उसके बेमौसम होने की
हमें कोई जानकारी नहीं थी
हम उसके देर से भी आने को
दुरुस्त आना समझते थे
एक जाली इतिहासकार की किताब में
उसके रोमांटिक होने का भ्रम
बहुत पहले टूट चुका था
वह हमारे सपनों की
उस अलबेली पतंग की तरह थी
जिसका रास्ता पनीली हवाओं की मानिंद
बदलता रहता था
इतने बरस बीत जाने पर भी
उसके विषय में
हम बस इतना जानते थे
कि एक दिन गहरी नींद में
उसका छापा पड़ेगा
और सदियों पहले इसी बारिश में
छपाक करती हुई वह लड़की
मेरे भीतर से बरामद होगी
जिसकी गुमशुदगी की रिपोर्ट लिखाते वक़्त
इंस्पेक्टर बड़े जोरों से हँसा था।
uske bemausam hone ki
hamein koi jankari nahin thi
hum uske der se bhi aane ko
durust aana samajhte the
ek jali itihaskar ki kitab men
uske romantik hone ka bhram
bahut pahle toot chuka tha
wo hamare sapnon ki
us albeli patang ki tarah thi
jiska rasta panili havaon ki manind
badalta rahta tha
itne baras beet jane par bhi
uske vishay men
hum bas itna jante the
ki ek din gahri neend men
uska chhapa paDega
aur sadiyon pahle isi barish men
chhapak karti hui wo laDki
mere bhitar se baramad hogi
jiski gumshudgi ki riport likhate vaqt
inspektar baDe joron se hansa tha.
uske bemausam hone ki
hamein koi jankari nahin thi
hum uske der se bhi aane ko
durust aana samajhte the
ek jali itihaskar ki kitab men
uske romantik hone ka bhram
bahut pahle toot chuka tha
wo hamare sapnon ki
us albeli patang ki tarah thi
jiska rasta panili havaon ki manind
badalta rahta tha
itne baras beet jane par bhi
uske vishay men
hum bas itna jante the
ki ek din gahri neend men
uska chhapa paDega
aur sadiyon pahle isi barish men
chhapak karti hui wo laDki
mere bhitar se baramad hogi
jiski gumshudgi ki riport likhate vaqt
inspektar baDe joron se hansa tha.
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.