बस में उसने एक बुज़ुर्ग को उठकर जगह दी थी
सड़क दुर्घटना में घायल हुए
एक रिक्शा चालक के इलाज के लिए चंदा किया था
आज वह दृश्य याद आ रहा है
एक बार सब्ज़ियों की हाट में
उसने अच्छे प्याज छाँटने में मेरी मदद की थी
इससे ज़्यादा का कोई वास्ता नहीं रहा मेरा उससे
जब तीन साल पहले वह अचानक ग़ायब हुआ
क़स्बे से तो भाइयों को चिंता हुई कि कहाँ गया!
दो साल के बाद उसे मरा मान लिया गया
और इस तरह उसके भाइयों ने उसके बिना जीना शुरू किया
एक भाई की स्त्री इस अनुमान से ख़ुश थी
और ख़ूब ख़ुश रहती थी
एक रोज़ पूस की भोर में लौटा
वह औचक पहली गाड़ी से
और सुबह आठ बजते न बजते
तेरह सौ रुपए चुकता कर आया
उस मारवाड़ी दुकानदार का
जो पैसे डूब जाने की नाउम्मीदी में
हवा में गालियाँ देता-देता एक रोज़ चुप हो गया था!
वह जो कपड़े लेकर आया था
भाइयों के बच्चों के लिए
सही नाप के नहीं निकले!
आज शाम की रेल से चला गया वह वापस
भाइयों ने उसे रोका नहीं
और कोई उसे रोकता भी क्यों
जब उसे मरा मान लिया गया था
bus mein usne ek buzurg ko uthkar jagah di thi
saDak durghatna mein ghayal hue
ek rickshaw chalak ke ilaj ke liye chanda kiya tha
aj wo drishya yaad aa raha hai
ek bar sabziyon ki hat mein
usne achchhe pyaj chhantane mein meri madad ki thi
isse zyada ka koi wasta nahin raha mera usse
jab teen sal pahle wo achanak ghayab hua
qasbe se to bhaiyon ko chinta hui ki kahan gaya!
do sal ke baad use mara man liya gaya
aur is tarah uske bhaiyon ne uske bina jina shuru kiya
ek bhai ki istri is anuman se khush thi
aur khoob khush rahti thi
ek roz poos ki bhor mein lauta
wo auchak pahli gaDi se
aur subah aath bajte na bajte
terah sau rupae chukta kar aaya
us marawaDi dukandar ka
jo paise Doob jane ki naummidi mein
hawa mein galiyan deta deta ek roz chup ho gaya tha!
wo jo kapDe lekar aaya tha
bhaiyon ke bachchon ke liye
sahi nap ke nahin nikle!
aj sham ki rail se chala gaya wo wapas
bhaiyon ne use roka nahin
aur koi use rokta bhi kyon
jab use mara man liya gaya tha
bus mein usne ek buzurg ko uthkar jagah di thi
saDak durghatna mein ghayal hue
ek rickshaw chalak ke ilaj ke liye chanda kiya tha
aj wo drishya yaad aa raha hai
ek bar sabziyon ki hat mein
usne achchhe pyaj chhantane mein meri madad ki thi
isse zyada ka koi wasta nahin raha mera usse
jab teen sal pahle wo achanak ghayab hua
qasbe se to bhaiyon ko chinta hui ki kahan gaya!
do sal ke baad use mara man liya gaya
aur is tarah uske bhaiyon ne uske bina jina shuru kiya
ek bhai ki istri is anuman se khush thi
aur khoob khush rahti thi
ek roz poos ki bhor mein lauta
wo auchak pahli gaDi se
aur subah aath bajte na bajte
terah sau rupae chukta kar aaya
us marawaDi dukandar ka
jo paise Doob jane ki naummidi mein
hawa mein galiyan deta deta ek roz chup ho gaya tha!
wo jo kapDe lekar aaya tha
bhaiyon ke bachchon ke liye
sahi nap ke nahin nikle!
aj sham ki rail se chala gaya wo wapas
bhaiyon ne use roka nahin
aur koi use rokta bhi kyon
jab use mara man liya gaya tha
स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.