आततायी का मकान है
पंचतारा होटल के समान
वह रोज़ लगाता है भोग
छप्पन व्यंजनों का
उसके लिए है
उपलब्ध
सर्वोत्तम मॉडल
नई कार का
वह पहनता है दुनिया का
सबसे महँगा कपड़ा
महँगे जूते
उसकी अँगुठियों में जड़े हैं
एक-से-बढ़कर एक क़ीमती रत्न
उसके घर में चल रहा
अखंड कीर्तन
पंडे-पुरोहितों का है जमावड़ा
उसके यहाँ
आततायी की पूरी हो रही हैं
हर इच्छाएँ
इस दुनिया में
एक पल के लिए नहीं उठता
द्वंद्व उसके भीतर
अच्छे-बुरे के बीच अंतर का
वह हर पल रहता है
सुरक्षा के घेरे में
मौत का भय बनाए रखता है
उसे असहज
जो भारी पड़ता है
उसके सारे सुखों पर!
atatayi ka makan hai
panchtara hotal ke saman
wo roz lagata hai bhog
chhappan vyanjnon ka
uske liye hai
uplabdh
sarvottam mauDal
nai kaar ka
wo pahanta hai duniya ka
sabse mahnga kapDa
mahnge jute
uski anguthiyon mein jaDe hain
ek se baDhkar ek qimti ratn
uske ghar mein chal raha
akhanD kirtan
panDe purohiton ka hai jamavDa
uske yahan
atatayi ki puri ho rahi hain
har ichchhayen
is duniya men
ek pal ke liye nahin uthta
dvandv uske bhitar
achchhe bure ke beech antar ka
wo har pal rahta hai
suraksha ke ghere mein
maut ka bhay banaye rakhta hai
use ashaj
jo bhari paDta hai
uske sare sukhon par!
atatayi ka makan hai
panchtara hotal ke saman
wo roz lagata hai bhog
chhappan vyanjnon ka
uske liye hai
uplabdh
sarvottam mauDal
nai kaar ka
wo pahanta hai duniya ka
sabse mahnga kapDa
mahnge jute
uski anguthiyon mein jaDe hain
ek se baDhkar ek qimti ratn
uske ghar mein chal raha
akhanD kirtan
panDe purohiton ka hai jamavDa
uske yahan
atatayi ki puri ho rahi hain
har ichchhayen
is duniya men
ek pal ke liye nahin uthta
dvandv uske bhitar
achchhe bure ke beech antar ka
wo har pal rahta hai
suraksha ke ghere mein
maut ka bhay banaye rakhta hai
use ashaj
jo bhari paDta hai
uske sare sukhon par!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.