सारा सामान
कपड़े-लत्ते, साबुन, तौलिया, क़लम, किताबें,
संकट मोचन, विश्वनाथ मंदिर,
विंध्यवासिनी का प्रसाद
सुबह-सुबह ही किए पैक।
हमेशा की तरह
पत्नी फ़ोन पर बार-बार
कर रही ताक़ीद
कुछ छोड़ मत आना
कुछ नहीं छोड़ा था
सब कुछ पैक किया था
फिर भी लौटते समय
पहली बार
भीतर से बैचेनी-सी पाई मन में
कि कुछ छूट रहा है
पर्स देखा,
आधार, पैन कार्ड
सब दुरुस्त अपनी जगह
बैग और अटैची
फिर खोल
गेस्ट हाउस के कक्ष,
बाथरूम तक को किया चैक
कि क्या कुछ कहीं रह तो नहीं गया
सब कुछ पैक कर चुका था
बैचेनी बराबर उफ़ान पर थी
कि कुछ छूट रहा है।
स्टेशन पहुँचकर
काशी विश्वनाथ एक्सप्रेस में
बी-2 बोगी में
सीट नंबर-24 पर पहुँचकर
फिर सोचा,
पर्स, बैग, अटैची
को तीसरी चौथी बार
चेक किया कि
क्या छूट रहा है!
क्या छूटा, क्या छूटा
बेचैनी के बीच
कुछ समझ पाता
भीतर से आवाज़-सी आई
तेरा मन छूटा
ले जा सके वापिस ले जा
पर तेरा मन छूटा।
sara saman
kapDe latte,sabun,tauliya
pain, kitaben,
sankat mochan, vishvanath mandir,
vindhyavasini ka parsad
alasubah hi kiye paik.
hamesha ki tarah
patni phone par baar baar
kar rahi taqid
kuch chhoD mat aana
kuch nahin chhoDa tha
sab kuch paik kiya tha
phir bhi lautte samay
pahli baar
bhitar se baicheni si pai man
mein
ki kuch chhoot raha hai
purse dekha,
adhar, pain card
sab durust apni jagah
bag aur attachi
phir khol
guest haus ke kaksh,
bathrum tak ko kiya chaik
ki kya kuch kahi rah to nahin gaya
sab kuch paik kar chuka tha
baicheni barabar ufaan par thi
ki kuch chhoot raha hai.
station pahunchakar
kashi vishvanath eksapres mein
b 2 bogey mein
seat nambar 24 par pahunch kar
phir socha,
purse, bag,attachi
ko tisri chauthi baar
chaik kiya ki
kya chhoot raha hai.
kashi vishvanath express
ne DeDh baje visil di,
dhire dhire gaDi pletfarm
chhoDne lagi
tapti garmi mein
train ke darvaze par khaDa main
chhutte banaras ko dekhte hue
baichen sa tha ki
kahin kya kuch chhoot raha hai
jaise hi pletfarm chhuta
baba vishvanath,sankat mochan mandir,
raam chhatpar shilpa yaas
professor mahant bishambhar naath mishra ji,
painter madan laal ji, shri parkash shukl ji
anuj vyomesh shukl
vidushai malini avasthi ji
murtikar madan laal aur rajesh kumar
aur sankat mochan sangit samaroh
ki tisri se chhathi nisha tak
ke tamam murdhany kalakaron
ke chehre mastishk mein tairne lage.
kya chhuta, kya chhuta
baicheni ke beech
kuch samajh pata
bhitar se avaz si i
tera man chhuta
le ja sake vapis le ja
par tera man chhuta.
sara saman
kapDe latte,sabun,tauliya
pain, kitaben,
sankat mochan, vishvanath mandir,
vindhyavasini ka parsad
alasubah hi kiye paik.
hamesha ki tarah
patni phone par baar baar
kar rahi taqid
kuch chhoD mat aana
kuch nahin chhoDa tha
sab kuch paik kiya tha
phir bhi lautte samay
pahli baar
bhitar se baicheni si pai man
mein
ki kuch chhoot raha hai
purse dekha,
adhar, pain card
sab durust apni jagah
bag aur attachi
phir khol
guest haus ke kaksh,
bathrum tak ko kiya chaik
ki kya kuch kahi rah to nahin gaya
sab kuch paik kar chuka tha
baicheni barabar ufaan par thi
ki kuch chhoot raha hai.
station pahunchakar
kashi vishvanath eksapres mein
b 2 bogey mein
seat nambar 24 par pahunch kar
phir socha,
purse, bag,attachi
ko tisri chauthi baar
chaik kiya ki
kya chhoot raha hai.
kashi vishvanath express
ne DeDh baje visil di,
dhire dhire gaDi pletfarm
chhoDne lagi
tapti garmi mein
train ke darvaze par khaDa main
chhutte banaras ko dekhte hue
baichen sa tha ki
kahin kya kuch chhoot raha hai
jaise hi pletfarm chhuta
baba vishvanath,sankat mochan mandir,
raam chhatpar shilpa yaas
professor mahant bishambhar naath mishra ji,
painter madan laal ji, shri parkash shukl ji
anuj vyomesh shukl
vidushai malini avasthi ji
murtikar madan laal aur rajesh kumar
aur sankat mochan sangit samaroh
ki tisri se chhathi nisha tak
ke tamam murdhany kalakaron
ke chehre mastishk mein tairne lage.
kya chhuta, kya chhuta
baicheni ke beech
kuch samajh pata
bhitar se avaz si i
tera man chhuta
le ja sake vapis le ja
par tera man chhuta.
स्रोत :
रचनाकार : राजेंद्र शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.