मुझसे मेरी बुद्धि न छीनो, विनती करता हूँ, भगवान,
जी सकता श्रम सहकर, भूखा रहकर, लेकर भिक्षा-दान,
बुद्धि बिना पर कब कल्याण?
मेरी बुद्धि नहीं, गो, ऐसी जिसपर हो मुझको अभिमान,
कोई मान सके तो होगा इससे मुझको हर्ष महान,
यदि मैं इससे पाऊँ त्राण।
दुनिया अपने प्रतिबधों से यदि कर दे मुझको आज़ाद,
करने दे मुझको जो चाहूँ तो भर अंतर में आह्लाद,
मैं भागूँगा वन की ओर।
और वहाँ डालूँगा अपने सपनों का तूफ़ानी दोल,
और अग्नि गीतों को गाता अपने कंठ अकुंठित खोल,
हो जाऊँगा आत्म-विभोर।
वहाँ बैठकर सुना करूँगा निर्मल झरनों का गाना,
हर्ष-प्रफुल्लित, पुलकित मन से जब चाहूँगा मनमाना,
ताकूँगा नव नील गगन।
लेंगी होड़ प्रबल झंझा में तब मेरी साँसें स्वच्छंद,
जो हरहर मरमर कर बहती हैं मैदानों पर निर्द्वंद्व,
और झुमा देती कानन।
बुद्धि विकृति यदि हो जाए तो, यह दुनिया है ऐसी क्रूर,
तुमको रक्खेगी अपने से संक्रामक रोगी-सा दूर,
तुमको जकड़ेंगे बंधन।
दुनिया वाले जंज़ीरों से हाथ-पाँव दोनों कसकर,
ठेल तुम्हें देंगे ले जाकर पागलख़ाने के अंदर,
पशुओं-सा होगा जीवन।
पागल साथी वहाँ रहेंगे करते हरदम चीख़-पुकार,
और सुनाई देगी रातों को रखवारों की फटकार,
और बेड़ियों की झन-झन।
कभी नहीं फिर सुन पाओगे तुम बुलबुल का मंजुल राग
जिससे रजनी की छाया में गुंजित होता हर वन-बाग़,
वन्य विहगों का गायन।
mujhse meri buddhi na chhino, vinti karta hoon, bhagvan,
ji sakta shram sahkar, bhukha rahkar, lekar bhiksha daan,
buddhi bina par kab kalyan?
meri buddhi nahin, go, aisi jispar ho mujhko abhiman,
koi maan sake to hoga isse mujhko harsh mahan,
yadi main isse paun traan.
duniya apne pratibdhon se yadi kar de mujhko azad,
karne de mujhko jo chahun to bhar antar mein ahlad,
main bhagunga van ki ghor.
aur vahan Dalunga apne sapnon ka tufani dol,
aur agni giton ko gata apne kanth akunthit khol,
ho jaunga aatm vibhor.
vahan baithkar suna karunga nirmal jharno ka gana,
harsh praphullit, pulkit man se jab chahunga manmana,
takunga nav neel gagan.
lengi hoD prabal jhanjha mein tab meri sasen svachchhand,
jo harhar marmar kar bahti hai madanon par nirdvandv,
aur jhuma deti kanan.
buddhi vikrti yadi ho jaye to, ye duniya hai aisi kroor,
tumko rakkhegi apne se sankramak rogi sa door,
tumko jakDenge bandhan.
duniya vale janziron se haath paav donon kaskar,
thel tumhein denge le jakar pagalkhane ke andar,
pashuon sa hoga jivan.
pagal sathi vahan rahenge karte hardam cheekh pukar,
aur sunai degi raton ko rakhvaron ki phatkar,
aur beDiyon ki jhan jhan.
kabhi nahin phir sun paoge tum bulbul ka manjul raag
jisse rajni ki chhaya mein gujit hota har ban baagh,
vany vihgon ka gayan.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 67)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.