पेड़ तो होंगे
और उनके पत्तों में हरापन भी
भरपूर हरापन
लेकिन वह हरापन उनकी पत्तियों में मौजूद
क्लोरोफ़िल से नहीं
बल्कि किसी क्रूर सौंदर्यबोध से पैदा होगा
अपने पत्तों से वे
अमरूद का पेड़ होने का भ्रम देंगे
और तने से आम का पेड़ होने का
और सबसे अधिक भ्रमित करेंगे
उन पेड़ों की डालियों पर
किसी तरतीब से उगे, नहीं सजे
नामालूम प्रजाति के फूल
कभी उनके फूल आप ही नहीं झरेंगे
नए फूल भी नहीं उगेंगे कभी उन पर
देखेंगे नहीं पतझड़ कभी वे पेड़
कभी नहीं माँगेंगे वे पानी या धूप
कभी फल नहीं देंगे ऐसे जिन्हें खाया सके
और चूँकि वे साँस नहीं लेंगे
तो ऑक्सीजन भी नहीं करेंगे पैदा
एक पार्क में किसी तरतीब से सजे
एक कृत्रिम पेड़ को देखकर
जब कौंधनें लगे ऐसे विचार
कि क्या ऐसे ही होंगे भविष्य में पेड़?
ठीक तभी
हाँ, ठीक तभी मुझे छूकर गुज़रा
एक ताज़ी हवा का झोंका!
peD to honge
aur unke patton mein harapan bhi
bharpur harapan
lekin wo harapan unki pattiyon mein maujud
klorofil se nahin
balki kisi kroor saundarybodh se paida hoga
apne patton se we
amrud ka peD hone ka bhram denge
aur tane se aam ka peD hone ka
aur sabse adhik bhramit karenge
un peDon ki Daliyon par
kisi tartib se uge, nahin saje
namalum prajati ke phool
kabhi unke phool aap hi nahin jharenge
nae phool bhi nahin ugenge kabhi un par
dekhenge nahin patjhaD kabhi we peD
kabhi nahin mangenge we pani ya dhoop
kabhi phal nahin denge aise jinhen khaya sake
aur chunki we sans nahin lenge
to oxygen bhi nahin karenge paida
ek park mein kisi tartib se saje
ek kritrim peD ko dekhkar
jab kaundhnen lage aise wichar
ki kya aise hi honge bhawishya mein peD?
theek tabhi
han, theek tabhi mujhe chhukar guzra
ek tazi hawa ka jhonka!
peD to honge
aur unke patton mein harapan bhi
bharpur harapan
lekin wo harapan unki pattiyon mein maujud
klorofil se nahin
balki kisi kroor saundarybodh se paida hoga
apne patton se we
amrud ka peD hone ka bhram denge
aur tane se aam ka peD hone ka
aur sabse adhik bhramit karenge
un peDon ki Daliyon par
kisi tartib se uge, nahin saje
namalum prajati ke phool
kabhi unke phool aap hi nahin jharenge
nae phool bhi nahin ugenge kabhi un par
dekhenge nahin patjhaD kabhi we peD
kabhi nahin mangenge we pani ya dhoop
kabhi phal nahin denge aise jinhen khaya sake
aur chunki we sans nahin lenge
to oxygen bhi nahin karenge paida
ek park mein kisi tartib se saje
ek kritrim peD ko dekhkar
jab kaundhnen lage aise wichar
ki kya aise hi honge bhawishya mein peD?
theek tabhi
han, theek tabhi mujhe chhukar guzra
ek tazi hawa ka jhonka!
स्रोत :
रचनाकार : प्रदीप जिलवाने
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.