कृपया बुरा न मानें
इसे बुरे समय का प्रभाव तो क़तई नहीं
दरअसल यह शाश्वत हक़ीक़त है
कि काम नहीं आई
बुरे वक़्त में अच्छाइयाँ
धरे रह गए नीति-वचन-उपदेश
सारी अच्छी चीज़ें पड़ गईं ओछी
ईमानदारी की बात यह कि बुरी चीज़ें
बुरे लोग, बुरी बातें और बुरे दोस्तों ने बचाईं जान अक्सर
उँगली थामकर उठाया साहस दिया
अच्छी चीज़ों और अच्छे लोगों और अच्छे रास्तों ने बुरे समय में
अक्सर साथ छोड़ दिया
बचपन से ही
काम आती रही बुराइयाँ
बुरी माँओं ने पिलाया हमें अपना दूध
थोड़ा-बहुत अपने बच्चों से चुराकर
बुरे मर्दों ने ख़रीदी हमारे लिए अच्छी क़मीज़ें
मेले-हाटों के लिए दिया जेब-ख़र्च
गली के हरामज़ादे कहे गए वे छोकरे
जिन्होंने बात-बात पर गाली-गलौज
और मारपीट से ही किया हमारा स्वागत
उन्होंने भगाया हमारे भीतर का लिजलिजापन
और किया बाहर से दृढ़
हमें नपुंसक होने से बचाया
बददिमाग़ और बुरे माने गए साथियों ने
सिखाया लड़ना और अड़ना
बुरे लोगों ने पढ़ाया
ज़िंदगी का व्यावहारिक पाठ
जो हर चक्रव्यूह में आया काम हमारे
हमारी परेशानियों ने
किया संगठित हमें
सच ने नहीं, झूठ ने दिया संबल
जब थक गए पाँव
झूठ बोलकर हमने माँगी मदद जो मिली
झूठे कहलाए बाद में
झूठ ने किया पहले काम आसान
आत्महत्या से बचाया हमें उन छोरियों के प्रेम ने
जो बुरी मानी गईं अकसर
हमारे समाज ने बदचलन कहा जिन्हें
बुरी स्त्रियों और सबसे सतही मुंबइया फ़िल्मों ने
सिखाया करना प्रेम
बुरे गुरुओं ने सिखाया
लिखना सच्चे-प्रेमपत्र
दो कौड़ी के लेमनचूस के लालच में पड़ जाने वाले लौंडों ने
पहुँचाया उन प्रेम-पत्रों को
सही मुक़ाम तक
जब परेशानी, अभाव, भागमभाग
और बदबूदार पसीने ने घेरा हमें
छोड़ दिया गोरी चमड़ी वाली उन ख़ुशबूदार प्रेमिकाओं ने साथ
बुरी औरतों ने थामा ऐसे वक़्त में हाथ
हमें अराजक और कुंठित होने से बचाया
हमारी कामनाओं को किया तृप्त
बुरी शराब ने साथ दिया बुरे दिनों में
उबारा हमें घोर अवसाद से
स्वाभिमान और हिम्मत की शमा जलाई
हमारे भीतर के अँधेरों में
दो कौड़ी की बीड़ियों को फूँकते हुए
चढ़े हम पहाड़ जैसे जीवन की ऊँचाई
गंदे नालों और नदियों का पानी का आया वक़्त पर
बोतलों में बंद महँगे मिनरल वाटर नहीं
भूख से तड़पते लोगों के काम आए
बुरे भोजन
कूड़े पर सड़ते फल और सब्ज़ियाँ
सबसे सस्ते गाजर और टमाटर
हमारे एकाकीपन को दूर किया
बैठे-ठाले लोगों ने
गपोड़ियों ने बचाया संवाद और हास्य
निरंतर आत्मकेंद्रित और नीरस होती दुनिया में
और जल्दी ही भुला देने के इस दौर में
मुझे मेरी बुराइयों को लेकर ही
शिद्दत से याद करते हैं उस क़स्बे के लोग
जहाँ से भागकर आया हूँ दिल्ली!
