एक बार एक कुएँ के पास अकेला खड़ा
था और कुएँ के अंदर झाँककर देखा।
कुएँ के अंदर अपने प्रतिबिंब को अंगुली दिखाई।
जीभ निकालकर चिढ़ाया।
और उसके बाद एक चीख निकाली। कुएँ के अंदर से
एक छोटे बच्चे ने एक चीख वापस भेजी।
बाद में कुएँ के अंदर के मेंढ़क कूदने लगे
तब काँप रहे कुएँ के पानी से
छोटा बच्चा ग़ायब हो गया।
कुएँ का पानी इतना स्थिर था
दिन इतना स्थिर था
मेंढ़क यदि न कूदने लगते तो शायद
मैं वैसे ही खेलता रहता।
बीच-बीच में अब भी मन करता है
कुएँ के अंदर झाँकने का
और बिना कुछ किए
कुएँ के अंदर वाले आदमी को चिढ़ाते रहने का।
इतिहास के अब तक के बड़े भूकंप में
कुएँ के दोनों पाट धँस गए
दब चुके कुएँ का पानी
किस वैतरणी में मिल गया होगा?
ek bar ek kuen ke pas akela khaDa tha
aur kuen ke andar jhankakar dekha
kuen ke andar apne pratibimb ko anguli dikhai
jeebh nikalkar chiDhaya
aur uske baad ek cheekh nikali kuen ke andar se
ek chhote bachche ne ek cheekh wapas bheji
baad mein kuen ke andar ke meinDhak kudne lage
tab kanp rahe kuen ke pani se
chhota bachcha ghayab ho gaya
kuen ka pani itna sthir tha
din itna sthir tha
menDhak yadi na kudne lagte to shayad
main waise hi khelta rahta
beech beech mein ab bhi man karta hai
kuen ke andar jhankne ka
aur bina kuch kiye
kuen ke andar wale adami ko chiDhate rahne ka
itihas ke ab tak ke baDe bhukamp mein
kuen ke donon pat dhans gaye
dab chuke kuen ka pani
kis waitarnai mein mil gaya hoga?
ek bar ek kuen ke pas akela khaDa tha
aur kuen ke andar jhankakar dekha
kuen ke andar apne pratibimb ko anguli dikhai
jeebh nikalkar chiDhaya
aur uske baad ek cheekh nikali kuen ke andar se
ek chhote bachche ne ek cheekh wapas bheji
baad mein kuen ke andar ke meinDhak kudne lage
tab kanp rahe kuen ke pani se
chhota bachcha ghayab ho gaya
kuen ka pani itna sthir tha
din itna sthir tha
menDhak yadi na kudne lagte to shayad
main waise hi khelta rahta
beech beech mein ab bhi man karta hai
kuen ke andar jhankne ka
aur bina kuch kiye
kuen ke andar wale adami ko chiDhate rahne ka
itihas ke ab tak ke baDe bhukamp mein
kuen ke donon pat dhans gaye
dab chuke kuen ka pani
kis waitarnai mein mil gaya hoga?
स्रोत :
पुस्तक : कोई दूसरा (पृष्ठ 39)
रचनाकार : हरेकृष्ण डेका
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2021
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.