बेहद क़रीब आ गया है / गहरा आकाश
आँगन में तैरने लगी / चील और गिद्धों की छाया
ताज्जुब था मुझे कि
बाड़ के भीतर गुलाब मुँह निकालकर
मुस्काते झाँक रहे थे / उनके रतनारे नयनों से
टपकता रक्त काँटों के भीतर / बूँद-बूँद बहता था
मेरे कानों में आई आवाज़ / आप जल्दी सँभलें
खड़े हैं लोग भाले-बंदूक़ लिए / मुँडेरों पर
बिखर सकता है आपका भी लहू / गुलाब की तरह
उबलते दूध-सी भीड़ / उफनती चारों ओर
सचेत रहें और कान लगाए रक्खें
कौन जाने कब लोग / चढ़ जाएँ काँधे पर
मेरे ख़याल से / गुलाब से नहीं,
पूछो सूरज की धूप से / क्या वह जानती है
भाले और बंदूक़ का इरादा / गुलाब काँटों में हँसे
पर आज तो है बुख़ार
भाले और बंदूक़ को देखकर
मैं अब लोगों को कहता घूम रहा हूँ
किसने की हत्या /
बाड़ के भीतर छिपे गुलाब की
उसके रतनारे नयनों से टपकता रक्त
काँटों के भीतर बूँद-बूँद बहता था।
behad qarib aa gaya hai / gahra akash
angan mein tairne lagi / cheel aur giddhon ki chhaya
tajjub tha mujhe ki
baD ke bhitar gulab munh nikalkar
muskate jhank rahe the / unke ratnare naynon se
tapakta rakt kanton ke bhitar / boond boond bahta tha
mere kanon mein i awaz / aap jaldi sambhlen
khaDe hain log bhale banduq liye / munDeron par
bikhar sakta hai aapka bhi lahu / gulab ki tarah
ubalte doodh si bheeD / uphanti charon or
sachet rahen aur kan lagaye rakkhen
kaun jane kab log / chaDh jayen kandhe par
mere khayal se / gulab se nahin,
puchhon suraj ki dhoop se kya wo janti hai
bhale aur banduk ka irada / gulab kanton mein hanse
par aaj to hai bukhar
bhale aur banduq ko dekhkar
main ab logon ko kahta ghoom raha hoon
kisne ki hattya /
baD ke bhitar chhipe gulab ki
uske ratnare naynon se tapakta rakt
kanton ke bhitar boond boond bahta tha

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 75)
संपादक : नंद भारद्वाज
रचनाकार : गोरधनसिंह सेखावत
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.