बस-स्टैंड पर लोग बातें कर रहे हैं
और हो रही है बारिश।
हवाएँ उड़ा लाईं हैं कुछ हरे पत्ते
काग़ज़ के टुकड़े
जो ठिठक गए हैं आकर
पोल के पायताने जमे पानी में।
लोग बातें कर रहें हैं
उनकी बातों में हैं तमाम बातें
बस की अब नहीं है उन्हें कोई चिंता
बस आएगी अपने नियत समय पर
बादल गरजेंगे
बारिश होगी
रास्ते में लग जाएगा जाम
पोल के पायताने जमा रहेगा पानी
दूर रेडियो पर बजती रहेगी जानी-पहचानी धुन
बादल गरजते रहेंगे।
लोग बातें करते रहेंगे
बस-स्टैंड एक दृश्य बनकर लटक जाएगा सड़क किनारे।
लोगों की बातों में इन बातों का नहीं होगा कोई ज़िक्र
नहीं होगा कोई ज़िक्र कि कैसे कौन हवाएँ उन्हें यहाँ लाकर ठिठका देती हैं
और फिर यकायक उड़ा भी ले जातीं हैं
वे तो जानते तक नहीं
अपना रुकना, ठहरना, दृश्य बन जाना...
बस के आने तक रहेगा दृश्य
टूट जाएगा फिर
लोग हँसते-मुस्कुराते इधर-उधर चले जाएँगे
अपनी अपनी छतरियाँ खोले
फिर कहीं और ठिठक जाने के लिए।
bus stainD par log baten kar rahe hain
aur ho rahi hai barish
hawayen uDa lain hain kuch hare patte
kaghaz ke tukDe
jo thithak gaye hain aakar
pol ke paytane jame pani mein
log baten kar rahen hain
unki baton mein hain tamam baten
bus ki ab nahin hai unhen koi chinta
bus ayegi apne niyat samay par
badal garjenge
barish hogi
raste mein lag jayega jam
pol ke paytane jama rahega pani
door radio par bajti rahegi jani pahchani dhun
badal garajte rahenge
log baten karte rahenge
bus stainD ek drishya bankar latak jayega saDak kinare
logon ki baton mein in baton ka nahin hoga koi zikr
nahin hoga koi zikr ki kaise kaun hawayen unhen yahan lakar thithka deti hain
aur phir yakayak uDa bhi le jatin hain
we to jante tak nahin
apna rukna, thaharna, drishya ban jana
bus ke aane tak rahega drishya
toot jayega phir
log hanste muskurate idhar udhar chale jayenge
apni apni chhatriyan khole
phir kahin aur thithak jane ke liye
bus stainD par log baten kar rahe hain
aur ho rahi hai barish
hawayen uDa lain hain kuch hare patte
kaghaz ke tukDe
jo thithak gaye hain aakar
pol ke paytane jame pani mein
log baten kar rahen hain
unki baton mein hain tamam baten
bus ki ab nahin hai unhen koi chinta
bus ayegi apne niyat samay par
badal garjenge
barish hogi
raste mein lag jayega jam
pol ke paytane jama rahega pani
door radio par bajti rahegi jani pahchani dhun
badal garajte rahenge
log baten karte rahenge
bus stainD ek drishya bankar latak jayega saDak kinare
logon ki baton mein in baton ka nahin hoga koi zikr
nahin hoga koi zikr ki kaise kaun hawayen unhen yahan lakar thithka deti hain
aur phir yakayak uDa bhi le jatin hain
we to jante tak nahin
apna rukna, thaharna, drishya ban jana
bus ke aane tak rahega drishya
toot jayega phir
log hanste muskurate idhar udhar chale jayenge
apni apni chhatriyan khole
phir kahin aur thithak jane ke liye
स्रोत :
रचनाकार : आदित्य शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.