दिसंबर की
इस सर्द सुबह
खिड़की पर
ज़मी है
अनिश्चितताओं की ओस
धुँधलाए शीशे पर
तर्जनी के पोर से
लिखती-मिटाती हूँ तुम्हारा नाम
सहमी आवाज़ से
भीतर बुदबुदाती हूँ
प्रतिबद्धताएँ
हवा में तैरते
बिखरे अक्षर बटोरती
फिर से
आकाश के सफ़ेद पन्ने पर
लिखना चाहती हूँ तुम्हारा नाम
इस अप्रिय एकाकी में
इस नीरव क्षण में
कितना ज़रूरी था
तुम्हारे होठों से
उच्चारित होता मेरा नाम
हवाएँ दे जाती संदेश मुझे
और
मेरा ही नाम
सहला जाता मेरी उदासियाँ
इस भयावह समय में
कितना ज़रूरी था
मृत कुएँ की भीत पर
उस बिरवे का जीवित बने रहना
जिसकी पत्तियाँ
मेरे लिए जीवनरक्षक औषधि थीं
घुप्प बियाबान में
जहाँ
साँसों की लड़ाई चल रही
अँधेरे सन्नाटे
उतारू मरने-मारने पर
..अपना नाम सुन
किलक उठती मैं
किसी बच्चे की तरह
और इस तरह
स्थगित हो जाती मेरी मृत्यु
disambar ki
is sard subah
khiDki par
zami hai
anishchittaon ki os
dhundhalaye shishe par
tarjani ke por se
likhti mitati hoon tumhara naam
sahmi avaz se
bhitar budabudati hoon
pratibaddhtayen
hava mein tairte
bikhre akshar batorti
phir se
akash ke safed panne par
likhna chahti hoon tumhara naam
is apriy ekaki men
is nirav kshan men
kitna zaruri tha
tumhare hothon se
uchcharit hota mera naam
havayen de jati sandesh mujhe
aur
mera hi naam
sahla jata meri udasiyan
is bhayavah samay men
kitna zaruri tha
mrit kuen ki bheet par
us birve ka jivit bane rahna
jiski pattiyan
mere liye jivanrakshak aushadhi theen
ghupp biyaban mein
jahan
sanson ki laDai chal rahi
andhere sannate
utaru marne marne par
. . apna naam sun
kilak uthti main
kisi bachche ki tarah
aur is tarah
sthagit ho jati meri mrityu
disambar ki
is sard subah
khiDki par
zami hai
anishchittaon ki os
dhundhalaye shishe par
tarjani ke por se
likhti mitati hoon tumhara naam
sahmi avaz se
bhitar budabudati hoon
pratibaddhtayen
hava mein tairte
bikhre akshar batorti
phir se
akash ke safed panne par
likhna chahti hoon tumhara naam
is apriy ekaki men
is nirav kshan men
kitna zaruri tha
tumhare hothon se
uchcharit hota mera naam
havayen de jati sandesh mujhe
aur
mera hi naam
sahla jata meri udasiyan
is bhayavah samay men
kitna zaruri tha
mrit kuen ki bheet par
us birve ka jivit bane rahna
jiski pattiyan
mere liye jivanrakshak aushadhi theen
ghupp biyaban mein
jahan
sanson ki laDai chal rahi
andhere sannate
utaru marne marne par
. . apna naam sun
kilak uthti main
kisi bachche ki tarah
aur is tarah
sthagit ho jati meri mrityu
स्रोत :
रचनाकार : सौम्या सुमन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.