कठिन है अन्याय के सिलेबस का
ब्लूप्रिंट बनाना
और खुरदरी मान्यताओं के हाथों में
भविष्य की पेंसिल दे देना...
कठिन है अपने ही भ्रम से
अचंभित होकर रह जाना,
अपने ही प्रेम का
विसर्जन करने के लिए
चिकनी सीढ़ियों पर
बिना फिसले खड़े रहना...
कठिन है नियति के थपेड़ों का
मुस्कुरा कर जवाब देना
धधकते रहना
और माचिस का हाथ से छूट जाना...
कठिन है अपने ही घुटनों को छील लेना
और रक्त की एक भी बूँद को
धरती पर ना गिरने देना...
कठिन है...
बहुत कठिन है निर्मम दौर में
संवेद्य बने रहना।
kathin hai anyay ke silebas ka
bluprint banana
aur khuradri manytaon ke hathon mein
bhavishya ki pensil de dena. . .
kathin hai apne hi bhram se
achambhit hokar rah jana,
apne hi prem ka
visarjan karne ke liye
chikni siDhiyon par
bina phisle khaDe rahna. . .
kathin hai niyti ke thapeDon ka
muskura kar javab dena
dhadhakte rahna
aur machis ka haath se chhoot jana. . .
kathin hai apne hi ghutnon ko chheel lena
aur rakt ki ek bhi boond ko
dharti par na girne dena. . .
kathin hai. . .
bahut kathin hai nirmam daur mein
sanvedya bane rahna.
kathin hai anyay ke silebas ka
bluprint banana
aur khuradri manytaon ke hathon mein
bhavishya ki pensil de dena. . .
kathin hai apne hi bhram se
achambhit hokar rah jana,
apne hi prem ka
visarjan karne ke liye
chikni siDhiyon par
bina phisle khaDe rahna. . .
kathin hai niyti ke thapeDon ka
muskura kar javab dena
dhadhakte rahna
aur machis ka haath se chhoot jana. . .
kathin hai apne hi ghutnon ko chheel lena
aur rakt ki ek bhi boond ko
dharti par na girne dena. . .
kathin hai. . .
bahut kathin hai nirmam daur mein
sanvedya bane rahna.
स्रोत :
रचनाकार : ऋतु त्यागी
प्रकाशन : हिंदवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.