मेरा शहर आजकल गाँवों को फलाँगता जा रहा है
अपनी सड़कों की लंबाई-चौड़ाई में मशग़ूल है
मुझसे बातें भी कम करता है...
व्यस्त है अपने चौराहों की लाल बत्ती पर,
खड़े ट्रैफ़िक में लोग
यहाँ अपने वाहनों का शोर छोड़ जाते हैं उसके लिए
इनकी उदासी को शहर ना जाने क्यों पकड़ नहीं पाता
चमकीली ऊँघती दौड़ में
मेरे शहर क्या तुम्हें याद है?
प्रेम में पड़े उस लड़के की ख़ुदकुशी
जो पात्र को प्रेम समझ बैठा
और उस लड़की की भी
जो प्रेम के ‘म’ को पकड़कर खींचती रही
और आख़िर उसने पंखे पर लटक कर ‘म’ को वहीं छोड़कर चली गई
मैं धूप में बैठी अख़बार की इन ख़बरों को कुतर रही हूँ
मेरे शहर क्या तेरी संवेदनहीनता ने मुझे भी जकड़ लिया है?
बताओ ना शहर!
mera shahr ajkal ganvon ko phalangata ja raha hai
apni saDkon ki lambai chauDai mein mashghul hai
mujhse baten bhi kam karta hai. . .
vyast hai apne chaurahon ki laal batti par,
khaDe traifik mein log
yahan apne vahnon ka shor chhoD jate hain uske liye
inki udasi ko shahr na jane kyon pakaD nahin pata
chamkili uunghati dauD mein
mere shahr kya tumhein yaad hai?
prem mein paDe us laDke ki khudakushi
jo paatr ko prem samajh baitha
aur us laDki ki bhi
jo prem ke ‘ma’ ko pakaDkar khinchti rahi
aur akhir usne pankhe par latak kar ‘ma’ ko vahin chhoDkar chali gai
main dhoop mein baithi akhbar ki in khabron ko kutar rahi hoon
mere shahr kya teri sanvedanhinta ne mujhe bhi jakaD liya hai?
batao na shahr!

स्रोत :
रचनाकार : ऋतु त्यागी
प्रकाशन : हिंदवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.