कती भी
उत्तर में बाबूजी के चेहरे पर
हल्की-सी मुसकान तिर आती
अपनी तो छाते से कभी दोस्ती रही नहीं
उसके छूट जाने का अंदेशा हमेशा बना रहा
और कई बार ऐसा हुआ भी
फिर याद आते ही भागा
और मिला तो मन को शाँति मिली
मेरे लिए तो छाता जी का जंजाल है
कोई मोह-माया इससे नहीं
हाँ, खूँटी पर उसे टँगे देखना अच्छा लगता है
उसके वहाँ होने भर से
बाबूजी की स्मृतियाँ ताज़ा हो जाती हैं।
khunti par jo chhata tanga hai
wo babuji ka hai
isne zindagi bhar unka saath nibhaya
aur aisa nibhaya ki
babuji baDe babu se chhata babu ho ge
yahi unki pahchan ban gai
isi naam se jane ge
ve jahan jahan jate
chhata saath saath jata
daftar, sabha sosayti, haat bazar, sinema sarkas. . .
wo unki banii haath par latka hota
aur babuji maze se surati thok rahe hote
wo pichhe kandhe par jhool raha hota
lagta ki koi bachcha peeth par savar
jhula jhool raha hai
ye chhata babuji ko
barish, lu, dhoop se to bachata hi
ber bakhat unhen kuch zyada hi manushya bana Dalta
barish mein bhingta koi mil jata to
use uske gantavya tak pahunchakar hi mante
svayan tar ba tar ghar pahunchte
amma jhiDakti bhi
uttar mein babuji ke chehre par
halki si muskan tir aati
apni to chhate se kabhi dosti rahi nahin
uske chhoot jane ka andesha hamesha bana raha
aur kai baar aisa hua bhi
phir yaad aate hi bhaga
aur mila to man ko shanti mili
mere liye to chhata ji ka janjal hai
koi moh maya isse nahin
haan, khunti par use tange dekhana achchha lagta hai
uske vahan hone bhar se
babuji ki smritiyan taza ho jati hain.
khunti par jo chhata tanga hai
wo babuji ka hai
isne zindagi bhar unka saath nibhaya
aur aisa nibhaya ki
babuji baDe babu se chhata babu ho ge
yahi unki pahchan ban gai
isi naam se jane ge
ve jahan jahan jate
chhata saath saath jata
daftar, sabha sosayti, haat bazar, sinema sarkas. . .
wo unki banii haath par latka hota
aur babuji maze se surati thok rahe hote
wo pichhe kandhe par jhool raha hota
lagta ki koi bachcha peeth par savar
jhula jhool raha hai
ye chhata babuji ko
barish, lu, dhoop se to bachata hi
ber bakhat unhen kuch zyada hi manushya bana Dalta
barish mein bhingta koi mil jata to
use uske gantavya tak pahunchakar hi mante
svayan tar ba tar ghar pahunchte
amma jhiDakti bhi
uttar mein babuji ke chehre par
halki si muskan tir aati
apni to chhate se kabhi dosti rahi nahin
uske chhoot jane ka andesha hamesha bana raha
aur kai baar aisa hua bhi
phir yaad aate hi bhaga
aur mila to man ko shanti mili
mere liye to chhata ji ka janjal hai
koi moh maya isse nahin
haan, khunti par use tange dekhana achchha lagta hai
uske vahan hone bhar se
babuji ki smritiyan taza ho jati hain.
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.