पार्क में
मेरे सामने बच्चों का एक ख़ाली झूला
हवा की वजह से हल्का-हल्का हिल रहा है
झूले का यूँ आहिस्ता हिलना
आग्रह का एक गूढ़ रूप भी हो सकता है
संभव है कि यह हलचल
उसी आग्रह को मेरी और सरकाने की कोशिश हो
पिछली बार कब हुआ था झूले पर बैठना?
झूला झूलना इस जन्म की बात तो नहीं लगती
अपनी जगह से हल्का आगे, हल्का पीछे होता
समय की अवधारणाओं में कंपन पैदा करता
यह झूला शायद किसी दूसरे जन्म से
मेरी ओर देख रहा है
इस झूले पर जाकर बैठ जाना
मेरा नया जन्म हो सकता है।
park men
mere samne bachchon ka ek khali jhula
hava ki vajah se halka halka hil raha hai
jhule ka yoon ahista hilna
agrah ka ek gooDh roop bhi ho sakta hai
sambhav hai ki ye halchal
usi agrah ko meri aur sarkane ki koshish ho
pichhli baar kab hua tha jhule par baithna?
jhula jhulana is janm ki baat to nahin lagti
apni jagah se halka aage, halka pichhe hota
samay ki avdharnaon mein kampan paida karta
ye jhula shayad kisi dusre janm se
meri or dekh raha hai
is jhule par jakar baith jana
mera naya janm ho sakta hai.
park men
mere samne bachchon ka ek khali jhula
hava ki vajah se halka halka hil raha hai
jhule ka yoon ahista hilna
agrah ka ek gooDh roop bhi ho sakta hai
sambhav hai ki ye halchal
usi agrah ko meri aur sarkane ki koshish ho
pichhli baar kab hua tha jhule par baithna?
jhula jhulana is janm ki baat to nahin lagti
apni jagah se halka aage, halka pichhe hota
samay ki avdharnaon mein kampan paida karta
ye jhula shayad kisi dusre janm se
meri or dekh raha hai
is jhule par jakar baith jana
mera naya janm ho sakta hai.
स्रोत :
रचनाकार : शिवम तोमर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.