kripaya bura na manen
ise bure samay ka prabhav to qatii nahin
darasal ye shashvat haqiqat hai
ki kaam nahin i
bure vakt mein achhaiyan
dhare rah gaye niti vachan updesh
sari achchhi chizen paD gain ochhi
imandari ki baat ye ki buri chizen
bure log, buri baten aur bure doston ne bachain jaan aqsar
ungli thamkar uthaya sahas diya
achchhi chizon aur achchhe logon aur achchhe raston ne bure samay men
aqsar saath chhoD diya
bachpan se hi
kaam aati rahi buraiyan
buri manon ne pilaya hamein apna doodh
thoDa bahut apne bachchon se churakar
bure mardon ne kharidi hamare liye achchhi kamizen
mele haton ke liye diya jeb kharch
gali ke haramzade kahe gaye ve chhokre
jinhonne baat baat par gali galauz
aur marapit se hi kiya hamara svagat
unhonne bhagaya hamare bhitar ka lizalizapan
aur kiya bahar se driDh
hamein napunsak hone se bachaya
baddimagh aur bure mane gaye sathiyon ne
sikhaya laDna aur aDna
bure logon ne paDhaya
zindagi ka vyavaharik paath
jo har chakravyuh mein aaya kaam hamare
hamari pareshaniyon ne
kiya sangthit hamen
sach ne nahin, jhooth ne diya sambal
jab thak gaye paanv
jhooth bolkar hamne mangi madad jo mili
jhuthe kahlaye baad men
jhooth ne kiya pahle kaam asan
atmahatya se bachaya hamein un chhoriyon ke prem ne
jo buri mani gain aksar
hamare samaj ne badachlan kaha jinhen
buri istriyon aur sabse sathi mumbaiya filmon ne
sikhaya karna prem
bure guruon ne sikhaya
likhna sachche prempatr
do kauDi ke lemanchus ke lalach mein paD jane vale lounDon ne
pahunchaya un prem patron ko
sahi muqam tak
jab pareshani, abhav, bhagambhag
aur badbudar pasine ne ghera hamen
chhoD diya gori chamDi vali un khushabuda premikaon ne saath
buri aurton ne thama aise vaqt mein haath
hamein arajak aur kunthit hone se bachaya
hamari kamnaon ko kiya tript
buri sharab ne saath diya bure dinon men
ubara hamein ghor avsad se
svabhiman aur himmat ki shama jalai
hamare bhitar ke andheron men
do kauDi ki biDiyon ko phunkte hue
chaDhe hum pahaD jaise jivan ki unchai
gande nalon aur nadiyon ka pani ka aaya vaqt par
botalon mein band mahnge mineral water nahin
bhookh se taDapte logon ke kaam aaye
bure bhojan
kuDe par saDte phal aur sabjiyan
sabse saste gajar aur tamatar
hamare ekakipan ko door kiya
baithe thale logon ne
gapoDiyon ne bachaya sanvad aur hasya
nirantar atmakendrit aur niras hoti duniya men
aur jaldi hi bhula dene ke is daur men
mujhe meri buraiyon ko lekar hi
shiddat se yaad karte hain us qasbe ke log
jahan se bhagkar aaya hoon dilli!
kripaya bura na manen
ise bure samay ka prabhav to qatii nahin
darasal ye shashvat haqiqat hai
ki kaam nahin i
bure vakt mein achhaiyan
dhare rah gaye niti vachan updesh
sari achchhi chizen paD gain ochhi
imandari ki baat ye ki buri chizen
bure log, buri baten aur bure doston ne bachain jaan aqsar
ungli thamkar uthaya sahas diya
achchhi chizon aur achchhe logon aur achchhe raston ne bure samay men
aqsar saath chhoD diya
bachpan se hi
kaam aati rahi buraiyan
buri manon ne pilaya hamein apna doodh
thoDa bahut apne bachchon se churakar
bure mardon ne kharidi hamare liye achchhi kamizen
mele haton ke liye diya jeb kharch
gali ke haramzade kahe gaye ve chhokre
jinhonne baat baat par gali galauz
aur marapit se hi kiya hamara svagat
unhonne bhagaya hamare bhitar ka lizalizapan
aur kiya bahar se driDh
hamein napunsak hone se bachaya
baddimagh aur bure mane gaye sathiyon ne
sikhaya laDna aur aDna
bure logon ne paDhaya
zindagi ka vyavaharik paath
jo har chakravyuh mein aaya kaam hamare
hamari pareshaniyon ne
kiya sangthit hamen
sach ne nahin, jhooth ne diya sambal
jab thak gaye paanv
jhooth bolkar hamne mangi madad jo mili
jhuthe kahlaye baad men
jhooth ne kiya pahle kaam asan
atmahatya se bachaya hamein un chhoriyon ke prem ne
jo buri mani gain aksar
hamare samaj ne badachlan kaha jinhen
buri istriyon aur sabse sathi mumbaiya filmon ne
sikhaya karna prem
bure guruon ne sikhaya
likhna sachche prempatr
do kauDi ke lemanchus ke lalach mein paD jane vale lounDon ne
pahunchaya un prem patron ko
sahi muqam tak
jab pareshani, abhav, bhagambhag
aur badbudar pasine ne ghera hamen
chhoD diya gori chamDi vali un khushabuda premikaon ne saath
buri aurton ne thama aise vaqt mein haath
hamein arajak aur kunthit hone se bachaya
hamari kamnaon ko kiya tript
buri sharab ne saath diya bure dinon men
ubara hamein ghor avsad se
svabhiman aur himmat ki shama jalai
hamare bhitar ke andheron men
do kauDi ki biDiyon ko phunkte hue
chaDhe hum pahaD jaise jivan ki unchai
gande nalon aur nadiyon ka pani ka aaya vaqt par
botalon mein band mahnge mineral water nahin
bhookh se taDapte logon ke kaam aaye
bure bhojan
kuDe par saDte phal aur sabjiyan
sabse saste gajar aur tamatar
hamare ekakipan ko door kiya
baithe thale logon ne
gapoDiyon ne bachaya sanvad aur hasya
nirantar atmakendrit aur niras hoti duniya men
aur jaldi hi bhula dene ke is daur men
mujhe meri buraiyon ko lekar hi
shiddat se yaad karte hain us qasbe ke log
jahan se bhagkar aaya hoon dilli!
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.