किसान  के  बच्चों  ने  
किताब  का  पहला  पन्ना  
खोला  
देर  तक  किताबों  में  ढूँढ़ा  
अपने  पिता  को  
मिस्त्री  का  बच्चा  
ढूँढ़ता  रहा  
मिस्त्री  किताबों  में  
दुनिया  के  सबसे  बड़े  महलों  
मीनारों  का  इतिहास  
पढ़ता  हुआ  
घस्यारिन  के  बच्चे  
घस्यारिने  ढूँढ़ते  रहे  
पहाड़ों  के  बारे  में  पढ़ते  हुए  
किताबों  में  
नाई  की  बच्ची  
ढूँढ़ती  रही  
क़ैंची  से  निकलती  
गौरैया-सी  आवाज़  के  साथ  
अपने  पिता  को  
किताबों  में  
सफ़ाईकर्मी  
का  बच्चा  ढूँढ़ता  रहा  
एक  साफ़-सुथरी  बात  
कि  उसका  पिता  क्यों  नहीं  है  किताबों  में  
कौन  इन्हें  बताए  
यह  दुनिया  केवल  
डॉक्टर,  इंजीनियर,  मास्टर,  प्रोफ़ेसरों  की  है  
तहसीलदार,  ज़िलाधीशों  की  है  
इसमें  मजूरों,  किसानों,  
नाई  और  घस्यारिनों  की  कोई  जगह  नहीं  
मेरे  प्यारे  बच्चो,  
ये  किताबें  बदलनी  हैं  तुम्हें!  
                kisan  ke  bachchon  ne  
kitab  ka  pahla  panna  
khola  
der  tak  kitabon  mein  DhunDha  
apne  pita  ko  
mistri  ka  bachcha  
DhunDhata  raha  
mistri  kitabon  mein  
duniya  ke  sabse  baDe  mahlon  
minaron  ka  itihas  
paDhta  hua  
ghasyarin  ke  bachche  
ghasyarine  DhunDhate  rahe  
pahaDon  ke  bare  mein  paDhte  hue  
kitabon  mein  
nai  ki  bachchi  
DhunDhati  rahi  
qainchi  se  nikalti  
gauraiya  si  awaz  ke  sath  
apne  pita  ko  
kitabon  mein  
safaikarmi  
ka  bachcha  DhunDhata  raha  
ek  saf  suthari  baat  
ki  uska  pita  kyon  nahin  hai  kitabon  mein  
kaun  inhen  bataye  
ye  duniya  kewal  
doctor,  injiniyar,  master,  profesron  ki  hai  
tahsildar,  ziladhishon  ki  hai  
ismen  majuron,  kisanon,  
nai  aur  ghasyarinon  ki  koi  jagah  nahin  
mere  pyare  bachcho,  
ye  kitaben  badalni  hain  tumhein!  
kisan  ke  bachchon  ne  
kitab  ka  pahla  panna  
khola  
der  tak  kitabon  mein  DhunDha  
apne  pita  ko  
mistri  ka  bachcha  
DhunDhata  raha  
mistri  kitabon  mein  
duniya  ke  sabse  baDe  mahlon  
minaron  ka  itihas  
paDhta  hua  
ghasyarin  ke  bachche  
ghasyarine  DhunDhate  rahe  
pahaDon  ke  bare  mein  paDhte  hue  
kitabon  mein  
nai  ki  bachchi  
DhunDhati  rahi  
qainchi  se  nikalti  
gauraiya  si  awaz  ke  sath  
apne  pita  ko  
kitabon  mein  
safaikarmi  
ka  bachcha  DhunDhata  raha  
ek  saf  suthari  baat  
ki  uska  pita  kyon  nahin  hai  kitabon  mein  
kaun  inhen  bataye  
ye  duniya  kewal  
doctor,  injiniyar,  master,  profesron  ki  hai  
tahsildar,  ziladhishon  ki  hai  
ismen  majuron,  kisanon,  
nai  aur  ghasyarinon  ki  koi  jagah  nahin  
mere  pyare  bachcho,  
ye  kitaben  badalni  hain  tumhein!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अनिल कार्की 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.