हर किसी के हिस्से 'कोई न कोई' चीज़ आ ही आती है
इसलिए कि यह इंतज़ार का घोर आस्थावादी चरण है
दोस्तो! सच्चाई को शब्दों के बीच
अचानक ग़ायब हो जाने की धूर्त चालाकी समझने में
चुनाव की तरह पाँच साल का इंतज़ार नहीं करना पड़ता
'कोई न कोई' शब्द विचार से अधिक राजनीतिक हथकंडा है
निश्चितता से भरे समय के एक अछूत प्रसंग के बीच
जिसे बिना विचारधारा उजागर होने के झंझट के
कहीं भी टाँका जा सकता है
पंख बिखरने के लिए चाहें जितने हों
आसमान में हवा की आहट को भापने के लिए
एक चिह्न की तरह भी होते हैं
यह सच है कि आवाज़ों के पास साहस के साथ
उम्मीद को दूर-दूर तक पहुँचाने का ज़िम्मा होता है
इसलिए उनके हिस्से
साहस से अधिक उमंग और सफ़ेद पंखों की आमद होती है
जो चाहे उड़ने के काम न आ सके
पर तौलने के ख़ूब काम आती है
har kisi ke hisse koi na koi cheez aa hi aati hai
isliye ki ye intzaar ka ghor asthavadi charan hai
dosto! sachchai ko shabdon ke beech
achanak ghayab ho jane ki dhoort chalaki samajhne mein
chunav ki tarah paanch saal ka intzaar nahin karna paDta
koi na koi shabd vichar se adhik rajnitik hathkanDa hai
nishchitta se bhare samay ke ek achhut prsang ke beech
jise bina vicharadhara ujagar hone ke jhanjhat ke
kahin bhi tanka ja sakta hai
pankh bikharne ke liye chahen jitne hon
asman mein hava ki aahat ko bhapne ke liye
ek chihn ki tarah bhi hote hain
ye sach hai ki avazon ke paas sahas ke saath
ummid ko door door tak pahunchane ka zimma hota hai
isliye unke hisse
sahas se adhik umang aur safed pankhon ki aamad hoti hai
jo chahe uDne ke kaam na aa sake
par taulne ke khoob kaam aati hai

स्रोत :
रचनाकार : श्रीधर करुणानिधि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.