मैं था कभी
घर का सबसे प्यारा हिस्सा
तुम्हारी मेरी हर मुलाक़ात से
जुड़ा है एक क़िस्सा
किसी के जाने का ग़म हो
या किसी के आने की ख़ुशी
उलझे हुए माँझे हों
या सुलझे हुए सवाल
सन्नाटों में दबी चीख़ें हों
या चाँद के ख़ूबसूरत होने का पहला एहसास
सब छुपे हैं इन्हीं कोनों में
और तेरा हर एक आँसू भी
सँभाल रखा है उसी कोने में
ईंटों और
चादरों से बनाए वे घर याद हैं?
सुबह की तीखी धूप से बचने को
क्या मेरी छाँव याद है?
क्या दूर वह पहाड़ याद है,
जिसके पेड़ गिनते थे तुम?
पता है अब न तो पेड़ हैं
न वह पहाड़
ऐसा लगता है मानो
गिनते रहते तो वहीं रहते
मुझे तो याद है हर बात
और जो साथ में देखे थे सारे ख़्वाब
अब जो तुम निकल चुके हो
पूरे करने के लिए ख़्वाब
तो अकेला हूँ मैं
कौन सुनेगा मेरा विलाप?
पर आज भीगते-भीगते
एक कश्ती आई पास
हूबहू वैसी ही
जैसी तुम बनाया करते थे
और वह वहीं छुपा बैठा था
उस टंकी के पीछे
जहाँ तुम छुपा करते थे
जब आए थे पहली बार तुम!
ऐसे ही तो दिखते थे।
main tha kabhi
ghar ka sabse pyara hissa
tumhari meri har mulaqat se
juDa hai ek qissa
kisi ke jane ka gham ho
ya kisi ke aane ki khushi
uljhe hue manjhe hon
ya suljhe hue sawal
sannaton mein dabi chikhen hon
ya chand ke khubsurat hone ka pahla ehsas
sab chhupe hain inhin konon mein
aur tera har ek ansu bhi
sanbhal rakha hai usi kone mein
inton aur
chadron se banaye we ghar yaad hain?
subah ki tikhi dhoop se bachne ko
kya meri chhanw yaad hai?
kya door wo pahaD yaad hai,
jiske peD ginte the tum?
pata hai ab na to peD hain
na wo pahaD
aisa lagta hai mano
ginte rahte to wahin rahte
mujhe to yaad hai har baat
aur jo sath mein dekhe the sare khwab
ab jo tum nikal chuke ho
pure karne ke liye khwab
to akela hoon main
kaun sunega mera wilap?
par aaj bhigte bhigte
ek kashti i pas
hubhu waisi hi
jaisi tum banaya karte the
aur wo wahin chhupa baitha tha
us tanki ke pichhe
jahan tum chhupa karte the
jab aaye the pahli bar tum!
aise hi to dikhte the
main tha kabhi
ghar ka sabse pyara hissa
tumhari meri har mulaqat se
juDa hai ek qissa
kisi ke jane ka gham ho
ya kisi ke aane ki khushi
uljhe hue manjhe hon
ya suljhe hue sawal
sannaton mein dabi chikhen hon
ya chand ke khubsurat hone ka pahla ehsas
sab chhupe hain inhin konon mein
aur tera har ek ansu bhi
sanbhal rakha hai usi kone mein
inton aur
chadron se banaye we ghar yaad hain?
subah ki tikhi dhoop se bachne ko
kya meri chhanw yaad hai?
kya door wo pahaD yaad hai,
jiske peD ginte the tum?
pata hai ab na to peD hain
na wo pahaD
aisa lagta hai mano
ginte rahte to wahin rahte
mujhe to yaad hai har baat
aur jo sath mein dekhe the sare khwab
ab jo tum nikal chuke ho
pure karne ke liye khwab
to akela hoon main
kaun sunega mera wilap?
par aaj bhigte bhigte
ek kashti i pas
hubhu waisi hi
jaisi tum banaya karte the
aur wo wahin chhupa baitha tha
us tanki ke pichhe
jahan tum chhupa karte the
jab aaye the pahli bar tum!
aise hi to dikhte the
स्रोत :
रचनाकार : जतिन एंड विंग्स
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.