मैं जग-जीवन का भार लिए फिरता हूँ,
फिर भी जीवन में प्यार लिए फिरता हूँ;
कर दिया किसी ने झंकृत जिनको छूकर
मैं साँसों के दो तार लिए फिरता हूँ!
मैं स्नेह-सूरा का पान किया करता हूँ,
मैं कभी न जग का ध्यान किया करता हूँ,
जग पूछ रहा उनको,जो जग की गाते,
मैं अपने मन का गान किया करता हूँ!
मैं निज उर के उद्गार लिए फिरता हूँ,
मैं निज उर के उपहार लिए फिरता हूँ;
है यह अपूर्ण संसार न मुझको भाता
मैं स्वप्नों का संसार लिए फिरता हूँ!
मैं जला ह्रदय में अग्नि दहा करता हूँ,
सुख-दुख दोनों में मग्न रहा करता हूँ;
जग भव-सागर तरने को नाव बनाए,
मैं भव मौजों पर मस्त बहा करता हूँ!
मैं यौवन का उन्माद लिए फिरता हूँ,
उन्मादों में अवसाद लिए फिरता हूँ,
जो मुझको बाहर हँसा, रुलाती भीतर,
मैं, हाय, किसी की याद लिए फिरता हूँ!
कर यत्न मिटे सब,सत्य किसी ने जाना?
नादान वहीं है,हाय,जहाँ पर दाना!
फिर मूढ़ न क्या जग, जो इस पर भी सीखे?
मैं सीख रहा हूँ, सीखा ज्ञान भुलाना!
मैं और, और जग और, कहाँ का नाता,
मैं बना-बना कितने जग रोज़ मिटाता;
जग जिस पृथ्वी पर जोड़ा करता वैभव,
मैं प्रति पग से उस पृथ्वी को ठुकराता!
मैं निज रोदन में राग लिए फिरता हूँ,
शीतल वाणी में आग लिए फिरता हूँ,
हों जिस पर भूषों के प्रसाद निछावर,
मैं वह खंडहर का भाग लिए फिरता हूँ।
मैं रोया, इसको तुम कहते हो गाना,
मैं फूट पड़ा, तुम कहते, छंद बनाना;
क्यों कवि कहकर संसार मुझे अपनाए,
मैं दुनिया का हूँ एक नया दीवाना!
मैं दीवानों का वेश लिए फिरता हूँ,
मैं मादकता नि:शेष लिए फिरता हूँ;
जिसको सुनकर जग झूम, झुके, लहराए,
मैं मस्ती का संदेश लिए फिरता हूँ!
main jag jiwan ka bhaar liye phirta hoon,
phir bhi jiwan mein pyar liye phirta hoon;
kar diya kisi ne jhankrit jinko chhukar
main sanson ke do tar liye phirta hoon!
main sneh sura ka pan kiya karta hoon,
main kabhi na jag ka dhyan kiya karta hoon,
jag poochh raha unko,jo jag ki gate,
main apne man ka gan kiya karta hoon!
main nij ur ke udgar liye phirta hoon,
main nij ur ke uphaar liye phirta hoon;
hai ye apurn sansar na mujhko bhata
main swapnon ka sansar liye phirta hoon!
main jala hrday mein agni daha karta hoon,
sukh dukh donon mein magn raha karta hoon;
jag bhaw sagar tarne ko naw banaye,
main bhaw maujon par mast baha karta hoon!
main yauwan ka unmad liye phirta hoon,
unmadon mein awsad liye phirta hoon,
jo mujhko bahar hansa, rulati bhitar,
main, hay, kisi ki yaad liye phirta hoon!
kar yatn mite sab,saty kisi ne jana?
nadan wahin hai,hay,jahan par dana!
phir mooDh na kya jag, jo is par bhi sikhe?
main seekh raha hoon, sikha gyan bhulana!
main aur, aur jag aur, kahan ka nata,
main bana bana kitne jag roz mitata;
jag jis prithwi par joDa karta waibhaw,
main prati pag se us prithwi ko thukrata!
main nij rodan mein rag liye phirta hoon,
shital wani mein aag liye phirta hoon,
hon jis par bhushon ke parsad nichhawar,
main wo khanDhar ka bhag liye phirta hoon
main roya,isko tum kahte ho gana,
main phoot paDa,tum kahte,chhand banana;
kyon kawi kahkar sansar mujhe apnaye,
main duniya ka hoon ek naya diwana!
main diwanon ka wesh liye phirta hoon,
main madakta nihshesh liye phirta hoon;
jisko sunkar jag jhoom,jhuke,lahraye,
main masti ka sandesh liye phirta hoon!
main jag jiwan ka bhaar liye phirta hoon,
phir bhi jiwan mein pyar liye phirta hoon;
kar diya kisi ne jhankrit jinko chhukar
main sanson ke do tar liye phirta hoon!
main sneh sura ka pan kiya karta hoon,
main kabhi na jag ka dhyan kiya karta hoon,
jag poochh raha unko,jo jag ki gate,
main apne man ka gan kiya karta hoon!
main nij ur ke udgar liye phirta hoon,
main nij ur ke uphaar liye phirta hoon;
hai ye apurn sansar na mujhko bhata
main swapnon ka sansar liye phirta hoon!
main jala hrday mein agni daha karta hoon,
sukh dukh donon mein magn raha karta hoon;
jag bhaw sagar tarne ko naw banaye,
main bhaw maujon par mast baha karta hoon!
main yauwan ka unmad liye phirta hoon,
unmadon mein awsad liye phirta hoon,
jo mujhko bahar hansa, rulati bhitar,
main, hay, kisi ki yaad liye phirta hoon!
kar yatn mite sab,saty kisi ne jana?
nadan wahin hai,hay,jahan par dana!
phir mooDh na kya jag, jo is par bhi sikhe?
main seekh raha hoon, sikha gyan bhulana!
main aur, aur jag aur, kahan ka nata,
main bana bana kitne jag roz mitata;
jag jis prithwi par joDa karta waibhaw,
main prati pag se us prithwi ko thukrata!
main nij rodan mein rag liye phirta hoon,
shital wani mein aag liye phirta hoon,
hon jis par bhushon ke parsad nichhawar,
main wo khanDhar ka bhag liye phirta hoon
main roya,isko tum kahte ho gana,
main phoot paDa,tum kahte,chhand banana;
kyon kawi kahkar sansar mujhe apnaye,
main duniya ka hoon ek naya diwana!
main diwanon ka wesh liye phirta hoon,
main madakta nihshesh liye phirta hoon;
jisko sunkar jag jhoom,jhuke,lahraye,
main masti ka sandesh liye phirta hoon!
Videos This video is playing from YouTube
हरिवंशराय बच्चन
स्रोत :
पुस्तक : आरोह भाग-2 (पृष्ठ 5)
रचनाकार : हरिवंशराय बच्चन
प्रकाशन : एन सी ई आर टी
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.