भूलना वेदना के कठोर दृश्य
चेहरे की ख़ाली तश्तरी पर
एक क्षण को ठहर फिर बह जाता स्पंदन
प्रेम जो भरता नहीं
रीतता हृदय को
ऋतुएँ जो अपने दंश से
रोक लेतीं अगली ऋतुओं का आगमन
धूसर चुंबन
जिनमें बीत गई वर्षाओं की खोखली आवाज़ बजती है
पुराने दोस्तों के पुराने पड़ चुके नाम
उबासियों से भरी लड़कपन की अपनी कोई
बेमतलब तस्वीर
अनगिनत दराज़ों में भूले हुए ख़त
इस आश्वासन के साथ भूलना चीज़ों को
कि समय रहते भूलना
याद रखने से कितना बड़ा और ज़रूरी है
कितना शाश्वत है
कि पृथ्वी सिखाती है त्यागना
बटोरने से अधिक
भूलते हुए जीवन के एक-एक दिन
इतनी तन्मयता से पलटना इस कथा के पन्नों को
कि यह दुनिया की सबसे दुखद नहीं
सबसे सुखद कथा हो।
bhulna wedna ke kathor drishya
chehre ki khali tashtari par
ek kshan ko thahar phir bah jata spandan
prem jo bharta nahin
ritta hirdai ko
rituen jo apne dansh se
rok letin agli rituon ka agaman
dhusar chumban
jinmen beet gai warshaon ki khokhli awaz bajti hai
purane doston ke purane paD chuke nam
ubasiyon se bhari laDakpan ki apni koi
bematlab taswir
anaginat darazon mein bhule hue khat
is ashwasan ke sath bhulna chizon ko
ki samay rahte bhulna
yaad rakhne se kitna baDa aur zaruri hai
kitna shashwat hai
ki prithwi sikhati hai tyagna
batorne se adhik
bhulte hue jiwan ke ek ek din
itni tanmayta se palatna is katha ke pannon ko
ki ye duniya ki sabse dukhad nahin
sabse sukhad katha ho
bhulna wedna ke kathor drishya
chehre ki khali tashtari par
ek kshan ko thahar phir bah jata spandan
prem jo bharta nahin
ritta hirdai ko
rituen jo apne dansh se
rok letin agli rituon ka agaman
dhusar chumban
jinmen beet gai warshaon ki khokhli awaz bajti hai
purane doston ke purane paD chuke nam
ubasiyon se bhari laDakpan ki apni koi
bematlab taswir
anaginat darazon mein bhule hue khat
is ashwasan ke sath bhulna chizon ko
ki samay rahte bhulna
yaad rakhne se kitna baDa aur zaruri hai
kitna shashwat hai
ki prithwi sikhati hai tyagna
batorne se adhik
bhulte hue jiwan ke ek ek din
itni tanmayta se palatna is katha ke pannon ko
ki ye duniya ki sabse dukhad nahin
sabse sukhad katha ho
स्रोत :
रचनाकार : वसु गंधर्व
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.