चरित्रहीन पुरुष जब
चूल्हे-चौकेवाली स्त्रियों के चौके में
प्रेम की उधारी आग बनकर
चोर गली से प्रवेश करता है
चौखट से शील, संस्कार, क्षमा का
पलायन उस गृह स्वामिनी की अधोगति को
जन्म-जन्म एक गंदी गाली बना देता है।
जिन मर्तबान बरनियों में
आचार और पापड़ सालों चलते थे
अब फफूँद लगने लगी है।
दाल में नमक नाहक़ कम
और सब्जी में तेल मसाला प्रायः घट बढ़ने लगा है।
सुख-समृद्धि के एल्बम पर संत्रास
और छद्म योग के बादल घटाटोप हैं।
बीच की माँग अब उसके बालों को नहीं पाट रही
आत्मा और देह बाँटकर अब प्रेमी को समर्पित है
अब वाम भाग प्रेमी का है और शेष किसी का कुछ नहीं
सिंदूर का जस्ता भाग पति का, शेष उदीप्य प्रेम का
इस आभा के गुणा-भाग चित्रगुप्त करेंगे
ऐसी स्त्री की वैतरणी की यात्रा
किसी दान-व्रत से सफल नहीं होगी।
अब स्त्री के घर केवल उसका प्रेम रहता है
बाक़ी परिवार धुँधला पड़ रहा है
रजोनिवृत्ति के द्वार पर कंचन-कामिनी बनना चाह रही थी
किसी की बहन, भौजाई, बहू, मामी, चाची, मौसी
उम्र की सँकरी गली के दोराहे पर असभ्य बनने को उत्साहित है।
बालों की चाँदनी अब प्रेम की रंगीन परतों में छिपा दी गई है।
पर-पुरुष का पसीना उसे महँगा इत्र-फुलेल लगता है
बच्चे अपनी पुरानी माँ को नया बनते देख रहे हैं
सुता, सधवा और विधवा को बरगलाना
एक कुल को कलंकित करना था
सिंदूर को स्वधा स्वाहा करने का पाप
किसी युग में क्षम्य नहीं होना चाहिए
दुष्चरित्र पुरुष के अहं को पुष्ट
प्यार में पगलाई ऐसी औरतें ही करती हैं
प्रेम स्त्री के हृदय का प्रकाश बन सकता था
किंतु... प्रीत की दीप्ति के परागकणों को
प्रज्वलित करने हेतु
शील त्याग
निर्भीक सुहागिन
जब अपने सुहाग-चिह्न और चूल्हे की आग
स्वयं ठंडी कर देती है
उस चौखट पर उसकी वापसी भी
असंभव बन जाती है
दुविधा में दोनों गए,
न माया मिली न राम...
charitrahin purush jab
chulha chauka vali istriyon ke chauke men
prem ki udhari aag bankar chor gali se pravesh karta hai
chaukhat se sheel, sanskar, kshama ka
palayan us grih svamini ki adhogati ko
janm janm ek gandi gali bana deta hai.
jin martaban baraniyon mein achar aur papaD salon chalte the
ab phaphund lagne lagi hai.
daal mein namak nahak kam aur sabji mein tel masala praya ghat baDhne laga hai.
sukh samrddhi ke album par santras aur chhadm yog ke badal ghatatop hai.
beech ki maang ab uske balon ko nahin paat rahi
aatma aur deh bantakar ab premi ko samarpit hai
ab vaam bhaag premi ka hai aur shesh kisi ka kuch nahin
sindur ka jasta bhaag pati ka, shesh udipya prem ka
is aabha ke babast gunaa bhaag chitragupt karenge
aisi istri ki vaitarnai ki yatra kisi daan vart se saphal nahin hogi.
ab istri ke ghar keval uska prem rahta hai
baqi parivar dhundhla paD raha hai
rajonivrtti ke dvaar par kanchan kamini banna chaah rahi thi
kisi ki bahan, bhaujai, bahu, mami, chachi, mausi
umr ke sankri gali ke dorahe par asabhy banne ko utsahit hai.
balon ki chandni ab prem ki rangin parton mein chhipa di gai hai.
par purush ka pasina use mahanga itr phulel lagta hai.
bachchen apni purani maan ko naya bante dekh rahe hai.
suta, sadhva aur vidhva ko baraglana
ek kul ko kalankit karna tha
sindur ko svadha suvaha karne ka paap
kisi yug mein kshamy nahin hona chahiye
dushchritr purush ke ahan ko pusht
pyaar mein paglai aisi aurten hi karti hai.
prem istri ke hrday ka parkash ban sakta tha.
kintu. . .
preet ki dipti ke paragaknon ko prajvalit karne hetu
sheel tyaag
nirbhik suhagin
jab apne suhag chihn aur chulhe ki aag svayan thanDi kar deti hai,
us chaukhat par uski vapsi bhi asambhau ban jati hai
duvidha mein donon gaye, na maya mili na raam॥

स्रोत :
रचनाकार : जुवि शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.